وہ میرے جسم پہ کب حسبِ حال آتا ہے
بلاؤں عَیش میں تو بھی ملال آتا ہے

کبھی جو بیٹھے بٹھائے خیال آتا ہے
ترا جمال ہی لے کر محال آتا ہے

کبھی وہ زہر کو کہتا ہے جامِ آبِ بقا!
قسم خدا کی غضب کا خیال آتا ہے

میں اپنی بات کو خنجر بنا کے کہتا ہوں
یوں سننے والے پہ سیدھا زوال آتا ہے

یہ روپ، تیرا نہیں ہے! قسم اٹھا لوں میں
تو خود کو خود سے کہاں پر نکال آتا ہے

یہ سنگ بن کے مرے سامنے کھڑا کیوں ہے
یہ میری باہوں میں بے حد نڈھال آتا ہے

جہاں پہ خاک بھی تابِ نظر نہیں رکھتی
وہاں مرے لیے حسن و جمال آتا ہے

اسے غزل میں بھی رکھنے کو دل نہیں کرتا
یہ کیسے دشت سے ہو کے غزال آتا ہے
वो मेरे जिस्म पे कब हस्ब-ए-हाल आता है
बुलाऊँ ऐश में तो भी मलाल आता है

कभी जो बैठे बिठाए ख़याल आता है
तिरा जमाल ही ले कर मुहाल आता है

कभी वो ज़हर को कहता है जाम-ए-आब-ए-बक़ा!
क़सम ख़ुदा की ग़ज़ब का ख़याल आता है

मैं अपनी बात को ख़ंजर बना के कहता हूँ
यूँ सुनने वाले पे सीधा ज़वाल आता है

ये रूप, तेरा नहीं है! क़सम उठा लूँ मैं
तू ख़ुद को ख़ुद से कहाँ पर निकाल आता है

ये संग बन के मिरे सामने खड़ा क्यूँ है
ये मेरी बाहों में बे-हद निढाल आता है

जहाँ पे ख़ाक भी ताब-ए-नज़र नहीं रखती
वहाँ मिरे लिए हुस्न-ओ-जमाल आता है

उसे ग़ज़ल में भी रखने को दिल नहीं करता
ये कैसे दश्त से हो के ग़ज़ाल आता है
wo mere jism pe kab hasb-e-haal aata hai
bulaun aish mein to bhi malaal aata hai

kabhi jo baithe bithaye khayal aata hai
tera jamaal hi le kar muhaal aata hai

kabhi wo zehr ko kehta hai jaam-e-aab-e-baqa!
qasam khuda ki ghazab ka khayal aata hai

main apni baat ko khanjar bana ke kehta hoon
yun sunne wale pe seedha zawaal aata hai

ye roop, tera nahin hai! qasam utha loon main
tu khud ko khud se kahan par nikaal aata hai

ye sang ban ke mere saamne khada kyun hai
ye meri baahon mein be-had nidhaal aata hai

jahan pe khaak bhi taab-e-nazar nahin rakhti
wahan mere liye husn-o-jamaal aata hai

use ghazal mein bhi rakhne ko dil nahin karta
ye kaise dasht se ho ke ghazaal aata hai
Aur Shayari Padhein →
SUKHAN
اردو
हिंदी
Roman

DIWAN E SUKHAN

"Har ek baat pe kehte ho..."
Urdu Hindi Roman
Ghazalein
Full Ghazals
Ash'aar
Couplets Feed
Nazmein
Story in Verse
Bayaaz
My Diary
Takhleeq
Create & Submit Poetry
View All
View All
Blog e Sukhan

Adab aur Dastan: Shayaron ki Mehfil

Urdu adab ke sunehre daur ki kahaniyan, azeem shayaron ke posheeda qisse, aur unki zindagiyon ke naye pehlu ek hi jagah.

Mazameen Padhein
Ishtehaar

Aapka Brand Yahan!

Diwan E Sukhan ke hazaron padhne walon tak apna paigham pohnchayein. Yeh khaas jagah premium brands aur karobar ke liye banayi gayi hai.
(TAP TO LEARN MORE!)

Ad by Fiza Perfumes Ishtehaar Ke Liye Rabta Karein
Sponsored Space
Message