DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Yagana Changezi

1884 (Patna) – 1956 (Lucknow) • The Rebellious Ego

"A tragic, brilliantly talented, and fiercely arrogant rebel, Yagana Changezi aggressively challenged the unquestioned supremacy of Mirza Ghalib. He also openly and relentlessly mocked the established, revered poets of Lucknow. This confrontational attitude led to extreme public humiliation and ostracization by the locals. However, his poetry remains fiercely original, sharply witty, and serves as a powerful testament to his uncompromising self-respect and undeniable literary genius."

Mashhoor Ash'aar

musibat ka pahad aakhir kisi din kat hi jayega mujhe sar maar kar teshe se mar jaana nahin aata...
kashish-e-lucknow are tauba phir wahi ham wahi aminabad...
gunah gin ke main kyun apne dil ko chhota karun suna hai tere karam ka koi hisab nahin...
sabr karna sakht mushkil hai tadapna sahl hai apne bas ka kaam kar leta hoon aasan dekh kar...
dard ho to dawa bhi mumkin hai wahm ki kya dawa kare koi...
pahad kaatne wale zameen se haar gaye isi zameen mein dariya samaye hain kya kya...
ilm kya ilm ki haqeeqat kya jaisi jis ke guman mein aayi...
sab tire siwa kafir aakhir is ka matlab kya sar phira de insan ka aisa khabt-e-mazhab kya...
kisi ke ho raho achchhi nahin ye aazadi kisi ki zulf se lazim hai silsila dil ka...
khudi ka nashsha chadha aap mein raha na gaya khuda bane the 'yagana' magar bana na gaya...
maut maangi thi khudai to nahin maangi thi le dua kar chuke ab tark-e-dua karte hain...
sharbat ka ghoont jaan ke peeta hoon khoon-e-dil gham khate khate munh ka maza tak bigad gaya...
jaise dozakh ki hawa kha ke abhi aaya ho kis qadar waiz-e-makkar darata hai mujhe...
deewana-vaar daud ke koi lipat na jaye aankhon mein aankhein daal ke dekha na kijiye...
waiz ki aankhein khul gayin peete hi saqiya ye jaam-e-mai tha ya koi dariya-e-noor tha...
nai zameen naya aasman nai duniya ajeeb shai ye tilism-e-khayal hota hai...
kyun kisi se wafa kare koi dil na maane to kya kare koi...
khuda hi jaane 'yagana' main kaun hoon kya hoon khud apni zaat pe shak dil mein aaye hain kya kya...
mujhe dil ki khata par 'yaas' sharmana nahin aata paraya jurm apne naam likhvana nahin aata...
wahi saqi wahi saghar wahi sheesha wahi baada magar lazim nahin har ek par yaksan asar hona...
buton ko dekh ke sab ne khuda ko pahchana khuda ke ghar to koi banda-e-khuda na gaya...
muflisi mein mizaj shahana kis maraz ki dawa kare koi...
pukarta raha kis kis ko doobne wala khuda the itne magar koi aade aa na gaya...
be-dhadak pichhle pahar nala-o-shevan na karein kah de itna to koi taza-giraftaron se...
jhaankne taakne ka waqt gaya ab wo ham hain na wo zamana hai...
pahunchi yahan bhi shaikh o barhaman ki kashmakash ab mai-kada bhi sair ke qabil nahin raha...
kaaba nahin ki saari khudai ko dakhl ho dil mein siwae yaar kisi ka guzar nahin...
door se dekhne ka 'yaas' gunahgar hoon main aashna tak na hue lab kabhi paimane se...
parda-e-hijr wahi hasti-e-mauhoom thi 'yaas' sach hai pahle nahin maaloom tha ye raaz mujhe...
mujhe ai nakhuda aakhir kisi ko munh dikhana hai bahana kar ke tanha paar utar jaana nahin aata...
aa rahi hai ye sada kaan mein veeranon se kal ki hai baat ki aabad the deewanon se...
khuda jaane ajal ko pahle kis par rahm aayega giraftar-e-qafas par ya giraftar-e-nasheman par...
ghalib aur mirza 'yagana' ka aaj kya faisla kare koi...
baaz aa sahil pe ghote khane wale baaz aa doob marne ka maza dariya-e-be-sahil mein hai...
payam-e-zer-e-lab aisa ki kuchh suna na gaya ishara paate hi angdai li raha na gaya...
kar-gah-e-duniya ki nesti bhi hasti hai ik taraf ujadti hai ek samt basti hai...
saqi main dekhta hoon zameen aasman ka farq arsh-e-bareen mein aur tire aastane mein...
marte dam tak tiri talwar ka dam bharte rahe haq ada ho na saka phir bhi wafadaron se...
dair o haram bhi dhah gaye jab dil nahin raha sab dekhte hi dekhte veerana ho gaya...
duniya ke saath deen ki begar al-aman insan aadmi na hua jaanwar hua...
rang badla phir hawa ka mai-kashon ke din phire phir chali baad-e-saba phir mai-kade ka dar khula...
farda ko door hi se hamara salam hai dil apna shaam hi se charagh-e-sahar hua...
'yagana' wahi fateh-e-lakhknau hain dil-e-sang-o-ahan mein ghar karne wale...
na sang-e-meel na naqsh-e-qadam na baang-e-jaras bhatak na jaayen musafir adam ki manzil ke...
zamana khuda ko khuda jaanta hai yahi jaanta hai to kya jaanta hai...
khuda maaloom is aaghaz ka anjaam kya hoga chhida hai saaz-e-hasti mubtada-e-be-khabar ho kar...
duniya se 'yaas' jaane ko jee chahta nahin allah re husn gulshan-e-na-paedar ka...
yaksan kabhi kisi ki na guzri zamane mein yadash-ba-khair baithe the kal aashiyane mein...
husn-e-zaati bhi chhupaye se kahin chhupta hai saat pardon se ayaan shahid-e-maani hoga...
'yaas' is charkh-e-zamana-saaz ka kya etibar mehrban hai aaj kal na-mehrban ho jayega...
rahegi chaar-deewar-e-anasir darmiyan kab tak uthega zalzala ik din isi baithe hue dil se...
ajab kya hai ham aise garm-raftaron ki thokar se zamane ke buland-o-past ka hamwar ho jaana...
haath uljha hai gareban mein to ghabrao na 'yaas' bediyan kyunkar katin zindan ka dar kyunkar khula...
imtiyaz-e-soorat-o-maani se begana hua aaine ko aaina hairan ko hairan dekh kar...
gale par chhuri kyon nahin pher dete aseeron ko be-baal-o-par karne wale...
umeed-o-beem ne maara mujhe dorahe par kahan ke dair-o-haram ghar ka rasta na mila...
watan se kya ki hawa-e-watan se hain bezar lipat rahe jo bagoolon se dasht-e-ghurbat ke...
zamana laakh gum ho jaaye aap apne andhere mein koi sahib-nazar apni taraf se bad-guman kyon ho...
jaras ne muzhda-e-manzil suna ke chaunkaya nikal chala tha dabe paanv karwan apna...
fareb-e-abr-e-karam bhi bada sahara hai bala se nakhl-e-tamanna khizan-raseeda nahin...
Explore more on Diwan E Sukhan