آپ کے شہر میں بھٹکیں گے یا مر جائیں گے
ہم کو لگتا نہیں ہم لوٹ کے گھر جائیں گے

بے ایمانی سے پرے دنیا بنانی ہے ہمیں
ہم نہ جائیں گے جدھر اہلِ نظر جائیں گے

آپ کا کیا ہے کہیں اور لگا لیں گی دل
جانِ من یہ مرے اشعار کدھر جائیں گے

کیا کریں اتنی حسیں ہے تری دنیا مولا
ورنہ سوچا تو یہی تھا کہ سدھر جائیں گے

ہم نے سوچا تھا یہی ہم نہیں سوچیں گے کبھی
اب تو لگتا ہے اسی سوچ میں مر جائیں گے

اتنے احسان تو فرہاد کے 'اشرف' پر ہیں
سب کو ڈر ہے یہ جو کہتے ہیں وہ کر جائیں گے
आप के शहर में भटकेंगे या मर जाएँगे
हम को लगता नहीं हम लौट के घर जाएँगे

बे-ईमानी से परे दुनिया बनानी है हमें
हम न जाएँगे जिधर अहल-ए-नज़र जाएँगे

आप का क्या है कहीं और लगा लेंगी दिल
जान-ए-मन ये मिरे अशआर किधर जाएँगे

क्या करें इतनी हसीं है तिरी दुनिया मौला
वर्ना सोचा तो यही था कि सुधर जाएँगे

हम ने सोचा था यही हम नहीं सोचेंगे कभी
अब तो लगता है इसी सोच में मर जाएँगे

इतने एहसान तो फ़रहाद के 'अशरफ़' पर हैं
सब को डर है ये जो कहते हैं वो कर जाएँगे
aap ke shahr mein bhatkenge ya mar jayenge
hum ko lagta nahin hum laut ke ghar jayenge

be-imaani se pare duniya banani hai hamein
hum na jayenge jidhar ahl-e-nazar jayenge

aap ka kya hai kahin aur laga lengi dil
jaan-e-man ye mere ashaar kidhar jayenge

kya karein itni haseen hai teri duniya maula
warna socha to yahi tha ki sudhar jayenge

hum ne socha tha yahi hum nahin sochenge kabhi
ab to lagta hai isi soch mein mar jayenge

itne ehsaan to farhad ke 'ashraf' par hain
sab ko darr hai ye jo kehte hain wo kar jayenge
Aur Shayari Padhein →
SUKHAN
اردو
हिंदी
Roman

DIWAN E SUKHAN

"Har ek baat pe kehte ho..."
Urdu Hindi Roman
Ghazalein
Full Ghazals
Ash'aar
Couplets Feed
Nazmein
Story in Verse
Bayaaz
My Diary
Takhleeq
Create & Submit Poetry
View All
View All
Blog e Sukhan

Adab aur Dastan: Shayaron ki Mehfil

Urdu adab ke sunehre daur ki kahaniyan, azeem shayaron ke posheeda qisse, aur unki zindagiyon ke naye pehlu ek hi jagah.

Mazameen Padhein
Ishtehaar

Aapka Brand Yahan!

Diwan E Sukhan ke hazaron padhne walon tak apna paigham pohnchayein. Yeh khaas jagah premium brands aur karobar ke liye banayi gayi hai.
(TAP TO LEARN MORE!)

Ad by Fiza Perfumes Ishtehaar Ke Liye Rabta Karein
Sponsored Space
Message