اگرچہ میں اک چٹان سا آدمی رہا ہوں
مگر تیرے بعد حوصلہ ہے کہ جی رہا ہوں

وہ ریزہ ریزہ میرے بدن میں اتر رہا ہے
میں قطرہ قطرہ اسی کی آنکھوں کو پی رہا ہوں

تیری ہتھیلی پہ کس نے لکھا ہے قتل میرا
مجھے تو لگتا ہے میں تیرا دوست بھی رہا ہوں

کھلی ہیں آنکھیں مگر بدن ہے تمام پتھر
کوئی بتائے میں مر چکا ہوں کہ جی رہا ہوں

کہاں ملے گی مثال میری ستمگری کی
کہ میں گلابوں کے زخم کانٹوں سے سی رہا ہوں

نہ پوچھ مجھ سے کہ شہر والوں کا حال کیا تھا
کہ میں تو خود اپنے گھر میں بھی دو گھڑی رہا ہوں

ملا تو بیتے دنوں کا سچ اس کی آنکھ میں تھا
وہ آشنا جس سے مدتوں اجنبی رہا ہوں

بھلا دے مجھ کو کہ بے وفائی بجا ہے لیکن
گنوا نہ مجھ کو کہ میں تری زندگی رہا ہوں

وہ اجنبی بن کے اب ملے بھی تو کیا ہے 'محسن'
یہ ناز کم ہے کہ میں بھی اس کا کبھی رہا ہوں
अगरचे मैं इक चटान सा आदमी रहा हूँ
मगर तेरे बाद हौसला है कि जी रहा हूँ

वो रेज़ा रेज़ा मेरे बदन में उतर रहा है
मैं क़तरा क़तरा उसी की आँखों को पी रहा हूँ

तेरी हथेली पे किस ने लिक्खा है क़त्ल मेरा
मुझे तो लगता है मैं तेरा दोस्त भी रहा हूँ

खुली हैं आँखें मगर बदन है तमाम पत्थर
कोई बताए मैं मर चुका हूँ कि जी रहा हूँ

कहाँ मिलेगी मिसाल मेरी सितमगरी की
कि मैं गुलाबों के ज़ख़्म काँटों से सी रहा हूँ

न पूछ मुझ से कि शहर वालों का हाल क्या था
कि मैं तो ख़ुद अपने घर में भी दो घड़ी रहा हूँ

मिला तो बीते दिनों का सच उस की आँख में था
वो आश्ना जिस से मुद्दतों अजनबी रहा हूँ

भुला दे मुझ को कि बेवफ़ाई बजा है लेकिन
गँवा न मुझ को कि मैं तिरी ज़िंदगी रहा हूँ

वो अजनबी बन के अब मिले भी तो क्या है 'मोहसिन'
ये नाज़ कम है कि मैं भी उस का कभी रहा हूँ
Agarche main ek chatan sa aadmi raha hoon
Magar tere baad hausla hai ki jee raha hoon

Woh reza reza mere badan mein utar raha hai
Main qatra qatra usi ki aankhon ko pee raha hoon

Teri hatheli pe kis ne likkha hai qatl mera
Mujhe to lagta hai main tera dost bhi raha hoon

Khuli hain aankhen magar badan hai tamaam patthar
Koi batae main mar chuka hoon ki jee raha hoon

Kahan milegi misal meri sitamgari ki
Ki main gulabon ke zakhm kaanton se see raha hoon

Na poochh mujh se ki shahr walon ka haal kya tha
Ki main to khud apne ghar mein bhi do ghadi raha hoon

Mila to beete dinon ka sach us ki aankh mein tha
Woh aashna jis se muddaton ajnabi raha hoon

Bhula de mujh ko ki bewafai baja hai lekin
Ganwa na mujh ko ki main teri zindagi raha hoon

Woh ajnabi ban ke ab mile bhi to kya hai 'Mohsin'
Ye naaz kam hai ki main bhi us ka kabhi raha hoon
Aur Shayari Padhein →
SUKHAN
اردو
हिंदी
Roman

DIWAN E SUKHAN

"Har ek baat pe kehte ho..."
Urdu Hindi Roman
Ghazalein
Full Ghazals
Ash'aar
Couplets Feed
Nazmein
Story in Verse
Bayaaz
My Diary
Takhleeq
Create & Submit Poetry
View All
View All
Blog e Sukhan

Adab aur Dastan: Shayaron ki Mehfil

Urdu adab ke sunehre daur ki kahaniyan, azeem shayaron ke posheeda qisse, aur unki zindagiyon ke naye pehlu ek hi jagah.

Mazameen Padhein
Ishtehaar

Aapka Brand Yahan!

Diwan E Sukhan ke hazaron padhne walon tak apna paigham pohnchayein. Yeh khaas jagah premium brands aur karobar ke liye banayi gayi hai.
(TAP TO LEARN MORE!)

Ad by Fiza Perfumes Ishtehaar Ke Liye Rabta Karein
Sponsored Space
Message