ہوش مندوں کو بھی مدہوش بنا دیتا ہے
عشق بستر کو بھی آغوش بنا دیتا ہے

اپنی رفتار و ذہانت کا تکبر اکثر
دوڑنے والوں کو خرگوش بنا دیتا ہے

تم کو معلوم ہے اس شخص کی آنکھوں کا طلسم
پیر زادوں کو بھی مے نوش بنا دیتا ہے

مجھ سے خوددار سے ہوگی نہ غلامی تیری
کام کردار کو پاپوش بنا دیتا ہے

دور تنہائی میں دل کھول کے رونے کا عمل
خانۂ دل کو سبک دوش بنا دیتا ہے

ہارنے لگتا ہوں میں عشق کے آزار سے جب
درد ہجراں مجھے پرجوش بنا دیتا ہے
होश-मंदों को भी मदहोश बना देता है
इश्क़ बिस्तर को भी आग़ोश बना देता है

अपनी रफ़्तार ओ ज़हानत का तकब्बुर अक्सर
दौड़ने वालों को ख़रगोश बना देता है

तुम को मालूम है उस शख़्स की आँखों का तिलिस्म
पीर-ज़ादों को भी मै-नोश बना देता है

मुझ से ख़ुद्दार से होगी न ग़ुलामी तेरी
काम किरदार को पापोश बना देता है

दौर-ए-तन्हाई में दिल खोल के रोने का अमल
ख़ाना-ए-दिल को सुबुक-दोश बना देता है

हारने लगता हूँ मैं इश्क़ के आज़ार से जब
दर्द-ए-हिज्राँ मुझे पुर-जोश बना देता है
hosh mandon ko bhi madhosh bana deta hai
ishq bistar ko bhi aaghosh bana deta hai

apni raftar o zahanat ka takabbur aksar
daudne walon ko khargosh bana deta hai

tum ko maloom hai us shakhs ki aankhon ka tilism
peer zadon ko bhi mai-nosh bana deta hai

mujh se khuddar se hogi na ghulami teri
kaam kirdar ko paposh bana deta hai

daur-e-tanhai mein dil khol ke rone ka amal
khana-e-dil ko subuk-dosh bana deta hai

haarne lagta hoon main ishq ke aazar se jab
dard-e-hijran mujhe purjosh bana deta hai
Aur Shayari Padhein →
SUKHAN
اردو
हिंदी
Roman

DIWAN E SUKHAN

"Har ek baat pe kehte ho..."
Urdu Hindi Roman
Ghazalein
Full Ghazals
Ash'aar
Couplets Feed
Nazmein
Story in Verse
Bayaaz
My Diary
Takhleeq
Create & Submit Poetry
View All
View All
Blog e Sukhan

Adab aur Dastan: Shayaron ki Mehfil

Urdu adab ke sunehre daur ki kahaniyan, azeem shayaron ke posheeda qisse, aur unki zindagiyon ke naye pehlu ek hi jagah.

Mazameen Padhein
Ishtehaar

Aapka Brand Yahan!

Diwan E Sukhan ke hazaron padhne walon tak apna paigham pohnchayein. Yeh khaas jagah premium brands aur karobar ke liye banayi gayi hai.
(TAP TO LEARN MORE!)

Ad by Fiza Perfumes Ishtehaar Ke Liye Rabta Karein
Sponsored Space
Message