ہم آسمان کو پہلے زمین کہتے تھے
ہمیں فرشتے فلک کا مکین کہتے تھے

تو ہی بتا کہ میں کیوں کر نہ عشق کرتا یار
مرے بزرگ محبت کو دین کہتے تھے

وہ سانولی تھی مگر وہ کشش تھی چہرے میں
حسین لوگ بھی اس کو حسین کہتے تھے

ہماری عقل پہ پردے پڑے محبت میں
وگر نہ لوگ ہمیں بھی ذہین کہتے تھے

اب ایسی بات تو میں عالموں سے سنتا ہوں
جو گزرے وقت میں کچھ جاہلین کہتے تھے
हम आसमान को पहले ज़मीन कहते थे
हमें फ़रिश्ते फ़लक का मकीन कहते थे

तू ही बता कि मैं क्यूँ कर न इश्क़ करता यार
मिरे बुज़ुर्ग मोहब्बत को दीन कहते थे

वो साँवली थी मगर वो कशिश थी चेहरे में
हसीन लोग भी उस को हुसैन कहते थे

हमारी अक़्ल पे पर्दे पड़े मोहब्बत में
वगर न लोग हमें भी ज़हीन कहते थे

अब ऐसी बात तो मैं आलिमों से सुनता हूँ
जो गुज़रे वक़्त में कुछ जाहिलीन कहते थे
hum aasman ko pehle zameen kehte the
hamein farishte falak ka makeen kehte the

tu hi bata ke main kyon kar na ishq karta yaar
mere buzurg mohabbat ko deen kehte the

wo sanwali thi magar wo kashish thi chehre mein
haseen log bhi us ko haseen kehte the

hamari aql pe parde pade mohabbat mein
wagar na log hamein bhi zaheen kehte the

ab aisi baat to main aalimon se sunta hoon
jo guzre waqt mein kuch jahileen kehte the
Aur Shayari Padhein →
SUKHAN
اردو
हिंदी
Roman

DIWAN E SUKHAN

"Har ek baat pe kehte ho..."
Urdu Hindi Roman
Ghazalein
Full Ghazals
Ash'aar
Couplets Feed
Nazmein
Story in Verse
Bayaaz
My Diary
Takhleeq
Create & Submit Poetry
View All
View All
Blog e Sukhan

Adab aur Dastan: Shayaron ki Mehfil

Urdu adab ke sunehre daur ki kahaniyan, azeem shayaron ke posheeda qisse, aur unki zindagiyon ke naye pehlu ek hi jagah.

Mazameen Padhein
Ishtehaar

Aapka Brand Yahan!

Diwan E Sukhan ke hazaron padhne walon tak apna paigham pohnchayein. Yeh khaas jagah premium brands aur karobar ke liye banayi gayi hai.
(TAP TO LEARN MORE!)

Ad by Fiza Perfumes Ishtehaar Ke Liye Rabta Karein
Sponsored Space
Message