لپٹ رہی ہیں سلاخیں ہمیں جدا نہ کرو
جو قید کر ہی لیا ہے تو پھر رہا نہ کرو

نہ جانے کون ہو مخبر یہاں پہ حاکم کا
بغاوتوں کے لیے سب سے یوں کہا نہ کرو

کہیں محال نہ ہو جائے مسکرانا بھی
کسی کے عشق میں ہو اس کا تذکرہ نہ کرو

پرندے کھڑکی پہ بیٹھے ہیں کام پر جائیں
تم اتنی دیر سے اے جانِ من اٹھا نہ کرو

منع بھی کرتے ہو پھر خود ہی چوم لیتے ہو
منع کیا نہ کرو یا تو پھر کیا نہ کرو

ہر ایک شخص یہاں بس خبر ہی ڈھونڈتا ہے
ہمارا نام بھی یوں ہی کہیں لیا نہ کرو
लिपट रही हैं सलाख़ें हमें जुदा न करो
जो क़ैद कर ही लिया है तो फिर रिहा न करो

न जाने कौन हो मुख़बिर यहाँ पे हाकिम का
बग़ावतों के लिए सब से यूँ कहा न करो

कहीं मुहाल न हो जाए मुस्कुराना भी
किसी के इश्क़ में हो उस का तज़किरा न करो

परिंदे खिड़की पे बैठे हैं काम पर जाएँ
तुम इतनी देर से ऐ जान-ए-मन उठा न करो

मना भी करते हो फिर ख़ुद ही चूम लेते हो
मना किया न करो या तो फिर किया न करो

हर एक शख़्स यहाँ बस ख़बर ही ढूँढता है
हमारा नाम भी यूँ ही कहीं लिया न करो
lipat rahi hain salakhein hamein juda na karo
jo qaid kar hi liya hai to phir riha na karo

na jaane kaun ho mukhbir yahan pe haakim ka
baghawaton ke liye sab se yun kaha na karo

kahin muhaal na ho jaye muskurana bhi
kisi ke ishq mein ho us ka tazkira na karo

parinde khidki pe baithe hain kaam par jayein
tum itni der se ae jaan-e-man utha na karo

mana bhi karte ho phir khud hi choom lete ho
mana kiya na karo ya to phir kiya na karo

har ek shakhs yahan bas khabar hi dhundhta hai
hamara naam bhi yunhi kahin liya na karo
Aur Shayari Padhein →
SUKHAN
اردو
हिंदी
Roman

DIWAN E SUKHAN

"Har ek baat pe kehte ho..."
Urdu Hindi Roman
Ghazalein
Full Ghazals
Ash'aar
Couplets Feed
Nazmein
Story in Verse
Bayaaz
My Diary
Takhleeq
Create & Submit Poetry
View All
View All
Blog e Sukhan

Adab aur Dastan: Shayaron ki Mehfil

Urdu adab ke sunehre daur ki kahaniyan, azeem shayaron ke posheeda qisse, aur unki zindagiyon ke naye pehlu ek hi jagah.

Mazameen Padhein
Ishtehaar

Aapka Brand Yahan!

Diwan E Sukhan ke hazaron padhne walon tak apna paigham pohnchayein. Yeh khaas jagah premium brands aur karobar ke liye banayi gayi hai.
(TAP TO LEARN MORE!)

Ad by Fiza Perfumes Ishtehaar Ke Liye Rabta Karein
Sponsored Space
Message