یہ تو نہیں کہ غم نہیں
ہاں مری آنکھ نم نہیں

نشہ سنبھالے ہے مجھے
بہکے ہوئے قدم نہیں

کہتے ہو دہر کو بھرم
مجھ کو تو یہ بھرم نہیں

اور ہی ہے مقام دل
دیر نہیں حرم نہیں

تم بھی تو تم نہیں ہو آج
ہم بھی تو آج ہم نہیں

کیا مری زندگی تری
بھولی ہوئی قسم نہیں

غالبؔ و میرؔ و مصحفیؔ
ہم بھی فراقؔ کم نہیں
ये तो नहीं कि ग़म नहीं
हाँ मिरी आँख नम नहीं

नश्शा सँभाले है मुझे
बहके हुए क़दम नहीं

कहते हो दहर को भरम
मुझ को तो ये भरम नहीं

और ही है मक़ाम-ए-दिल
दैर नहीं हरम नहीं

तुम भी तो तुम नहीं हो आज
हम भी तो आज हम नहीं

क्या मिरी ज़िंदगी तिरी
भूली हुई क़सम नहीं

'ग़ालिब'-ओ-'मीर'-ओ-'मुसहफ़ी'
हम भी 'फ़िराक़' कम नहीं
ye to nahīñ ki ġham nahīñ
haañ mirī aañkh nam nahīñ

nashsha sambhāle hai mujhe
bahke hue qadam nahīñ

kahte ho dahr ko bharam
mujh ko to ye bharam nahīñ

aur hī hai maqām-e-dil
dair nahīñ haram nahīñ

tum bhī to tum nahīñ ho aaj
ham bhī to aaj ham nahīñ

kyā mirī zindagī tirī
bhūlī huī qasam nahīñ

'ġhālib'-o-'mīr'-o-'mus.hafī'
ham bhī 'firāq' kam nahīñ
Aur Shayari Padhein →
SUKHAN
اردو
हिंदी
Roman

DIWAN E SUKHAN

"Har ek baat pe kehte ho..."
Urdu Hindi Roman
Ghazalein
Full Ghazals
Ash'aar
Couplets Feed
Nazmein
Story in Verse
Bayaaz
My Diary
Takhleeq
Create & Submit Poetry
View All
View All
Blog e Sukhan

Adab aur Dastan: Shayaron ki Mehfil

Urdu adab ke sunehre daur ki kahaniyan, azeem shayaron ke posheeda qisse, aur unki zindagiyon ke naye pehlu ek hi jagah.

Mazameen Padhein
Ishtehaar

Aapka Brand Yahan!

Diwan E Sukhan ke hazaron padhne walon tak apna paigham pohnchayein. Yeh khaas jagah premium brands aur karobar ke liye banayi gayi hai.
(TAP TO LEARN MORE!)

Ad by Fiza Perfumes Ishtehaar Ke Liye Rabta Karein
Sponsored Space
Message