گئے برس کی عید کا دن کیا اچھا تھا
چاند کو دیکھ کے اس کا چہرہ دیکھا تھا
فضا میں 'کیٹس' کے لہجے کی نرماہٹ تھی

موسم اپنے رنگ میں 'فیض' کا مصرع تھا
دعا کے بے آواز الوہی لمحوں میں

وہ لمحہ بھی کتنا دلکش لمحہ تھا
ہاتھ اٹھا کر جب آنکھوں ہی آنکھوں میں

اس نے مجھ کو اپنے رب سے مانگا تھا
پھر میرے چہرے کو ہاتھوں میں لے کر

کتنے پیار سے میرا ماتھا چوما تھا!
ہوا! کچھ آج کی شب کا بھی احوال سنا

کیا وہ اپنی چھت پر آج اکیلا تھا؟
یا کوئی میرے جیسی ساتھ تھی اور اس نے

چاند کو دیکھ کے اس کا چہرہ دیکھا تھا؟
गए बरस की ईद का दिन क्या अच्छा था
चाँद को देख के उस का चेहरा देखा था
फ़ज़ा में 'कीट्स' के लहजे की नरमाहट थी

मौसम अपने रंग में 'फ़ैज़' का मिसरा था
दुआ के बे-आवाज़ उलूही लम्हों में

वो लम्हा भी कितना दिलकश लम्हा था
हाथ उठा कर जब आँखों ही आँखों में

उस ने मुझ को अपने रब से माँगा था
फिर मेरे चेहरे को हाथों में ले कर

कितने प्यार से मेरा माथा चूमा था!
हवा! कुछ आज की शब का भी अहवाल सुना

क्या वो अपनी छत पर आज अकेला था?
या कोई मेरे जैसी साथ थी और उस ने

चाँद को देख के उस का चेहरा देखा था?
Gaye baras ki eid ka din kya achchha tha
Chand ko dekh ke us ka chehra dekha tha
Faza mein 'Keats' ke lehje ki narmahat thi

Mausam apne rang mein 'Faiz' ka misra tha
Dua ke be-aawaaz uloohi lamhon mein

Woh lamha bhi kitna dilkash lamha tha
Hath utha kar jab aankhon hi aankhon mein

Us ne mujh ko apne rab se maanga tha
Phir mere chehre ko hathon mein le kar

Kitne pyaar se mera matha chooma tha!
Hawa! Kuch aaj ki shab ka bhi ahwaal suna

Kya woh apni chhat par aaj akela tha?
Ya koi mere jaisi saath thi aur us ne

Chand ko dekh ke us ka chehra dekha tha?
Aur Shayari Padhein →
SUKHAN
اردو
हिंदी
Roman

DIWAN E SUKHAN

"Har ek baat pe kehte ho..."
Urdu Hindi Roman
Ghazalein
Full Ghazals
Ash'aar
Couplets Feed
Nazmein
Story in Verse
Bayaaz
My Diary
Takhleeq
Create & Submit Poetry
View All
View All
Blog e Sukhan

Adab aur Dastan: Shayaron ki Mehfil

Urdu adab ke sunehre daur ki kahaniyan, azeem shayaron ke posheeda qisse, aur unki zindagiyon ke naye pehlu ek hi jagah.

Mazameen Padhein
Ishtehaar

Aapka Brand Yahan!

Diwan E Sukhan ke hazaron padhne walon tak apna paigham pohnchayein. Yeh khaas jagah premium brands aur karobar ke liye banayi gayi hai.
(TAP TO LEARN MORE!)

Ad by Fiza Perfumes Ishtehaar Ke Liye Rabta Karein
Sponsored Space
Message