DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Abdul Hamid Adam

1910 (Gujranwala) – 1981 (Lahore) • Master of Short Meter

"A prolific, cynical, and famously alcoholic poet, Abdul Hamid Adam mastered the art of writing in short meter (chhote beher ki ghazal). His verses are deceptively simple and often laced with dark humor, but they carry a deep, underlying sadness and a sharp commentary on the hypocrisies of society."

Mashhoor Ash'aar

sirf ik qadam utha tha ghalat raah-e-shauq mein manzil tamam umr mujhe dhoondhti rahi...
dil abhi poori tarah toota nahin doston ki mehrbani chahiye...
barish sharab-e-arsh hai ye soch kar 'adam' barish ke sab huruuf ko ulta ke pee gaya...
dil khush hua hai masjid-e-viran ko dekh kar meri tarah khuda ka bhi khana kharab hai...
kahte hain umr-e-rafta kabhi lautti nahin jaa mai-kade se meri jawani utha ke laa...
ai gham-e-zindagi na ho naraz mujh ko aadat hai muskurane ki...
jin se insan ko pahunchti hai hamesha takleef un ka daawa hai ki wo asl khuda wale hain...
shayad mujhe nikaal ke pachhta rahe hon aap mahfil mein is khayal se phir aa gaya hoon main...
saqi mujhe sharab ki tohmat nahin pasand mujh ko tiri nigaah ka ilzaam chahiye...
main mai-kade ki raah se ho kar nikal gaya warna safar hayaat ka kaafi taweel tha...
ik haseen aankh ke ishare par qafile raah bhool jaate hain...
badh ke toofan ko aaghosh mein le le apni doobne wale tire haath se sahil to gaya...
muskurahat hai husn ka zevar muskurana na bhool jaya karo...
takleef mit gayi magar ehsaas rah gaya khush hoon ki kuchh na kuchh to mire paas rah gaya...
husn ik dilruba hukoomat hai ishq ik qudrati ghulami hai...
ijazat ho to main tasdeeq kar lun teri zulfon se suna hai zindagi ik khoob-soorat daam hai saqi...
thodi si aql laaye the ham bhi magar 'adam' duniya ke hadsat ne deewana kar diya...
main umr bhar jawab nahin de saka 'adam' wo ik nazar mein itne sawalat kar gaye...
shikan na daal jabeen par sharab dete hue ye muskurati hui cheez muskura ke pila...
wo mile bhi to ik jhijhak si rahi kaash thodi si ham piye hote...
zara ik tabassum ki takleef karna ki gulzar mein phool murjha rahe hain...
zindagi ke udaas lamhon mein bewafa dost yaad aate hain...
ye alag baat hai saqi ki mujhe hosh nahin hosh itna hai ki main tujh se faramosh nahin...
jab tire nain muskurate hain zeest ke ranj bhool jaate hain...
kaun angdaai le raha hai 'adam' do jahan ladkhadaye jaate hain...
main bad-naseeb hoon mujh ko na de khushi itni ki main khushi ko bhi le kar kharab kar doonga...
jin ko daulat haqeer lagti hai uf wo kitne ameer hote hain...
chhoda nahin khudi ko daude khuda ke peechhe aasan ko chhod bande mushkil ko dhoondte hain...
ham ne tumhaare baad na rakkhī kisi se aas ik tajraba bahut tha bade kaam aa gaya...
sawal kar ke main khud hi bahut pasheman hoon jawab de ke mujhe aur sharmsar na kar...
log kahte hain ki tum se hi mohabbat hai mujhe tum jo kahte ho ki wahshat hai to wahshat hogi...
saqi zara nigaah mila kar to dekhna kambakht hosh mein to nahin aa gaya hoon main...
ham ko shahon ki adalat se tawaqqo to nahin aap kahte hain to zanjeer hila dete hain...
marne wale to khair hain bebas jeene wale kamaal karte hain...
mai-kada hai yahan sukoon se baith koi aafat idhar nahin aati...
had se badh kar haseen lagte ho jhooti qasmein zaroor khaya karo...
pahle badi raghbat thi tire naam se mujh ko ab sun ke tira naam main kuchh soch raha hoon...
baaz auqat kisi aur ke milne se adam apni hasti se mulaqat bhi ho jaati hai...
takhliq-e-kayenat ke dilchasp jurm par hansta to hoga aap bhi yazdan kabhi kabhi...
shauqiya koi nahin hota ghalat is mein kuchh teri raza maujud hai...
kashti chala raha hai magar kis ada ke saath ham bhi na doob jaayen kahin na-khuda ke saath...
ye kya ki tum ne jafa se bhi haath kheench liya miri wafaon ka kuchh to sila diya hota...
kabhi to dair-o-haram se tu aayega wapas main mai-kade mein tera intezar kar loonga...
sab ko pahuncha ke un ki manzil par aap raste mein rah gaya hoon main...
chhup chhup ke jo aata hai abhi meri gali mein ik roz mere saath sar-e-aam chalega...
phir aaj adam shaam se ghamgeen hai tabiat phir aaj sar-e-shaam main kuchh soch raha hoon...
har dil-fareb cheez nazar ka ghubar hai aankhein haseen hon to khizan bhi bahaar hai...
dekha hai kis nigah se tu ne sitam-zarif mahsoos ho raha hai main gharq-e-sharab hoon...
bole koi hans kar to chhidak dete hain jaan bhi lekin koi roothe to manaya nahin jaata...
mahshar mein ik sawal kiya tha kareem ne mujh se wahan bhi aap ki tareef ho gayi...
zindagi hai ik kiraye ki khushi sookhte talaab ka pani hoon main...
so bhi ja ai dil-e-majrooh bahut raat gayi ab to rah rah ke sitaron ko bhi neend aati hai...
ya dupatta na lijiye sar par ya dupatta sambhal kar chaliye...
aankh ka etibar kya karte jo bhi dekha wo khwab mein dekha...
aankhon se pilate raho saghar mein na daalo ab ham se koi jaam uthaya nahin jaata...
kuchh kuchh miri aankhon ka tasarruf bhi hai shamil itna to haseen tu mire gulfam nahin hai...
lazzat-e-gham to bakhsh di us ne hausle bhi adam diye hote...
zindagi ke haseen tarkash mein kitne be-rahm teer hote hain...
zaban-e-hosh se ye kufr sarzad ho nahin sakta main kaise bin piye le loon khuda ka naam ai saqi...
saqi mire khuloos ki shiddat ko dekhna phir aa gaya hoon gardish-e-dauran ko taal kar...
ai dost mohabbat ke sadme tanha hi uthane padte hain rahbar to faqat is raste mein do gaam sahara dete hain...
jee chahta hai aaj adam un ko chhediye dar dar ke pyaar karne mein koi maza nahin...
aur to dil ko nahin hai koi takleef adam haan zara nabz kisi waqt thahar jaati hai...
gulon ko khil ke murjhana pada hai tabassum ki saza kitni badi hai...
aap ik zahmat-e-nazar to karein kaun behosh ho nahin sakta...
zindagi zor hai rawani ka kya thamega bahaw paani ka...
kisi haseen se lipatna ashad zaroori hai hilal-e-eid to koi suboot-e-eid nahin...
saqi tujhe ik thodi si takleef to hogi saghar ko zara thaam main kuchh soch raha hoon...
adam roz-e-ajal jab qismatein taqseem hoti thin muqaddar ki jagah main saghar-o-meena utha laya...
junoon ab manzilein tai kar raha hai khirad rasta dikha kar rah gayi hai...
ham aur log hain ham se bahut ghurur na kar kaleem tha jo tira naaz sah gaya hoga...
tauba ka takalluf kaun kare halaat ki niyyat theek nahin rahmat ka irada bigda hai barsaat ki niyyat theek nahin...
kisi ne haal jo poochha to ho gaye khamosh tumhari baat ham apni zaban se kya kahte...
haath se kho na baithna us ko itni khuddariyan nahin achchhi...
naujawani mein parsa hona kaisa kar-e-zaboon hai pyare...
wo parinde jo aankh rakhte hain sab se pahle aseer hote hain...
muddaa door tak gaya lekin aarzoo laut kar nahin aayi...
mere hone mein mira apna nahin tha kuchh shareek meri hasti sirf tere etina ki baat thi...
khuda ne gadh to diya aalam-e-wujud magar sajawaton ki bina auraton ki zaat hui...
jis se chhupna chahta hoon main adam wo sitamgar ja-ba-ja maujud hai...
tadap kar main ne tauba tod daali tiri rahmat pe ilzam aa raha tha...
apnon se bhi itna takalluf kitne duniya-dar bane ho...
girte hain log garmi-e-bazar dekh kar sarkar dekh kar miri sarkar dekh kar...
mujhe tauba ka poora ajr milta hai usi saat koi zohra-jabeen peene pe jab majboor karta hai...
main yun talash-e-yaar mein deewana ho gaya kaabe mein paanv rakkha to but-khana ho gaya...
jeb khali hai adam mai qarz par milti nahin ek do botal pe deewan bechne wala hoon main...
peer-e-mughan se ham ko koi bair to nahin thoda sa ikhtilaf hai mard-e-khuda ke saath...
wo ahd-e-jawani wo kharabat ka aalam naghmat mein doobi hui barsaat ka aalam...
adam bahut hi agar roothne lagi ummid kisi ke waade pe phir etibar kar loonga...
hujum-e-hashr mein kholoonga adl ka daftar abhi to faisle tahrir kar raha hoon main...
jhaad kar gard-e-gham-e-hasti ko ud jaunga main be-khabar aisi bhi ik parvaz aati hai mujhe...
haule haule wasl hua dheere dheere jaan gayi...
kis ko samjhane lage aap janab-e-naseh main to nadan hoon magar aap to nadan nahin...
kisi janib se koi mah-jabeen aane hi wala hai mujhe yaad aa rahi hai aaj mathura aur kashi ki...
kaash main teri mulaqat ko khud hi aata toor par bhej ke moosa ko pasheman hoon main...
ye roz-marra ke kuchh waqiat-e-shadi-o-gham mire khuda yahi insan ki zindagani hai...
baat ka khoon kyon karein nahaq aap ko fursat-e-jawab kahan...
main aur us ghuncha-dahan ki aarzoo aarzoo ki saadgi thi main na tha...
tujh ko kya doosron ke aibon se kyun abas roo-siyah hota hai...
tabah ho ke haqayeq ke khurdure-pan se tasawwurat ki tameer kar raha hoon main...
mauzoo-e-guftugu to miri jaan kuchh aur tha dauran-e-guftugu mein teri baat aa gayi...
wahi shai maqsad-e-qalb-o-nazar mahsoos hoti hai kami jis ki barabar umr bhar mahsoos hoti hai...
jo aksar baar-war hone se pahle toot jaate the wahi khasta shikasta ahd-o-paiman yaad aate hain...
darogh ke imtihan-kade mein sada yahi karobar hoga jo badh ke taeed-e-haq karega wahi sazawar-e-dar hoga...
jis ne mah-paron ke dil pighla diye wo to meri shayari thi main na tha...
wo haseen baitha tha jab mere qareeb lazzat-e-hamsaegi thi main na tha...
bas is qadar hai khulasa miri kahani ka ki ban ke toot gaya ik habab paani ka...
chali hai jab bhi duniya ke mazalim ki shikayat se to aksar iltifat-e-dostan tak baat pahunchi hai...
ye baatein aur mujh sa kahne wala fasana aur phir tera fasana...
Explore more on Diwan E Sukhan