DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Akbar Allahabadi

1846 (Allahabad) – 1921 (Allahabad) • Master of Satire

"A session judge by profession, Akbar Allahabadi used his razor-sharp wit and unparalleled sense of humor as a literary weapon. He was deeply critical of his contemporaries' blind, uncritical imitation of Western culture and the rapid loss of traditional Eastern values under British rule. He revolutionized satirical poetry by playfully and subversively mixing English words into traditional Urdu couplets. This created a highly entertaining, accessible, and sharply critical style that made him wildly popular in his time and keeps his verses relevant even today."

Mashhoor Ash'aar

ham aah bhi karte hain to ho jaate hain badnam vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota...
ishq nazuk-mizaj hai behad aql ka bojh uTha nahin sakta...
duniya mein hun duniya ka talabgar nahin hun bazar se guzra hun kharidar nahin hun...
ham kya kahen ahbab kya kar-e-numayan kar gae B.A. hue naukar hue pension mili phir mar gae...
haya se sar jhuka lena ada se muskura dena hasinon ko bhi kitna sahl hai bijli gira dena...
mazhabi bahs main ne ki hi nahin faltu aql mujh mein thi hi nahin...
jo kaha main ne ki pyaar aata hai mujh ko tum par hans ke kahne laga aur aap ko aata kya hai...
aai hogi kisi ko hijr mein maut mujh ko to niind bhi nahin aati...
rahta hai ibadat mein hamein maut ka khaTka ham yaad-e-khuda karte hain, kar le na khuda yaad...
khincho na kamanon ko na talvar nikalo jab top muqabil ho to akhbar nikalo...
akbar dabe nahin kisi sultan ki fauj se lekin shahid ho gae bivi ki nauj se...
log kahte hain badalta hai zamana sab ko mard vo hain jo zamane ko badal dete hain...
ham aisi kul kitaben qabil-e-zabti samajhte hain ki jin ko paDh ke laDke baap ko khabti samajhte hain...
hangama hai kyun barpa thoDi si jo pi li hai Daka to nahin maara chori to nahin ki hai...
bas jaan gaya main tiri pahchan yahi hai tu dil mein to aata hai samajh mein nahin aata...
ilahi kaisi kaisi suraten tu ne banai hain ki har surat kaleje se laga lene ke qabil hai...
ishq ke izhar mein har-chand rusvai to hai par karun kya ab tabiat aap par aai to hai...
khuda se maang jo kuchh mangna hai ai akbar yahi vo dar hai ki zillat nahin saval ke baad...
qaum ke gham mein dinner khaate hain hukkam ke saath ranj leader ko bahut hai magar aaram ke saath...
jab main kahta hun ki ya allah mera haal dekh hukm hota hai ki apna nama-e-amal dekh...
raqibon ne rapaT likhvai hai ja ja ke thaane mein ki akbar naam leta hai khuda ka is zamane mein...
lipaT bhi ja na ruk akbar ghazab ki beauty hai nahin nahin pe na ja ye haya ki duty hai...
ghazab hai vo ziddi baDe ho gae main leTa to uTh ke khaDe ho gae...
aah jo dil se nikali jaegi kya samajhte ho ki khaali jaegi...
bataun aap ko marne ke baad kya hoga polao khaaenge ahbab fatiha hoga...
jo vaqt-e-khatna main chikha to nai ne kaha hans kar musalmani mein taqat khuun hi bahne se aati hai...
haqiqi aur majazi shairi mein farq ye paaya ki vo jaame se bahar hai ye pajame se bahar hai...
har zarra chamakta hai anvar-e-ilahi se har saans ye kahti hai ham hain to khuda bhi hai...
vasl ho ya firaq ho akbar jagna raat bhar musibat hai...
mai bhi hotel mein piyo chanda bhi do masjid mein shaikh bhi khush rahein shaitan bhi be-zar na ho...
tayyar the namaz pe ham sun ke zikr-e-hur jalva buton ka dekh ke niyat badal gai...
is qadar tha khaTmalon ka charpai mein hujum vasl ka dil se mire arman rukhsat ho gaya...
coat aur patlun jab pahna to mister ban gaya jab koi taqrir ki jalse mein leader ban gaya...
dhamka ke bose lunga rukh-e-rashk-e-mah ka chanda vasul hota hai sahab dabav se...
mohabbat ka tum se asar kya kahun nazar mil gai dil dhaDakne laga...
aql mein jo ghir gaya la-intiha kyunkar hua jo sama mein aa gaya phir vo khuda kyunkar hua...
naaz kya is pe jo badla hai zamane ne tumhein mard hain vo jo zamane ko badal dete hain...
sidharen shaikh kaaba ko ham inglistan dekhenge vo dekhen ghar khuda ka ham khuda ki shaan dekhenge...
ishva bhi hai shokhi bhi tabassum bhi haya bhi zalim mein aur ik baat hai is sab ke siva bhi...
ye dilbari ye naaz ye andaz ye jamal insan kare agar na tiri chaah kya kare...
samajh mein saaf aa jaae fasahat is ko kahte hain asar ho sunne vaale par balaghat is ko kahte hain...
dava bahut baDa hai riyazi mein aap ko tul-e-shab-e-firaq ko to naap dijiye...
leaderon ki dhuum hai aur follower koi nahin sab to general hain yahan aakhir sipahi kaun hai...
sau jaan se ho jaunga raazi main saza par pahle vo mujhe apna gunahgar to kar le...
jab gham hua chaDha liin do botalen ikaTThi mulla ki dauD masjid akbar ki dauD bhaTTi...
dil vo hai ki fariyad se labrez hai har vaqt ham vo hain ki kuchh munh se nikalne nahin dete...
siine se lagaen tumhein arman yahi hai jiine ka maza hai to miri jaan yahi hai...
shaikh apni rag ko kya karen reshe ko kya karen mazhab ke jhagDe chhoDen to peshe ko kya karen...
hue is qadar mohazzab kabhi ghar ka munh na dekha kaTi umr hoTalon mein mare aspatal ja kar...
lagavaT ki ada se un ka kahna paan hazir hai qayamat hai sitam hai dil fida hai jaan hazir hai...
tashbih tire chehre ko kya dun gul-e-tar se hota hai shagufta magar itna nahin hota...
log kahte hain ki bad-nami se bachna chahiye kah do be is ke javani ka maza milta nahin...
asar ye tere anfas-e-masihai ka hai akbar allahabad se langDa chala lahore tak pahuncha...
kuchh allahabad mein saman nahin bahbud ke yaan dhara kya hai ba-juz akbar ke aur amrud ke...
jis taraf uTh gai hain aahen hain chashm-e-bad-dur kya nigahen hain...
falsafi ko bahs ke andar khuda milta nahin Dor ko suljha raha hai aur sira milta nahin...
aashiqi ka ho bura us ne bigaDe saare kaam ham to a.b. mein rahe aghyar b.a. ho gae...
ab to hai ishq-e-butan mein zindagani ka maza jab khuda ka samna hoga to dekha jaega...
javani ki dua laDkon ko na-haq log dete hain yahi laDke miTate hain javani ko javan ho kar...
khush-nasib aaj bhala kaun hai gauhar ke siva sab kuchh allah ne de rakkha hai shauhar ke siva...
taalluq aashiq o mashuq ka to lutf rakhta tha maze ab vo kahan baaqi rahe bivi miyan ho kar...
paD jaaen mire jism pe laakh aable akbar paDh kar jo koi phunk de april may june...
kya vo khvahish ki jise dil bhi samajhta ho haqir aarzu vo hai jo siine mein rahe naaz ke saath...
bole ki tujh ko diin ki islah farz hai main chal diya ye kah ke ki aadab arz hai...
in ko kya kaam hai muravvat se apni rukh se ye munh na moDenge jaan shayad farishte chhoD bhi den doctor fees ko na chhoDenge...
mere havas ishq mein kya kam hain muntashir majnun ka naam ho gaya qismat ki baat hai...
yahan ki auraton ko ilm ki parva nahin be-shak magar ye shauharon se apne be-parva nahin hotin...
zaruri chiiz hai ik tajraba bhi zindagani mein tujhe ye digriyan buDhon ka ham-sin kar nahin saktin...
khilaf-e-shara kabhi shaikh thukta bhi nahin magar andhere ujale mein chukta bhi nahin...
college se aa rahi hai sada paas paas ki ohdon se aa rahi hai sada duur duur ki...
marub ho gae hain vilayat se shaikh-ji ab sirf mana karte hain desi sharab ko...
ye hai ki jhukata hai mukhalif ki bhi gardan sun lo ki koi shai nahin ehsan se behtar...
naukaron par jo guzarti hai mujhe maalum hai bas karam kije mujhe bekar rahne dijiye...
puchha akbar hai aadmi kaisa hans ke bole vo aadmi hi nahin...
meri ye bechainiyan aur un ka kahna naaz se hans ke tum se bol to lete hain aur ham kya karen...
kis naaz se kahte hain vo jhunjhla ke shab-e-vasl tum to hamein karvaT bhi badalne nahin dete...
ghamza nahin hota ki ishaara nahin hota aankh un se jo milti hai to kya kya nahin hota...
dukhtar-e-raz ne uTha rakkhi hai aafat sar par khairiyat guzri ki angur ke beTa na hua...
unhein bhi josh-e-ulfat ho to lutf uTThe mohabbat ka hamin din-raat agar taDpe to phir is mein maza kya hai...
ek kafir par tabiat aa gai parsai par bhi aafat aa gai...
agar mazhab khalal-andaz hai mulki maqasid mein to shaikh o barhaman pinhan rahein dair o masajid mein...
but-kade mein shor hai akbar musalman ho gaya be-vafaon se koi kah de ki haan haan ho gaya...
tum naak chaDhate ho miri baat pe ai shaikh khinchungi kisi roz main ab kaan tumhaare...
boot Dawson ne banaya main ne ik mazmun likha mulk mein mazmun na phaila aur juta chal gaya...
nazar un ki rahi college ke bas ilmi favaid par gira ke chupke chupke bijliyan dini aqaid par...
hazar shaikh ne daDhi baDhai san ki si magar vo baat kahan maulvi madan ki si...
main hun kya chiiz jo us tarz pe jaun akbar nasikh o zauq bhi jab chal na sake miir ke saath...
shaikh ki davat mein mai ka kaam kya ehtiyatan kuchh manga li jaegi...
tahsin ke laaeq tira har sher hai akbar ahbab karen bazm mein ab vaah kahan tak...
vaah kya raah dikhai hai hamein murshid ne kar diya kaabe ko gum aur kalisa na mila...
javani ki hai aamad sharm se jhuk sakti hain aankhen magar siine ka fitna ruk nahin sakta ubharne se...
nigahen kamilon par paD hi jaati hain zamane ki kahin chhupta hai akbar phuul patton mein nihan ho kar...
maut aai ishq mein to hamein niind aa gai nikli badan se jaan to kanTa nikal gaya...
kuchh tarz-e-sitam bhi hai kuchh andaz-e-vafa bhi khulta nahin haal un ki tabiat ka zara bhi...
masjid ka hai khayal na parva-e-church hai jo kuchh hai ab to college-o-teacher mein kharch hai...
dam labon par tha dil-e-zaar ke ghabrane se aa gai jaan mein jaan aap ke aa jaane se...
Daal de jaan maani mein vo urdu ye hai karvaTen lene lage tab.a vo pahlu ye hai...
public mein zara haath mila lijiye mujh se sahab mire iman ki qimat hai to ye hai...
buton ke pahle bande the mison ke ab hue khadim hamein har ahd mein mushkil raha hai ba-khuda hona...
kuchh nahin kar-e-falak hadsa-pashi ke siva falsafa kuchh nahin alfaz-tarashi ke siva...
sab ho chuke hain us but-e-kafir-ada ke saath rah jaenge rasul hi bas ab khuda ke saath...
chashm-e-jahan se halat-e-asli chhupi nahin akhbar mein jo chahiye vo chhaap dijiye...
shaikh ji ghar se na nikle aur mujh se kah diya aap b.a pass hain aur banda bibi paas hai...
tumhaare vaaz mein tasir to hai hazrat-e-vaiz asar lekin nigah-e-naaz ka bhi kam nahin hota...
gham-khan-e-jahan mein vaqat hi kya hamari ik na-shunida uf hain ik aah-e-be-asar hain...
har chand bagula muztar hai ik josh to us ke andar hai ik vajd to hai ik raqs to hai bechain sahi barbad sahi...
is gulistan mein bahut kaliyan mujhe taDpa gain kyun lagi thin shaakh mein kyun be-khile murjha gain...
mira mohtaj hona to miri haalat se zahir hai magar haan dekhna hai aap ka hajat-rava hona...
kya hi rah rah ke tabiat miri ghabrati hai maut aati hai shab-e-hijr na niind aati hai...
kaabe se jo but nikle bhi to kya kaaba hi gaya jo dil se nikal afsos ki but bhi ham se chhuTe qabze se khuda ka ghar bhi gaya...
tiri zulfon mein dil uljha hua hai bala ke pech mein aaya hua hai...
izzat ka hai na auj na neki ki mauj hai hamla hai apni qaum pe lafzon ki fauj hai...
kuchh sanat o hirfat pe bhi lazim hai tavajjoh aakhir ye government se tankhvah kahan tak...
jalva na ho maani ka to surat ka asar kya bulbul gul-e-tasvir ka shaida nahin hota...
maulvi sahib na chhoDenge khuda go bakhsh de gher hi lenge police vaale saza ho ya na ho...
iman bechne pe hain ab sab tule hue lekin kharido ho jo aligarh ke bhaav se...
kya puchhte ho akbar-e-shorida-sar ka haal khufiya police se puchh raha hai kamar ka haal...
mujh ko to dekh lene se matlab hai naseha bad-khu agar hai yaar to ho khub-ru to hai...
rah-o-rasm-e-mohabbat in hasinon se main kya rakkhun jahan tak dekhta hun nafa un ka hai zarar apna...
shaikh sahab khuda se Darte hon main to angrezon hi se Darta hun...
kamar-e-yaar hai bariki se ghaeb har chand magar itna to kahunga ki vo maadum nahin...
uruj-e-qaumi zaval-e-qaumi khuda ki qudrat ke hain karishme hamesha radd-o-badal ke andar ye amr political raha hai...
dila de ham ko bhi sahab se loyalty ka parvana qayamat tak rahe sayyad tire honour ka afsana...
haadse apne tariqon se guzarte hi rahe kyon hua aisa ye ham tahqiq karte hi rahe...
maza hai speech ka dinner mein khabar ye chhapti hai pioneer mein falak ki gardish ke saath hi saath kaam yaaron ka chal raha hai...
faqiron ke gharon mein lutf ki raaten bhi aati hain ziyarat ke liye aksar musammaten bhi aati hain...
jo zamin kucha-e-qatil mein nikalti hai nai vaqf vo bahr-e-mazar-e-shohada hoti hai...
kho gai hind ki firdaus-nishani 'akbar' kaash ho jaae koi 'milton'-e-sani paida...
vo to musa hua jo talib-e-didar hua phir vo kya hoga ki jis ne tumhein dekha hoga...
leaderi chaho to lafz-e-qaum hai mehman-navaz gap-navison ko aur ahl-e-mez ko raazi karo...
sayyad ki sarguzisht ko haali se puchhiye ghazi miyan ka haal Dafali se puchhiye...
maazur hun main hazrat ko agar hai mujh se gila bebaki ka neki ka adab to aasan hai mushkil hai adab chalaki ka...
membari se aap par to varnish ho jaegi qaum ki haalat mein kuchh is se jila ho ya na ho...
kyun civil-surgeon ka aana rokta hai ham-nashin is mein hai ik baat honour ki shifa ho ya na ho...
jo munh dikhai ki rasmon pe hai musir iblis chhupengi hazrat-e-havva ki beTiyan kab tak...
parde ka mukhalif jo suna bol uThin begam allah ki maar us par aligarh ke havale...
lagavaT bahut hai tiri aankh mein isi se to ye fitna-za ho gai...
ham mein baaqi nahin ab khalid-e-jaan-baz ka rang dil pe ghalib hai faqat hafiz-e-shiraz ka rang...
un ki aankhon ki lagavaT se hazar ai akbar diin se karti hai dil ko yahi ghammaz juda...
taalim-e-dukhtaran se ye ummid hai zarur nache dulhan khushi se khud apni barat mein...

Ghazalein

Explore more on Diwan E Sukhan