DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Ameer Minai

1829 (Lucknow) – 1900 (Hyderabad) • Master of Language

"A deeply respected scholar, practicing Sufi, and an expert lexicographer, Ameer Minai is famous for compiling the monumental, though incomplete, Urdu dictionary 'Ameer-ul-Lughat'. He served as a crucial bridge between the distinct literary cultures of Lucknow and Delhi. His poetry is characterized by being highly polished, sophisticated, and musically brilliant. Despite composing in the golden era dominated by giants like Ghalib and Daagh Dehlvi, Minai held his own, earning immense respect for his pristine language and classic romantic sensibilities."

Mashhoor Ash'aar

tum ko aata hai pyaar par ghussa mujh ko ghusse pe pyaar aata hai...
kashtiyan sab ki kinare pe pahunch jaati hain nakhuda jin ka nahin un ka khuda hota hai...
hue namvar be-nishan kaise kaise zamin kha gai aasman kaise kaise...
gaahe gaahe ki mulaqat hi achchhi hai ameer qadr kho deta hai har roz ka aana jaana...
khanjar chale kisi pe taDapte hain ham ameer saare jahan ka dard hamare jigar mein hai...
kaun si ja hai jahan jalva-e-mashuq nahin shauq-e-didar agar hai to nazar paida kar...
vasl ka din aur itna mukhtasar din gine jaate the is din ke liye...
ulfat mein barabar hai vafa ho ki jafa ho har baat mein lazzat hai agar dil mein maza ho...
aafat to hai vo naaz bhi andaz bhi lekin marta hun main jis par vo ada aur hi kuchh hai...
tiir khaane ki havas hai to jigar paida kar sarfaroshi ki tamanna hai to sar paida kar...
hans ke farmate hain vo dekh ke halat meri kyun tum aasan samajhte the mohabbat meri...
maang lun tujh se tujhi ko ki sabhi kuchh mil jaae sau savalon se yahi ek saval achchha hai...
aankhen dikhlate ho joban to dikhao sahab vo alag baandh ke rakkha hai jo maal achchha hai...
shab-e-furqat ka jaaga hun farishto ab to sone do kabhi fursat mein kar lena hisab aahista aahista...
kisi rais ki mahfil ka zikr hi kya hai khuda ke ghar bhi na jaenge bin bulae hue...
aahon se soz-e-ishq miTaya na jaega phunkon se ye charagh bujhaya na jaega...
abhi aae abhi jaate ho jaldi kya hai dam le lo na chheDunga main jaisi chahe tum mujh se qasam le lo...
qarib hai yaar roz-e-mahshar chhupega kushton ka qatl kyunkar jo chup rahegi zaban-e-khanjar lahu pukarega aastin ka...
firaq-e-yaar ne bechain mujh ko raat bhar rakkha kabhi takiya idhar rakkha kabhi takiya udhar rakkha...
javan hone lage jab vo to ham se kar liya parda haya yak-lakht aai aur shabab aahista aahista...
jo chahiye so mangiye allah se ameer us dar pe aabru nahin jaati saval se...
ameer ab hichkiyan aane lagi hain kahin main yaad farmaya gaya hun...
kaun uThaega tumhaari ye jafa mere baad yaad aaegi bahut meri vafa mere baad...
vo phuul sar chaDha jo chaman se nikal gaya izzat use mili jo vatan se nikal gaya...
haTao aaina ummid-var ham bhi hain tumhaare dekhne valon mein yaar ham bhi hain...
allah-re saadgi nahin itni unhein khabar mayyat pe aa ke puchhte hain in ko kya hua...
mushkil bahut paDegi barabar ki choT hai aaina dekhiyega zara dekh-bhal ke...
maani hain main ne saikaDon baaten tamam umr aaj aap ek baat miri maan jaiye...
sarakti jaae hai rukh se naqab aahista aahista nikalta aa raha hai aaftab aahista aahista...
vo dushmani se dekhte hain dekhte to hain main shaad hun ki hun to kisi ki nigah mein...
shair ko mast karti hai tarif-e-sher ameer sau botalon ka nashsha hai is vaah vaah mein...
kabab-e-sikh hain ham karvaTen har-su badalte hain jal uThta hai jo ye pahlu to vo pahlu badalte hain...
tiir par tiir lagao tumhein Dar kis ka hai siina kis ka hai miri jaan jigar kis ka hai...
phir baiThe baiThe vada-e-vasl us ne kar liya phir uTh khaDa hua vahi rog intizar ka...
zabt dekho udhar nigah na ki mar gae marte marte aah na ki...
saari duniya ke hain vo mere siva main ne duniya chhoD di jin ke liye...
allah-re us gul ki kalai ki nazakat bal kha gai jab bojh paDa rang-e-hina ka...
khuda ne nek surat di to sikho nek baaten bhi bure hote ho achchhe ho ke ye kya bad-zabani hai...
mira khat us ne paDha paDh ke nama-bar se kaha yahi javab hai is ka koi javab nahin...
bosa liya jo us lab-e-shirin ka mar gae di jaan ham ne chashma-e-aab-e-hayat par...
aaya na ek baar ayadat ko tu masih sau baar main fareb se bimar ho chuka...
baad marne ke bhi chhoDi na rifaqat meri meri turbat se lagi baiThi hai hasrat meri...
tul-e-shab-e-firaq ka qissa na puchhiye mahshar talak kahun main agar mukhtasar kahun...
us ki hasrat hai jise dil se miTa bhi na sakun dhunDne us ko chala hun jise paa bhi na sakun...
pahlu mein mere dil ko na ai dard kar talash muddat hui gharib vatan se nikal gaya...
ye bhi ik baat hai adavat ki roza rakkha jo ham ne davat ki...
lutf aane laga jafaon mein vo kahin mehrban na ho jaae...
navak-e-naaz se mushkil hai bachana dil ka dard uTh uTh ke batata hai Thikana dil ka...
samajhta hun sabab kafir tire aansu nikalne ka dhuan lagta hai aankhon mein kisi ke dil ke jalne ka...
baaqi na dil mein koi bhi ya rab havas rahe chaudah baras ke sin mein vo lakhon baras rahe...
vasl ho jaae yahin hashr mein kya rakkha hai aaj ki baat ko kyun kal pe uTha rakkha hai...
hai javani khud javani ka singar sadgi gahna hai is sin ke liye...
teri masjid mein vaaiz khaas hain auqat rahmat ke hamare mai-kade mein raat din rahmat barasti hai...
karta main dardmand tabibon se kya rujua jis ne diya tha dard baDa vo hakim tha...
achchhe iisa ho marizon ka khayal achchha hai ham mare jaate hain tum kahte ho haal achchha hai...
tujh se mangu main tujhi ko ki sabhi kuchh mil jaae sau savalon se yahi ek saval achchha hai...
vaae qismat vo bhi kahte hain bura ham bure sab se hue jin ke liye...
taraf-e-kaaba na ja haj ke liye nadan hai ghaur kar dekh ki hai khana-e-dil maskan-e-dost...
in shokh hasinon pe jo mail nahin hota kuchh aur bala hoti hai vo dil nahin hota...
muddat mein shaam-e-vasl hui hai mujhe nasib do-chaar saal tak to ilahi sahar na ho...
vahi rah jaate hain zabanon par sher jo intikhab hote hain...
haath rakh kar mere siine pe jigar thaam liya tum ne is vaqt to girta hua ghar thaam liya...
kis dhiTai se vo dil chhin ke kahte hain ameer vo mira ghar hai rahe jis mein mohabbat meri...
masjid mein bulate hain hamein zahid-e-na-fahm hota kuchh agar hosh to mai-khane na jaate...
shauq kahta hai pahunch jaun main ab kabe mein jald raah mein but-khana paDta hai ilahi kya karun...
yaar pahlu mein hai tanhai hai kah do nikle aaj kyun dil mein chhupi baiThi hai hasrat meri...
mili hai dukhtar-e-raz laD-jhagaD ke qaazi se jihad kar ke jo aurat mile haram nahin...
baaten naseh ki sunin yaar ke nazzare kiye aankhen jannat mein rahin kaan jahannam mein rahe...
sau sher ek jalse mein kahte the ham ameer jab tak na sher kahne ka ham ko shuur tha...
mila kar khaak mein bhi haae sharm un ki nahin jaati nigah nichi kiye vo samne madfan ke baiThe hain...
aabru shart hai insan ke liye duniya mein na rahi aab jo baaqi to hai gauhar patthar...
saada samjho na inhein rahne do divan mein ameer yahi ashaar zabanon pe hain rahne vaale...
baghban kaliyan hon halke rang ki bhejni hain ek kam-sin ke liye...
kaaba bhi ham gae na gaya par buton ka ishq is dard ki khuda ke bhi ghar mein dava nahin...
khushk seron tan-e-shair ka lahu hota hai tab nazar aati hai ik misra-e-tar ki surat...
aashiq ka baankpan na gaya baad-e-marg bhi takhte pe ghusl ke jo liTaya akaD gaya...
pahle to mujhe kaha nikalo phir bole gharib hai bula lo...
dekh le bulbul o parvana ki betabi ko hijr achchha na hasinon ka visal achchha hai...
shab-e-visal bahut kam hai aasman se kaho ki joD de koi TukDa shab-e-judai ka...
girah se kuchh nahin jaata hai pi bhi le zahid mile jo muft to qaazi ko bhi haram nahin...
abhi kamsin hain zidein bhi hain nirali un ki is pe machle hain ki ham dard-e-jigar dekhenge...
putliyan tak bhi to phir jaati hain dekho dam-e-naza vaqt paDta hai to sab aankh chura jaate hain...
sidhi nigah mein tiri hain tiir ke khvas tirchhi zara hui to hain shamshir ke khvas...
khvab mein aankhen jo talvon se malin bole uff uff paanv mera chhil gaya...
kahte ho ki hamdard kisi ka nahin sunte main ne to raqibon se suna aur hi kuchh hai...
raha khvab mein un se shab bhar visal mire bakht jaage main soya kiya...
na vaaiz hajv kar ek din duniya se jaana hai are munh saqi-e-kausar ko bhi aakhir dikhana hai...
khun-e-nahaq kahin chhupta hai chhupae se ameer kyun miri laash pe baiThe hain vo daman Daale...
sab hasin hain zahidon ko na-pasand ab koi huur aaegi un ke liye...
shakhon se barg-e-gul nahin jhaDte hain baagh mein zevar utar raha hai urus-e-bahaar ka...
apni mahfil se abas ham ko uThate hain huzur chupke baiThe hain alag aap ka kya lete hain...
puchha na jaega jo vatan se nikal gaya be-kaar hai jo daant dahan se nikal gaya...
allah-ri nazakat-e-janan ki sher mein mazmun bandha kamar ka to dard-e-kamar hua...
zahid umid-e-rahmat-e-haq aur hajv-e-mai pahle sharab pi ke gunah-gar bhi to ho...
hilal o badr donon mein ameer un ki tajalli hai ye khaka hai javani ka vo naqsha hai laDakpan ka...
mauquf jurm hi pe karam ka zuhur tha bande agar qusur na karte qusur tha...
chheD dekho miri mayyat pe jo aae to kaha tum vafadaron mein ho ya main vafadaron mein hun...
khushamad ai dil-e-betab is tasvir ki kab tak ye bola chahti hai par na bolegi na boli hai...
gard uDi aashiq ki turbat se to jhunjhla kar kaha vaah sar chaDhne lagi paanv ki Thukrai hui...
tavaqqoa hai dhoke mein aa kar vo paDh len ki likkha hai nama unhein khat badal kar...
ham jo pahunche to lab-e-gor se aai ye sada aaiye aaiye hazrat bahut aazad rahe...
ye kahunga ye kahunga ye abhi kahte ho samne un ke bhi jab hazrat-e-dil yaad rahe...
hai vasiyyat ki kafan mujh ko isi ka dena haath aa jaae jo utra hua pairahan-e-dost...
chaar jhonke jab chale ThanDe chaman yaad aa gaya sard aahen jab kisi ne liin vatan yaad aa gaya...
vasl mein khaali hui ghair se mahfil to kya sharm bhi jaae to main jaanun ki tanhai hui...
shaikh kahta hai barhaman ko barhaman us ko sakht kaaba o but-khana mein patthar hai patthar ka javab...
barhaman dair se kabe se phir aae haaji tere dar se na sarakna tha na sarke aashiq...
jis ghuncha-lab ko chheD diya khanda-zan hua jis gul pe ham ne rang jamaya chaman hua...
raaste aur tavazoa mein hai rabt-e-qalbi jis tarah laam alif mein hai alif laam mein hai...
nabz-e-bimar jo ai rashk-e-masiha dekhi aaj kya aap ne jaati hui duniya dekhi...
kaaba-e-rukh ki taraf paDhni hai aankhon se namaz chahiye gard-e-nazar bahr-e-tayammum mujh ko...
furqat mein munh lapeTe main is tarah paDa hun jis tarah koi murda lipTa hua kafan mein...
ameer jaate ho but-khane ki ziyarat ko paDega raah mein kaaba salam kar lena...
ho gaya band dar-e-mai-kada kya qahr hua shauq-e-pa-bos-e-hasinan jo tujhe tha ai dil...
saara parda hai dui ka jo ye parda uTh jaae gardan-e-shaikh mein zunnar barhaman Daale...
roz-o-shab yaan ek si hai raushni dil ke daghon ka charaghan aur hai...
aae but-khane se kabe ko to kya bhar paaya ja paDe the to vahin ham ko paDa rahna tha...
misi chhuTi hui sukhe hue honT ye surat aur aap aate hain ghar se...
laae kahan se us rukh-e-raushan ki aab-o-taab beja nahin jo sharm se hai aab aab shama...
ji lage aap ka aisa ki kabhi ji na bhare dil laga kar jo sunein aap fasana dil ka...
jab kahin do gaz zamin dekhi khudi samjha main gor jab nai do chaadaren dekhin kafan yaad aa gaya...
lachak hai shakhon mein jumbish hava se phulon mein bahaar jhuul rahi hai khushi ke phulon mein...
qasr-e-tan bigDa kisi ka gorkan ki ban paDi ghar kisi ka gir paDa ghar bin gaya mazdur ka...
zanu par ameer sar ko rakkhe pahron guzre ki ro rahe hain...
aane-jaane pe saans ke hai madar sakht na-paedar hai duniya...
Explore more on Diwan E Sukhan