DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Dagh Dehlvi

1831 (Delhi) – 1905 (Hyderabad) • Fasih-ul-Mulk

"A flamboyant and aristocratic poet, Dagh Dehlviis credited with bringing a sense of playfulness, sharp wit, and colloquial charm—often referred to as 'Karkhan-e-Dehlvi'—back to the Urdu ghazal. He survived the violent upheavals of the 1857 mutiny in Delhi and eventually moved to Hyderabad. There, he reached the pinnacle of success, becoming the highest-paid poet of his time and serving as the poetry tutor to the Nizam. He is also famous for mentoring a young Allama Iqbal, leaving a lasting impact on modern Urdu poetry."

Mashhoor Ash'aar

hazaron kaam mohabbat mein hain maze ke dagh jo log kuchh nahin karte kamal karte hain...
vafa karenge nibahenge baat manenge tumhein bhi yaad hai kuchh ye kalam kis ka tha...
milate ho usi ko khaak mein jo dil se milta hai miri jaan chahne vala baDi mushkil se milta hai...
nahin khel ai dagh yaaron se kah do ki aati hai urdu zaban aate aate...
urdu hai jis ka naam hamin jaante hain dagh hindostan mein dhuum hamari zaban ki hai...
sab log jidhar vo hain udhar dekh rahe hain ham dekhne valon ki nazar dekh rahe hain...
hamein hai shauq ki be-parda tum ko dekhenge tumhein hai sharm to aankhon pe haath dhar lena...
dil de to is mizaj ka parvardigar de jo ranj ki ghaDi bhi khushi se guzar de...
aaina dekh ke kahte hain sañvarne vaale aaj be-maut marenge mire marne vaale...
khuub parda hai ki chilman se lage baiThe hain saaf chhupte bhi nahin samne aate bhi nahin...
shab-e-visal hai gul kar do in charaghon ko khushi ki bazm mein kya kaam jalne valon ka...
is nahin ka koi ilaaj nahin roz kahte hain aap aaj nahin...
aashiqi se milega ai zahid bandagi se khuda nahin milta...
ghazab kiya tire vaade pe e'tibar kiya tamam raat qayamat ka intizar kiya...
khabar sun kar mire marne ki vo bole raqibon se khuda bakhshe bahut si khubiyan thin marne vaale mein...
lipaT jaate hain vo bijli ke Dar se ilahi ye ghaTa do din to barse...
na jaana ki duniya se jaata hai koi bahut der ki mehrban aate aate...
jis mein lakhon baras ki huren hon aisi jannat ko kya kare koi...
kal tak to aashna the magar aaj ghair ho do din mein ye mizaj hai aage ki khair ho...
aap ka e'tibar kaun kare roz ka intizar kaun kare...
rukh-e-raushan ke aage shama rakh kar vo ye kahte hain udhar jaata hai dekhen ya idhar parvana aata hai...
haath rakh kar jo vo puchhe dil-e-betab ka haal ho bhi aaram to kah dun mujhe aaram nahin...
baDa maza ho jo mahshar mein ham karen shikva vo minnaton se kahen chup raho khuda ke liye...
di shab-e-vasl moazzin ne azaan pichhli raat haae kam-bakht ko kis vaqt khuda yaad aaya...
le chala jaan miri ruuTh ke jaana tera aise aane se to behtar tha na aana tera...
baat tak karni na aati thi tumhein ye hamare samne ki baat hai...
dil le ke muft kahte hain kuchh kaam ka nahin ulTi shikayaten huin ehsan to gaya...
lutf-e-mai tujh se kya kahun zahid haae kam-bakht tu ne pi hi nahin...
hazrat-e-dagh jahan baiTh gae baiTh gae aur honge tiri mahfil se ubharne vaale...
hazar baar jo manga karo to kya hasil dua vahi hai jo dil se kabhi nikalti hai...
chup-chaap sunti rahti hai pahron shab-e-firaq tasvir-e-yaar ko hai miri guftugu pasand...
jin ko apni khabar nahin ab tak vo mire dil ka raaz kya jaanen...
ye to nahin ki tum sa jahan mein hasin nahin is dil ko kya karun ye bahalta kahin nahin...
raha na dil mein vo bedard aur dard raha muqim kaun hua hai maqam kis ka tha...
ye to kahiye is khata ki kya saza main jo kah dun aap par marta hun main...
zid har ik baat par nahin achchhi dost ki dost maan lete hain...
saqiya tishnagi ki taab nahin zahr de de agar sharab nahin...
yun bhi hazaron lakhon mein tum intikhab ho puura karo saval to phir la-javab ho...
arz-e-ahval ko gila samjhe kya kaha main ne aap kya samjhe...
kahne deti nahin kuchh munh se mohabbat meri lab pe rah jaati hai aa aa ke shikayat meri...
aao mil jao ki ye vaqt na paoge kabhi main bhi ham-rah zamane ke badal jaunga...
abhi kam-sin ho rahne do kahin kho doge dil mera tumhaare hi liye rakkha hai le lena javan ho kar...
tum ko chaha to khata kya hai bata do mujh ko dusra koi to apna sa dikha do mujh ko...
falak deta hai jin ko 'aish un ko gham bhi hote hain jahan bajte hain naqqare vahan matam bhi hote hai...
na-umidi baDh gai hai is qadar aarzu ki aarzu hone lagi...
uD gai yun vafa zamane se kabhi goya kisi mein thi hi nahin...
koi nam-o-nishan puchhe to ai qasid bata dena takhallus dagh hai vo aashiqon ke dil mein rahte hain...
ye maza tha dil-lagi ka ki barabar aag lagti na tujhe qarar hota na mujhe qarar hota...
khatir se ya lihaz se main maan to gaya jhuTi qasam se aap ka iman to gaya...
ziist se tang ho ai dagh to jiite kyun ho jaan pyari bhi nahin jaan se jaate bhi nahin...
hosh o havas o taab o tavan dagh ja chuke ab ham bhi jaane vaale hain saman to gaya...
ye sair hai ki dupaTTa uDa rahi hai hava chhupate hain jo vo siina kamar nahin chhupti...
dekhna achchha nahin zaanu pe rakh kar aaina donon nazuk hain na rakhiyo aaine par aaina...
saath shokhi ke kuchh hijab bhi hai is ada ka kahin javab bhi hai...
ik ada mastana sar se paanv tak chhai hui uf tiri kafir javani josh par aai hui...
mujhe yaad karne se ye muddaa tha nikal jaae dam hichkiyan aate aate...
ham bhi kya zindagi guzar gae dil ki baazi laga ke haar gae...
tumhaare khat mein naya ik salam kis ka tha na tha raqib to aakhir vo naam kis ka tha...
kyun vasl ki shab haath lagane nahin dete mashuq ho ya koi amanat ho kisi ki...
baat ka zakhm hai talvar ke zakhmon se siva kijiye qatl magar munh se kuchh irshad na ho...
ilahi kyun nahin uThti qayamat majra kya hai hamare samne pahlu mein vo dushman ke baiThe hain...
ayadat ko miri aa kar vo ye takid karte hain tujhe ham maar Dalenge nahin to jald achchha ho...
dagh ko kaun dene vaala tha jo diya ai khuda diya tu ne...
aaina dekh ke ye dekh sañvarne vaale tujh pe beja to nahin marte ye marne vaale...
zamane ke kya kya sitam dekhte hain hamin jaante hain jo ham dekhte hain...
hazrat-e-dil aap hain kis dhyan mein mar gae lakhon isi arman mein...
tadbir se qismat ki burai nahin jaati bigDi hui taqdir banai nahin jaati...
un ki farmaish nai din raat hai aur thoDi si miri auqat hai...
main bhi hairan hun ai dagh ki ye baat hai kya vaada vo karte hain aata hai tabassum mujh ko...
tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain tujhe har bahane se ham dekhte hain...
khuda ki qasam us ne khai jo aaj qasam hai khuda ki maza aa gaya...
uzr aane mein bhi hai aur bulate bhi nahin bais-e-tark-e-mulaqat batate bhi nahin...
dil ka kya haal kahun subh ko jab us but ne le ke angDai kaha naaz se ham jaate hain...
sabaq aisa paDha diya tu ne dil se sab kuchh bhula diya tu ne...
aati hai baat baat mujhe baar baar yaad kahta hun dauD dauD ke qasid se raah mein...
aap pachhtaen nahin jaur se tauba na karen aap ke sar ki qasam dagh ka haal achchha hai...
Darta hun dekh kar dil-e-be-aarzu ko main sunsan ghar ye kyun na ho mehman to gaya...
bahut roya hun main jab se ye main ne khvab dekha hai ki aap aansu bahate samne dushman ke baiThe hain...
zalim ne kya nikali raftar rafta rafta is chaal par chalegi talvar rafta rafta...
vaaiz baDa maza ho agar yun azaab ho dozakh mein paanv haath mein jaam-e-sharab ho...
vo zamana bhi tumhein yaad hai tum kahte the dost duniya mein nahin dagh se behtar apna...
iman ki to ye hai ki iman ab kahan kafir bana gai tiri kafir-nazar mujhe...
hamari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazren nahin jin ko ham dekhte hain...
puchhiye mai-kashon se lutf-e-sharab ye maza pak-baz kya jaanen...
mere qaabu mein na pahron dil-e-nashad aaya vo mira bhulne vala jo mujhe yaad aaya...
vo din gae ki dagh thi har dam buton ki yaad paDhte hain panch vaqt ki ab to namaz ham...
sitam hi karna jafa hi karna nigah-e-ulfat kabhi na karna tumhein qasam hai hamare sar ki hamare haq mein kami na karna...
dil hi to hai na aae kyun dam hi to hai na jaae kyun ham ko khuda jo sabr de tujh sa hasin banae kyun...
jao bhi kya karoge mehr-o-vafa baar-ha aazma ke dekh liya...
dil kya milaoge ki hamein ho gaya yaqin tum se to khaak mein bhi milaya na jaega...
is vahm mein vo dagh ko marne nahin dete mashuq na mil jaae kahin zer-e-zamin aur...
jis jagah baiThe mira charcha kiya khud hue rusva mujhe rusva kiya...
rah gae lakhon kaleja thaam kar aankh jis jaanib tumhaari uTh gai...
hua hai chaar sajdon par ye dava zahido tum ko khuda ne kya tumhaare haath jannat bech Daali hai...
baad muddat ke ye ai dagh samajh mein aaya vahi daana hai kaha jis ne na maana dil ka...
miir ka rang baratna nahin aasan ai dagh apne divan se mila dekhiye divan un ka...
main mar gaya to khaak bhi un ko na gham hua kahte hain ek chahne vaala to kam hua...
shokhi se Thaharti nahin qatil ki nazar aaj ye barq-e-bala dekhiye girti hai kidhar aaj...
na rona hai tariqe ka na hansna hai saliqa ka pareshani mein koi kaam ji se ho nahin sakta...
kahin hai id ki shadi kahin matam hai maqtal mein koi qatil se milta hai koi bismil se milta hai...

Ghazalein

Explore more on Diwan E Sukhan