DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Hasrat Mohani

1875 (Unnao) – 1951 (Lucknow) • Raees-ul-Mutaghazzeleen

"A fearless freedom fighter, journalist, and poet, Hasrat Mohani is famously known for coining the immortal political slogan 'Inquilab Zindabad' (Long Live the Revolution). Despite spending years suffering in harsh British jails doing hard physical labor, he surprisingly did not write bitter political poetry. Instead, he revitalized the classical ghazal, writing his most delicate, refined, and deeply romantic verses while behind bars. This stark contrast between his rugged political life and his tender poetry proves the indomitable and romantic nature of his spirit."

Mashhoor Ash'aar

chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai ham ko ab tak aashiqi ka vo zamana yaad hai...
nahin aati to yaad un ki mahinon tak nahin aati magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain...
chori chori ham se tum aa kar mile the jis jagah muddaten guzrin par ab tak vo Thikana yaad hai...
aarzu teri barqarar rahe dil ka kya hai raha raha na raha...
vafa tujh se ai bevafa chahta hun miri sadgi dekh kya chahta hun...
teri mahfil se uThata ghair mujh ko kya majal dekhta tha main ki tu ne bhi ishaara kar diya...
aaine mein vo dekh rahe the bahaar-e-husn aaya mira khayal to sharma ke rah gae...
ham kya karen agar na tiri aarzu karen duniya mein aur bhi koi tere siva hai kya...
barsaat ke aate hi tauba na rahi baaqi baadal jo nazar aae badli meri niyat bhi...
khirad ka naam junun paD gaya junun ka khirad jo chahe aap ka husn-e-karishma-saaz kare...
iqrar hai ki dil se tumhein chahte hain ham kuchh is gunah ki bhi saza hai tumhaare paas...
kaT gai ehtiyat-e-ishq mein umr ham se izhar-e-muddaa na hua...
dopahar ki dhuup mein mere bulane ke liye vo tira koThe pe nange paanv aana yaad hai...
kahne ko to main bhuul gaya hun magar ai yaar hai khana-e-dil mein tiri tasvir abhi tak...
aise bigDe ki phir jafa bhi na ki dushmani ka bhi haq ada na hua...
dekhne aae the vo apni mohabbat ka asar kahne ko ye hai ki aae hain ayaadat kar ke...
raushan jamal-e-yaar se hai anjuman tamam dahka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam...
sher dar-asl hain vahi hasrat sunte hi dil mein jo utar jaen...
aap ko aata raha mere satane ka khayal sulh se achchhi rahi mujh ko laDai aap ki...
aur to paas mire hijr mein kya rakkha hai ik tire dard ko pahlu mein chhupa rakkha hai...
vaqif hain khuub aap ke tarz-e-jafa se ham izhar-e-iltifat ki zahmat na kijiye...
malum sab hai puchhte ho phir bhi muddaa ab tum se dil ki baat kahen kya zaban se ham...
hasrat ki bhi qubul ho mathura mein haziri sunte hain aashiqon pe tumhaara karam hai aaj...
barq ko abr ke daman mein chhupa dekha hai ham ne us shokh ko majbur-e-haya dekha hai...
jabin par sadgi nichi nigahen baat mein narmi mukhatib kaun kar sakta hai tum ko lafz-e-qatil se...
hai mashq-e-sukhan jaari chakki ki mashaqqat bhi ik turfa tamasha hai hasrat ki tabiat bhi...
chhup nahin sakti chhupane se mohabbat ki nazar paD hi jaati hai rukh-e-yaar pe hasrat ki nazar...
khinch lena vo mira parde ka kona dafatan aur dupaTTe se tira vo munh chhupana yaad hai...
phir aur taghaful ka sabab kya hai khudaya main yaad na aaun unhein mumkin hi nahin hai...
gham-e-aarzu ka hasrat sabab aur kya bataun miri himmaton ki pasti mire shauq ki bulandi...
haqiqat khul gai hasrat tire tark-e-mohabbat ki tujhe to ab vo pahle se bhi baDh kar yaad aate hain...
allah-ri jism-e-yaar ki khubi ki khud-ba-khud ranginiyon mein Duub gaya pairahan tamam...
kahan ham kahan vasl-e-janan ki hasrat bahut hai unhein ik nazar dekh lena...
jo aur kuchh ho tiri diid ke siva manzur to mujh pe khvahish-e-jannat haram ho jaae...
sher mere bhi hain pur-dard va-lekin hasrat miir ka sheva-e-guftar kahan se laun...
hai intiha-e-yaas bhi ik ibtida-e-shauq phir aa gae vahin pe chale the jahan se ham...
ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke khilaf vo tira chori-chhupe raaton ko aana yaad hai...
mira ishq bhi khud-gharaz ho chala hai tire husn ko bevafa kahte kahte...
milte hain is ada se ki goya khafa nahin kya aap ki nigah se ham aashna nahin...
us na-khuda ke zulm o sitam haae kya karun kashti miri Duboi hai sahil ke aas-paas...
kabhi ki thi jo ab vafa kijiyega mujhe puchh kar aap kya kijiyega...
manus ho chala tha tasalli se haal-e-dil phir tu ne yaad aa ke ba-dastur kar diya...
mujh ko dekho mire marne ki tamanna dekho phir bhi hai tum ko masihai ka dava dekho...
bad-guman aap hain kyun aap se shikva hai kise jo shikayat hai hamein gardish-e-ayyam se hai...
shikva-e-gham tire huzur kiya ham ne be-shak baDa qusur kiya...
sabhi kuchh ho chuka un ka hamara kya raha hasrat na diin apna na dil apna na jaan apni na tan apna...
guzre bahut ustad magar rang-e-asar mein be-misl hai hasrat sukhan-e-miir abhi tak...
paigham-e-hayat-e-javedan tha har naghma-e-krishn bansuri ka...
vasl ki banti hain in baaton se tadbiren kahin aarzuon se phira karti hain taqdiren kahin...
munhasir vaqt-e-muqarrar pe mulaqat hui aaj ye aap ki jaanib se nai baat hui...
ham jaur-paraston pe guman tark-e-vafa ka ye vahm kahin tum ko gunahgar na kar de...
dava-e-aashiqi hai to hasrat karo nibah ye kya ke ibtida hi mein ghabra ke rah gae...
shaam ho ya ki sahar yaad unhin ki rakhni din ho ya raat hamein zikr unhin ka karna...
dilon ko fikr-e-do-aalam se kar diya aazad tire junun ka khuda silsila daraz kare...
khu samajh mein nahin aati tire divanon ki damanon ki na khabar hai na girebanon ki...
ye bhi aadab-e-mohabbat ne gavara na kiya un ki tasvir bhi aankhon se lagai na gai...
husn-e-be-parva ko khud-bin o khud-ara kar diya kya kiya main ne ki izhar-e-tamanna kar diya...
koshishen ham ne kiin hazar magar ishq mein ek motabar na hui...
kya bala thi ada-e-pursish-e-yaar mujh se izhar-e-muddaa na hua...
khub-ruyon se yariyan na gain dil ki be-ikhtiyariyan na gain...
ghurbat ki subh mein bhi nahin hai vo raushni jo raushni ki shaam-e-savad-e-vatan mein tha...
raah mein miliye kabhi mujh se to az-rah-e-sitam honT apna kaaT kar fauran juda ho jaiye...
toD kar ahd-e-karam na-ashna ho jaiye banda-parvar jaiye achchha khafa ho jaiye...
ai yaad-e-yaar dekh ki ba-vasf-e-ranj-e-hijr masrur hain tiri khalish-e-na-tavan se ham...
raat din nama-o-paigham kahan tak doge saaf kah dijiye milna hamein manzur nahin...
hasrat bahut hai martaba-e-aashiqi buland tujh ko to muft logon ne mashhur kar diya...
pursish-e-haal pe hai khatir-e-janan mail jurat-e-koshish-e-izhar kahan se laun...
bhuul hi jaen ham ko ye to na ho log mere liye dua na karen...
un ko yaan vaade pe aa lene de ai abr-e-bahaar jis qadar chahna phir baad mein barsa karna...
mujh se tanhai mein gar miliye to diije galiyan aur bazm-e-ghair mein jaan-e-haya ho jaiye...
chheDa hai dast-e-shauq ne mujh se khafa hain vo goya ki apne dil pe mujhe ikhtiyar hai...
dil ko khayal-e-yaar ne makhmur kar diya saghar ko rang-e-bada ne pur-nur kar diya...
laga kar aankh is jaan-e-jahan se na hoga ab kisi se aashna dil...
khanda-e-ahl-e-jahan ki mujhe parva kya hai tum bhi hanste ho mire haal pe rona hai yahi...
hasrat jo sun rahe hain vo ahl-e-vafa ka haal is mein bhi kuchh fareb tiri dastan ke hain...
Explore more on Diwan E Sukhan