DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Ismail Merathi

1844 (Meerut) – 1917 (Meerut) • The Educationalist

"Often considered the unsung hero of modern Urdu education, Ismail Merathi's impact is profound; anyone who has studied primary Urdu in the subcontinent has likely read his work. He revolutionized children's literature by composing simple, highly rhythmic nazms and moral fables about nature, animals, and basic ethics. His pioneering educational poetry significantly shaped the Urdu school curriculum for generations of young students."

Mashhoor Ash'aar

kya ho gaya ise ki tujhe dekhti nahin jee chahta hai aag laga doon nazar ko main...
bad ki sohbat mein mat baitho is ka hai anjam bura bad na bane to bad kahlaye bad achchha badnam bura...
dosti aur kisi gharaz ke liye wo tijarat hai dosti hi nahin...
tareef us khuda ki jis ne jahan banaya kaisi zameen banayi kya aasman banaya...
kabhi bhool kar kisi se na karo sulook aisa ki jo tum se koi karta tumhein nagawar hota...
hai aaj rukh hawa ka muafiq to chal nikal kal ki kise khabar hai kidhar ki hawa chale...
chhuri ka teer ka talwar ka to ghao bhara laga jo zakhm zaban ka raha hamesha hara...
hai ashk-o-aah raas hamare mizaj ko yaani pale hue isi aab-o-hawa ke hain...
ya wafa hi na thi zamane mein ya magar doston ne ki hi nahin...
aghyar kyun dakhil hain bazm-e-suroor mein maana ki yaar kam hain par itne to kam nahin...
khwahishon ne dubo diya dil ko warna ye bahr-e-be-karan hota...
tu hi zahir hai tu hi baatin hai tu hi tu hai to main kahan tak hoon...
izhaar-e-haal ka bhi zariya nahin raha dil itna jal gaya hai ki aankhon mein nam nahin...
subh ke bhoole to aaye shaam ko dekhiye kab aayen bhoole shaam ke...
hai is anjuman mein yaksan adam o wajood mera ki jo main yahan na hota yahi karobar hota...
thi chhed usi taraf se warna main aur majaal aarzoo ki...
tu na ho ye to ho nahin sakta mera kya tha hua hua na hua...
aaghaz-e-ishq umr ka anjaam ho gaya nakamiyon ke gham mein mira kaam ho gaya...
jhoot aur mubalaghe ne afsos izzat kho di sukhanvari ki...
dariya ki tarah rawan hoon lekin ab tak bhi wahin hoon main jahan hoon...
utha hijab to bas deen-o-dil diye hi bani janab-e-shaikh ko daawa tha parsai ka...
raushan hai aaftab ki nisbat charagh se nisbat wahi hai aap mein aur aaftab mein...
parwane ki tapish ne khuda jaane kaan mein kya kah diya ki shama ke sar se dhuan utha...
likkhi thi ghazal ye aagara mein pahli tareekh january ki...
tumhare dil se kudoorat mitaye to jaanein khula hai shahr mein ik mahkama safai ka...
kya kohkan ki koh-kani kya junoon-e-qais vadi-e-ishq mein ye maqam ibtida ke hain...
kuchh miri baat kimiya to na thi aisi bigdi ki phir bani hi nahin...
maana buri khabar hai pa teri khabar to hai sabr-o-qarar nazr karun nama-bar ko main...
andesha hai ki de na idhar ki udhar laga mujh ko to na-pasand vatire saba ke hain...
vaan sajda-e-niyaz ki mitti kharab hai jab tak ki aab-e-deeda se taaza wazu na ho...
haan dil-e-be-taab chande intezar amn-o-rahat ka thikana aur hai...
apni hi jalwagari hai ye koi aur nahin ghaur se dekh agar aankh mein beenai hai...
ulti har ek rasm-e-jahan-e-shuur hai seedhi si ik ghazal mujhe likhni zaroor hai...
deed wa deed ki rukhsat hi sahi mere hisse ki qayamat hi sahi...
mar chuke jeete-jee khusha qismat is se achchhi to zindagi hi nahin...
roz-e-jaza mein aakhir poochha na jayega kya tera ye chup lagana mera sawal karna...
samajhte hain sheron ko bhi narm chaara ghazalan-e-shahri se hoshyar rahna...
jis ne chashm-e-mast-e-saqi dekh li ta qayamat us pe hushyari haraam...
yaran-e-bazm-dahr mein kya kya tapak tha lekin jab uth gaye to na baar-e-digar mile...
kya hai wo jaan-e-mujassam jis ke shauq-e-deed mein jama-e-tan phenk kar roohein bhi uryan ho gayin...
dilbari jazb-e-mohabbat ka karishma hai faqat kuchh karamat nahin jaadu nahin eaajaz nahin...
shaikh aur barhaman mein agar laag hai to ho donon shikar-e-ghamza usi dil-ruba ke hain...
har shakl mein tha wahi numoodar ham ne hi nigah-e-sarsari ki...
sadr-ara to jahan ho sadr hai aagara kya aur allahabad kya...
taseer ho kya khaak jo baaton mein ghadat ho kuchh baat nikalti hai to be-sakhta-pan mein...
jab ghunche ko vashud hui tahreek saba se bulbul se ajab kya jo kare naghma-sarai...
sab kuchh to kiya ham ne pa kuchh bhi na kiya haaye hairan hain kya jaaniye kya ho nahin sakta...
usi ka vasf hai maqsud sher-khwani se usi ka zikr hai mansha ghazal-sarai ka...
gar khanda yaad aaye to seene ko chaak kar gar ghamza yaad aaye to zakhm-e-sinan utha...
israf ne arbab-e-tamawwul ko duboya aalim ko tafakhur ne to zahid ko riya ne...
kya ab bhi mujh pe farz nahin dosti-e-kufr wo zid se meri dushman-e-islam ho gaya...
khola hai mujh pe sirr-e-haqeeqat majaz ne ye pukhtagi sila hai khayalat-e-kham ka...
habs-e-davam to nahin duniya ki mar rahun kaahe ko ghar khayal karun rahguzar ko main...
gar dekhiye to khatir-e-nashad shad hai sach poochhiye to hai dil-e-nakaam kaam ka...
neamat-e-khuld thi bashar ke liye khaak chaati nazar guzar ke liye...
kya fikr-e-aab-o-naan ki gham kah raha hai ab maujud hoon ziyafat-e-dil aur jigar ko main...
kabhi taqseer jis ne ki hi nahin ham se poochho to aadmi hi nahin...
kuchh na ban aayegi jab loot machayegi khizan ghuncha har-chand girah kas ke zar-e-gul baandhe...
ba-in-hama darmandagi insan ke ye daave kya zaat-e-sharif in ko banaya hai khuda ne...
sair-e-warood-e-qafila-e-nau-bahar dekh barpa khayam-e-auj hawa mein ghata ke hain...
Explore more on Diwan E Sukhan