DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Jaun Elia

1931 (Amroha) – 2002 (Karachi) • Shair-e-Naakaam

"A massive cult figure, especially among modern youth. Jaun Elia was a profound scholar of Arabic, Persian, and philosophy, who reluctantly migrated to Karachi—a move he bitterly regretted his entire life. His poetry is unapologetically nihilistic, intensely cynical, and tragically romantic. His theatrical, highly emotional, and often bitter style of reciting at mushairas made him a misunderstood genius during his life and an absolute legend after his death."

Mashhoor Ash'aar

main bhi bahut ajiib hun itna ajiib hun ki bas khud ko tabah kar liya aur malal bhi nahin...
jo guzari na ja saki ham se ham ne vo zindagi guzari hai...
ye mujhe chain kyun nahin paDta ek hi shakhs tha jahan mein kya...
main jo hun jaun-elia hun janab is ka behad lihaz kijiyega...
yun jo takta hai aasman ko tu koi rahta hai aasman mein kya...
kitni dilkash ho tum kitna dil-ju hun main kya sitam hai ki ham log mar jaenge...
saari duniya ke gham hamare hain aur sitam ye ki ham tumhaare hain...
zindagi kis tarah basar hogi dil nahin lag raha mohabbat mein...
kis liye dekhti ho aaina tum to khud se bhi khubsurat ho...
kaun is ghar ki dekh-bhal kare roz ik chiiz TuuT jaati hai...
bahut nazdik aati ja rahi ho bichhaDne ka irada kar liya kya...
kya sitam hai ki ab tiri surat ghaur karne pe yaad aati hai...
kaise kahen ki tujh ko bhi ham se hai vasta koi tu ne to ham se aaj tak koi gila nahin kiya...
vo jo na aane vaala hai na us se mujh ko matlab tha aane valon se kya matlab aate hain aate honge...
kya takalluf karen ye kahne mein jo bhi khush hai ham us se jalte hain...
kya kaha ishq javedani hai! aakhiri baar mil rahi ho kya...
mustaqil bolta hi rahta hun kitna khamosh hun main andar se...
ham ko yaron ne yaad bhi na rakha jaun yaaron ke yaar the ham to...
mujhe ab tum se Dar lagne laga hai tumhein mujh se mohabbat ho gai kya...
sochta hun ki us ki yaad aakhir ab kise raat bhar jagati hai...
yaaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat banhon ka vo jo simaTte honge un mein vo to mar jaate honge...
ilaaj ye hai ki majbur kar diya jaun vagarna yun to kisi ki nahin suni main ne...
ek hi hadsa to hai aur vo ye ki aaj tak baat nahin kahi gai baat nahin suni gai...
us gali ne ye sun ke sabr kiya jaane vaale yahan ke the hi nahin...
aur to kya tha bechne ke liye apni aankhon ke khvab beche hain...
dil ki taklif kam nahin karte ab koi shikva ham nahin karte...
ab miri koi zindagi hi nahin ab bhi tum meri zindagi ho kya...
bin tumhaare kabhi nahin aai kya miri niind bhi tumhaari hai...
zindagi ek fan hai lamhon ko apne andaz se ganvane ka...
tumhaara hijr mana lun agar ijazat ho main dil kisi se laga lun agar ijazat ho...
hasil-e-kun hai ye jahan-e-kharab yahi mumkin tha itni ujlat mein...
meri banhon mein bahakne ki saza bhi sun le ab bahut der mein aazad karunga tujh ko...
haan Thiik hai main apni ana ka mariz hun aakhir mire mizaj mein kyun dakhl de koi...
main raha umr bhar juda khud se yaad main khud ko umr bhar aaya...
meri har baat be-asar hi rahi naqs hai kuchh mire bayan mein kya...
ab nahin koi baat khatre ki ab sabhi ko sabhi se khatra hai...
koi mujh tak pahunch nahin paata itna aasan hai pata mera...
hain dalilen tire khilaf magar sochta hun tiri himayat mein...
jaan-leva thiin khvahishen varna vasl se intizar achchha tha...
nahin duniya ko jab parva hamari to phir duniya ki parva kyun karen ham...
kitne aish se rahte honge kitne itrate honge jaane kaise log vo honge jo us ko bhaate honge...
ai shakhs main teri justuju se be-zar nahin hun thak gaya hun...
mujh ko aadat hai ruuTh jaane ki aap mujh ko mana liya kije...
bolte kyun nahin mire haq mein aable paD gae zaban mein kya...
naya ik rishta paida kyun karen ham bichhaDna hai to jhagDa kyun karen ham...
yaad use intihai karte hain so ham us ki burai karte hain...
ab to har baat yaad rahti hai ghaliban main kisi ko bhul gaya...
us ke honTon pe rakh ke honT apne baat hi ham tamam kar rahe hain...
ek hi havas rahi hai hamein apni halat tabah ki jaae...
ik ajab haal hai ki ab us ko yaad karna bhi bevafai hai...
kaam ki baat main ne ki hi nahin ye mira taur-e-zindagi hi nahin...
aaj mujh ko bahut bura kah kar aap ne naam to liya mera...
jurm mein ham kami karen bhi to kyun tum saza bhi to kam nahin karte...
ye kafi hai ki ham dushman nahin hain vafa-dari ka dava kyun karen ham...
apna rishta zamin se hi rakkho kuchh nahin aasman mein rakkha...
ho raha hun main kis tarah barbad dekhne vaale haath malte hain...
shauq hai is dil-e-darinda ko aap ke honT kaaT khaane ka...
apne sab yaar kaam kar rahe hain aur ham hain ki naam kar rahe hain...
itna khaali tha andarun mera kuchh dinon to khuda raha mujh mein...
jaate jaate aap itna kaam to kije mira yaad ka saara sar-o-saman jalate jaiye...
mil rahi ho baDe tapak ke saath mujh ko yaksar bhula chuki ho kya...
tumhari yaad mein jiine ki aarzu hai abhi kuchh apna haal sambhalun agar ijazat ho...
vafa ikhlas qurbani mohabbat ab in lafzon ka pichha kyun karen ham...
ab jo rishton mein bandha hun to khula hai mujh par kab parind uD nahin paate hain paron ke hote...
ganvai kis ki tamanna mein zindagi main ne vo kaun hai jise dekha nahin kabhi main ne...
har shakhs se be-niyaz ho ja phir sab se ye kah ki main khuda hun...
zindagi kya hai ik kahani hai ye kahani nahin sunani hai...
ye bahut gham ki baat ho shayad ab to gham bhi ganva chuka hun main...
apne sar ik bala to leni thi main ne vo zulf apne sar li hai...
shab jo ham se hua muaf karo nahin pi thi bahak gae honge...
khamoshi se ada ho rasm-e-duri koi hangama barpa kyun karen ham...
roya hun to apne doston mein par tujh se to hans ke hi mila hun...
sab mere baghair mutmain hain main sab ke baghair ji raha hun...
aur kya chahti hai gardish-e-ayyam ki ham apna ghar bhul gae un ki gali bhul gae...
mujh se ab log kam hi milte hain yun bhi main haT gaya hun manzar se...
mujh ko khvahish hi dhunDne ki na thi mujh mein khoya raha khuda mera...
aaj bahut din baad main apne kamre tak aa nikla tha jun hi darvaza khola hai us ki khushbu aai hai...
hamari hi tamanna kyun karo tum tumhari hi tamanna kyun karen ham...
jaaniye us se nibhegi kis tarah vo khuda hai main to banda bhi nahin...
tegh-bazi ka shauq apni jagah aap to qatl-e-aam kar rahe hain...
main jurm ka etiraf kar ke kuchh aur hai jo chhupa gaya hun...
ham kahan aur tum kahan jaanan hain kai hijr darmiyan jaanan...
fulan se thi ghazal behtar fulan ki fulan ke zakhm achchhe the fulan se...
Thiik hai khud ko ham badalte hain shukriya mashvarat ka chalte hain...
kya hai jo badal gai hai duniya main bhi to bahut badal gaya hun...
ab tum kabhi na aaoge yaani kabhi kabhi rukhsat karo mujhe koi vaada kiye baghair...
hamare zakhm-e-tamanna purane ho gae hain ki us gali mein gae ab zamane ho gae hain...
kal ka din haae kal ka din ai jaun kaash is raat ham bhi mar jaen...
kharch chalega ab mira kis ke hisab mein bhala sab ke liye bahut hun main apne liye zara nahin...
chaand ne taan li hai chadar-e-abr ab vo kapDe badal rahi hogi...
apne andar hansta hun main aur bahut sharmata hun khuun bhi thuka sach-much thuka aur ye sab chalaki thi...
to kya sach-much judai mujh se kar li to khud apne ko aadha kar liya kya...
main ab har shakhs se ukta chuka hun faqat kuchh dost hain aur dost bhi kya...
ab to us ke baare mein tum jo chaho vo kah Daalo vo angDai mere kamre tak to baDi ruhani thi...
mujh ko to koi Tokta bhi nahin yahi hota hai khandan mein kya...
ye vaar kar gaya hai pahlu se kaun mujh par tha main hi daaen baaen aur main hi darmiyan tha...
aainon ko zang laga ab main kaisa lagta hun...
paDi rahne do insanon ki laashen zamin ka bojh halka kyun karen ham...
mujhe ab hosh aata ja raha hai khuda teri khudai ja rahi hai...
daad-o-tahsin ka ye shor hai kyun ham to khud se kalam kar rahe hain...
jism mein aag laga dun us ke aur phir khud hi bujha dun us ko...
kaun se shauq kis havas ka nahin dil miri jaan tere bas ka nahin...
aakhiri baat tum se kahna hai yaad rakhna na tum kaha mera...
hai vo bechargi ka haal ki ham har kisi ko salam kar rahe hain...
kya puchhte ho naam-o-nishan-e-musafiran hindostan mein aae hain hindostan ke the...
tiri qimat ghaTai ja rahi hai mujhe furqat sikhai ja rahi hai...
bhul jaana nahin gunah use yaad karna use savab nahin...
sab se pur-amn vaqia ye hai aadmi aadmi ko bhul gaya...
khuub hai shauq ka ye pahlu bhi main bhi barbad ho gaya tu bhi...
us ne goya mujhi ko yaad rakha main bhi goya usi ko bhul gaya...
mil kar tapak se na hamein kijiye udaas khatir na kijiye kabhi ham bhi yahan ke the...
main is divar par chaDh to gaya tha utare kaun ab divar par se...
ham jo ab aadmi hain pahle kabhi jaam honge chhalak gae honge...
ik shakhs kar raha hai abhi tak vafa ka zikr kaash us zaban-daraz ka munh noch le koi...
us se har-dam moamla hai magar darmiyan koi silsila hi nahin...
saari gali sunsan paDi thi baad-e-fana ke pahre mein hijr ke dalan aur aangan mein bas ik saaya zinda tha...
ham hain masruf-e-intizam magar jaane kya intizam kar rahe hain...
go apne hazar naam rakh lun par apne siva main aur kya hun...
ham ne kyun khud pe etibar kiya sakht be-etibar the ham to...
ik ajab aamad-o-shud hai ki na mazi hai na haal jaun barpa kai naslon ka safar hai mujh mein...
apne sabhi gile baja par hai yahi ki dilruba mera tira moamla ishq ke bas ka tha nahin...
ham yahan khud aae hain laaya nahin koi hamein aur khuda ka ham ne apne naam par rakkha hai naam...
main bistar-e-khayal pe leTa hun us ke paas subh-e-azal se koi taqaza kiye baghair...
khuda se le liya jannat ka vaada ye zahid to baDe hi ghaag nikle...
ho kabhi to sharab-e-vasl nasib piye jaun main khuun hi kab tak...
ab nahin milenge ham kucha-e-tamanna mein kucha-e-tamanna mein ab nahin milenge ham...
jama ham ne kiya hai gham dil mein is ka ab suud khaaey jaenge...
jaan-e-man teri be-naqabi ne aaj kitne naqab beche hain...
shaam hui hai yaar aae hain yaaron ke hamrah chalen aaj vahan qavvali hogi jaun chalo dargah chalen...
phir us gali se apna guzar chahta hai dil ab us gali ko kaun si basti se laun main...
jaun duniya ki chaakri kar ke tu ne dil ki vo naukri kya ki...
ab khaak uD rahi hai yahan intizar ki ai dil ye baam-o-dar kisi jaan-e-jahan ke the...
nai khvahish rachai ja rahi hai tiri furqat manai ja rahi hai...
hamein shikva nahin ik dusre se manana chahiye is par khushi kya...
yaad aate hain moajaze apne aur us ke badan ka jaadu bhi...
kiya tha ahd jab lamhon mein ham ne to saari umr iifa kyun karen ham...
main kahun kis tarah ye baat us se tujh ko jaanam mujhi se khatra hai...
ghar se ham ghar talak gae honge apne hi aap tak gae honge...
main sahun karb-e-zindagi kab tak rahe aakhir tiri kami kab tak...
ham ajab hain ki us ki bahon mein shikva-e-narasai karte hain...
tujh ko khabar nahin ki tira karb dekh kar aksar tira mazaq uData raha hun main...
mujh ko ye hosh hi na tha tu mire bazuon mein hai yaani tujhe abhi talak main ne riha nahin kiya...
zamana tha vo dil ki zindagi ka tiri furqat ke din laun kahan se...
hamla hai chaar su dar-o-divar-e-shahr ka sab jangalon ko shahr ke andar sameT lo...
ham ko hargiz nahin khuda manzur yaani ham be-tarah khuda ke hain...
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikayat hai nahin to...
ek qattala chahiye ham ko ham ye elan-e-aam kar rahe hain...
kuchh to rishta hai tum se kam-bakhton kuchh nahin koi bad-dua bhejo...
husn kahta tha chheDne vaale chheDna hi to bas nahin chhu bhi...
ab ki jab jaanana tum ko hai sabhi par etibar ab tumhein jaanana mujh par etibar aaya to kya...
in labon ka lahu na pi jaun apni tishna-labi se khatra hai...
raegan vasl mein bhi vaqt hua par hua khuub raegan jaanan...
main le ke dil ke rishte ghar se nikal chuka hun divar-o-dar ke rishte divar-o-dar mein honge...
ik husn-e-be-misal ki tamsil ke liye parchhaiyon pe rang girata raha hun main...
haae vo us ka mauj-khez badan main to pyasa raha lab-e-ju bhi...
shayad vo din pahla din tha palken bojhal hone ka mujh ko dekhte hi jab us ki angDai sharmai hai...
na rakha ham ne besh-o-kam ka khayal shauq ko be-hisab hi likkha...
shishe ke is taraf se main sab ko tak raha hun marne ki bhi kisi ko fursat nahin hai mujh mein...
sabit hua sukun-e-dil-o-jaan kahin nahin rishton mein dhunDta hai to dhunDa kare koi...
ai subh main ab kahan raha hun khvabon hi mein sarf ho chuka hun...
puchh na vasl ka hisab haal hai ab bahut kharab rishta-e-jism-o-jaan ke biich jism haram ho gaya...
mujhe gharaz hai miri jaan ghul machane se na tere aane se matlab na tere jaane se...
do jahan se guzar gaya phir bhi main raha khud ko umr bhar darpesh...
kis se izhar-e-muddaa kije aap milte nahin hain kya kije...
jaun junub-e-zard ke khaak-basar ye dukh uTha mauj-e-shimal-e-sabz-jaan aai thi aur chali gai...
rakho dair-o-haram ko ab muqaffal kai pagal yahan se bhaag nikle...
aap apni gali ke sail ko kam se kam par saval to rakhiye...
bahut katra rahe ho mughbachon se gunah-e-tark-e-bada kar liya kya...
marham-e-hijr tha ajab iksir ab to har zakhm bhar gaya hoga...
ham tira hijr manane ke liye nikle hain shahr mein aag lagane ke liye nikle hain...
socha hai ki ab kar-e-masiha na karenge vo khuun bhi thukega to parva na karenge...
miri sharab ka shohra hai ab zamane mein so ye karam hai to kis ka hai ab bhi aa jao...
rahn sarshari-e-faza ke hain aaj ke baad ham hava ke hain...
ye paiham talkh-kami si rahi kya mohabbat zahr kha kar aai thi kya...
kisi ke bin kisi ki yaad ke bin jiye jaane ki himmat hai nahin to...
inqalab ek khvab hai so hai dil ki duniya kharab hai so hai...
kitni vahshat hai darmiyan-e-hujum jis ko dekho gaya hua hai kahin...
kya hue surat-nigaran khvab ke khvab ke surat-nigaran kya hue...
dil ab duniya pe lanat kar ki is ki bahut khidmat-guzari ho gai hai...
siina dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun chikh chikh kar na gala chhil le koi...
khira-saran-e-shauq ka koi nahin hai jumba-dar shahr mein is giroh ne kis ko khafa nahin kiya...
husn se arz-e-shauq na karna husn ko zak pahunchana hai ham ne arz-e-shauq na kar ke husn ko zak pahunchai hai...
mohazzab aadmi patlun ke baTan to laga ki irtiqa hai ibarat baTan lagane se...
mere tevar bujh gae meri nigahen jal gain ab koi aaina-ru aaina-dar aaya to kya...
tegh to jaun phenk dije magar haath mein apne dhaal to rakhiye...
paas-e-hayat ka khayal ham ko bahut bura laga pas ba-hujum-e-marka jaan ke be-sipar gae...
tera khayal khvab khvab khalvat-e-jaan ki aab-o-tab jism-e-jamil-e-o-naujavan shaam-ba-khair shab-ba-khair...
lamha-ba-lamha dam-ba-dam aan-ba-aan ram-ba-ram main bhi guzishtagan mein hun tu bhi guzishtagan mein hai...
hai ye vajud ki numud apni nafas nafas gurez vaqt ki saari bastiyan apni hazimaton mein hain...
ham-nafasan-e-vaza-dar mustamian-e-burd-bar ham to tumhaare vaste ek vabal ho gae...
mire harif miri yakka-taziyon pe nisar tamam umr halifon se jang ki main ne...
ek surud-e-raushni nima-e-shab ka khvab tha ek khamosh tirgi saneha-ashna bhi thi...
be-sutun ik navahi mein hai shahr-e-dil ki tesha inam karen aur koi farhad rakhen...
be-dili kya yunhi din guzar jaenge sirf zinda rahe ham to mar jaenge...
vo munkir hai to phir shayad har ik maktub-e-shauq us ne sar-angusht-e-hinai se khalaon mein likha hoga...
us ki chashm-e-nim-va se puchhiyo vo tire mizhgan-shumaran kya hue...
tiflan-e-kucha-gard ke patthar bhi kuchh nahin sauda bhi ek vahm hai aur sar bhi kuchh nahin...
aaj lab-e-guhar-fishan aap ne va nahin kiya tazkira-e-khajista-e-aab-o-hava nahin kiya...
vo jo the shahr-e-tahayyur tire pur-fan meamar vahi pur-fan tujhe Dhane ke liye nikle hain...
ai tarah-dar-e-ishva-taraz-e-dayar-e-naz rukhsat hua hun tere liye dil-gali se main...

Ghazalein

Explore more on Diwan E Sukhan