DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Jigar Moradabadi

1890 (Moradabad) – 1960 (Gonda) • King of Ghazal

"A highly charismatic and bohemian poet, Jigar Moradabadi was famous across the subcontinent for his ecstatic, deeply emotional, and incredibly melodious mushaira recitations. Despite battling severe personal demons and lifelong struggles with alcoholism, his poetry remained remarkably pure, optimistic, and intensely romantic. He was a beloved figure among the masses, known for living life exactly on his own terms and refusing to conform to societal expectations, pouring all his passion directly into his unforgettable ghazals."

Mashhoor Ash'aar

ishq nazuk-mizaj hai behad aql ka bojh uTha nahin sakta...
dil mein kisi ke raah kiye ja raha hun main kitna hasin gunah kiye ja raha hun main...
ham ne siine se lagaya dil na apna ban saka muskura kar tum ne dekha dil tumhaara ho gaya...
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyasat jaanen mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche...
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai simTe to dil-e-aashiq phaile to zamana hai...
apna zamana aap banate hain ahl-e-dil ham vo nahin ki jin ko zamana bana gaya...
teri aankhon ka kuchh qusur nahin haan mujhi ko kharab hona tha...
jo tufanon mein palte ja rahe hain vahi duniya badalte ja rahe hain...
tire jamal ki tasvir khinch dun lekin zaban mein aankh nahin aankh mein zaban nahin...
itne hijabon par to ye aalam hai husn ka kya haal ho jo dekh len parda uTha ke ham...
aaghaz-e-mohabbat ka anjam bas itna hai jab dil mein tamanna thi ab dil hi tamanna hai...
kya husn ne samjha hai kya ishq ne jaana hai ham khaak-nashinon ki Thokar mein zamana hai...
aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabrata hun main jaise har shai mein kisi shai ki kami paata hun main...
ishq jab tak na kar chuke rusva aadmi kaam ka nahin hota...
yun zindagi guzar raha hun tire baghair jaise koi gunah kiye ja raha hun main...
na gharaz kisi se na vasta mujhe kaam apne hi kaam se tire zikr se tiri fikr se tiri yaad se tire naam se...
ya vo the khafa ham se ya ham hain khafa un se kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai...
aadmi aadmi se milta hai dil magar kam kisi se milta hai...
us ne apna bana ke chhoD diya kya asiri hai kya rihai hai...
hasin teri aankhen hasin tere aansu yahin Duub jaane ko ji chahta hai...
miri zindagi to guzri tire hijr ke sahaare miri maut ko bhi pyare koi chahiye bahana...
pahle sharab ziist thi ab ziist hai sharab koi pila raha hai piye ja raha hun main...
duniya ke sitam yaad na apni hi vafa yaad ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siva yaad...
aatish-e-ishq vo jahannam hai jis mein firdaus ke nazare hain...
aadat ke baad dard bhi dene laga maza hans hans ke aah aah kiye ja raha hun main...
allah agar taufiq na de insan ke bas ka kaam nahin faizan-e-mohabbat aam sahi irfan-e-mohabbat aam nahin...
meri nigah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar phir bhi tira shabab tira hi shabab hai...
bahut hasin sahi sohbaten gulon ki magar vo zindagi hai jo kanTon ke darmiyan guzre...
donon hathon se luTti hai hamein kitni zalim hai teri angDai...
dil hai qadmon par kisi ke sar jhuka ho ya na ho bandagi to apni fitrat hai khuda ho ya na ho...
kuchh khaTakta to hai pahlu mein mire rah rah kar ab khuda jaane tiri yaad hai ya dil mera...
zindagi ik hadsa hai aur kaisa hadsa maut se bhi khatm jis ka silsila hota nahin...
ibtida vo thi ki jiina tha mohabbat mein muhal intiha ye hai ki ab marna bhi mushkil ho gaya...
aabad agar na dil ho to barbad kijiye gulshan na ban sake to bayaban banaiye...
hamin jab na honge to kya rang-e-mahfil kise dekh kar aap sharmaiyega...
tul-e-gham-e-hayat se ghabra na ai jigar aisi bhi koi shaam hai jis ki sahar na ho...
ek aisa bhi vaqt hota hai muskurahaT bhi aah hoti hai...
suna hai hashr mein har aankh use be-parda dekhegi mujhe Dar hai na tauhin-e-jamal-e-yaar ho jaae...
haae re majburiyan mahrumiyan nakamiyan ishq aakhir ishq hai tum kya karo ham kya karen...
kidhar se barq chamakti hai dekhen ai vaiz main apna jaam uThata hun tu kitab uTha...
kabhi un mad-bhari aankhon se piya tha ik jaam aaj tak hosh nahin hosh nahin hosh nahin...
sadaqat ho to dil sinon se khinchne lagte hain vaiz haqiqat khud ko manva leti hai maani nahin jaati...
maut kya ek lafz-e-be-maani jis ko maara hayat ne maara...
vo chiiz kahte hain firdaus-e-gum-shuda jis ko kabhi kabhi tiri aankhon mein paai jaati hai...
ab to ye bhi nahin raha ehsas dard hota hai ya nahin hota...
bhulana hamara mubarak mubarak magar shart ye hai na yaad aaiyega...
usi ko kahte hain jannat usi ko dozakh bhi vo zindagi jo hasinon ke darmiyan guzre...
ham ishq ke maaron ka itna hi fasana hai rone ko nahin koi hansne ko zamana hai...
husn ko bhi kahan nasib jigar vo jo ik shai miri nigah mein hai...
hamein maalum hai ham se suno mahshar mein kya hoga sab us ko dekhte honge vo ham ko dekhta hoga...
sab ko maara jigar ke sheron ne aur jigar ko sharab ne maara...
mohabbat mein ye kya maqam aa rahe hain ki manzil pe hain aur chale ja rahe hain...
dard o gham dil ki tabiat ban gae ab yahan aaram hi aaram hai...
gulshan-parast hun mujhe gul hi nahin aziz kanTon se bhi nibah kiye ja raha hun main...
kuchh is ada se aaj vo pahlu-nashin rahe jab tak hamare paas rahe ham nahin rahe...
sabhi andaz-e-husn pyare hain ham magar sadgi ke maare hain...
dil ko sukun ruuh ko aaram aa gaya maut aa gai ki dost ka paigham aa gaya...
tujhe bhuul jaana to mumkin nahin hai magar bhuul jaane ko ji chahta hai...
aai jab un ki yaad to aati chali gai har naqsh-e-ma-siva ko miTati chali gai...
dil gaya raunaq-e-hayat gai gham gaya saari kaenat gai...
aadmi ke paas sab kuchh hai magar ek tanha aadamiyyat hi nahin...
tiri khushi se agar gham mein bhi khushi na hui vo zindagi to mohabbat ki zindagi na hui...
mohabbat mein ik aisa vaqt bhi dil par guzarta hai ki aansu khushk ho jaate hain tughyani nahin jaati...
aankhon mein nami si hai chup chup se vo baiThe hain nazuk si nigahon mein nazuk sa fasana hai...
main jahan hun tire khayal mein hun tu jahan hai miri nigah mein hai...
aankhon mein bas ke dil mein sama kar chale gae khvabida zindagi thi jaga kar chale gae...
gunahgar ke dil se na bach ke chal zahid yahin kahin tiri jannat bhi paai jaati hai...
mohabbat mein ham to jiye hain jiyenge vo honge koi aur mar jaane vaale...
phuul khile hain gulshan gulshan lekin apna apna daaman...
garche ahl-e-sharab hain ham log ye na samjho kharab hain ham log...
idhar se bhi hai siva kuchh udhar ki majburi ki ham ne aah to ki un se aah bhi na hui...
gudaz-e-ishq nahin kam jo main javan na raha vahi hai aag magar aag mein dhuan na raha...
jab mili aankh hosh kho baiThe kitne hazir-javab hain ham log...
sehn-e-chaman ko apni baharon pe naaz tha vo aa gae to saari baharon pe chha gae...
kucha-e-ishq mein nikal aaya jis ko khana-kharab hona tha...
ai mohtasib na phenk mire mohtasib na phenk zaalim sharab hai are zalim sharab hai...
masarrat zindagi ka dusra naam masarrat ki tamanna mustaqil gham...
laakh aaftab paas se ho kar guzar gae ham baiThe intizar-e-sahar dekhte rahe...
baiThe hue raqib hain dilbar ke aas-paas kanTon ka hai hujum gul-e-tar ke aas-paas...
vo the na mujh se duur na main un se duur tha aata na tha nazar to nazar ka qusur tha...
mujhe de rahe hain tasalliyan vo har ek taaza payam se kabhi aa ke manzar-e-aam par kabhi haT ke manzar-e-aam se...
lakhon mein intikhab ke qabil bana diya jis dil ko tum ne dekh liya dil bana diya...
aaj na jaane raaz ye kya hai hijr ki raat aur itni raushan...
ye mai-khana hai bazm-e-jam nahin hai yahan koi kisi se kam nahin hai...
jise sayyad ne kuchh gul ne kuchh bulbul ne kuchh samjha chaman mein kitni mani-khez thi ik khamushi miri...
aankhon ka tha qusur na dil ka qusur tha aaya jo mere samne mera ghurur tha...
saaz-e-ulfat chhiD raha hai aansuon ke saaz par muskurae ham to un ko bad-gumani ho gai...
hun khata-kar siyahkar gunahgar magar kis ko bakhshe tiri rahmat jo gunahgar na ho...
dhaDakne laga dil nazar jhuk gai kabhi un se jab samna ho gaya...
jaan hi de di jigar ne aaj pa-e-yaar par umr bhar ki be-qarari ko qarar aa hi gaya...
chashm pur-nam zulf aashufta nigahen be-qarar is pashemani ke sadqe main pashiman ho gaya...
ek dil hai aur tufan-e-havadis ai jigar ek shisha hai ki har patthar se Takrata hun main...
ja aur koi zabt ki duniya talash kar ai ishq ham to ab tire qabil nahin rahe...
tasvir ke do rukh hain jaan aur gham-e-jaanan ik naqsh chhupana hai ik naqsh dikhana hai...
vahi hai zindagi lekin jigar ye haal hai apna ki jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai...
labon pe mauj-e-tabassum nigah mein barq-e-ghazab koi batae ye andaz-e-barhami kya hai...
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin ik tiri yaad thi aisi jo bhulai na gai...
kamal-e-tishnagi hi se bujha lete hain pyaas apni isi tapte hue sahra ko ham dariya samajhte hain...
meri barbadiyan durust magar tu bata kya tujhe savab hua...
ye raaz sun rahe hain ik mauj-e-dil-nashin se Duube hain ham jahan par ubhrenge phir vahin se...
Explore more on Diwan E Sukhan