DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Khumar Barabankavi

1919 (Barabanki) – 1999 (Barabanki) • The Melodious Voice

"Often considered the last of the great classical romantics of the mushaira stage. Khumar possessed a highly melodious voice (tarannum) that could captivate thousands. His ghazals were deeply romantic, heavily influenced by classical traditions, and his couplets regarding wine and love are still widely recited."

Mashhoor Ash'aar

bhoole hain rafta rafta unhein muddaton mein ham qiston mein khud-kushi ka maza ham se poochhiye...
wahi phir mujhe yaad aane lage hain jinhein bhoolne mein zamane lage hain...
dushmanon se pyaar hota jayega doston ko aazmate jaiye...
ye kahna tha un se mohabbat hai mujh ko ye kahne mein mujh ko zamane lage hain...
khuda bachaye tiri mast mast aankhon se farishta ho to bahak jaye aadmi kya hai...
mohabbat ko samajhna hai to naseh khud mohabbat kar kinare se kabhi andaza-e-toofan nahin hota...
suna hai hamein wo bhulane lage hain to kya ham unhein yaad aane lage hain...
hairat hai tum ko dekh ke masjid mein ai 'khumar' kya baat ho gayi jo khuda yaad aa gaya...
doosron par agar tabsira kijiye saamne aaina rakh liya kijiye...
ab in hudud mein laaya hai intezar mujhe wo aa bhi jaayen to aaye na etibar mujhe...
had se badhe jo ilm to hai jahl dosto sab kuchh jo jaante hain wo kuchh jaante nahin...
aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi jazbaat mein wo pahli si shiddat nahin rahi...
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas sab se najaat paaye zamane guzar gaye...
mire rahbar mujh ko gumrah kar de suna hai ki manzil qareeb aa gayi hai...
tujh ko barbad to hona tha bahar-haal 'khumar' naaz kar naaz ki us ne tujhe barbad kiya...
charaghon ke badle makan jal rahe hain naya hai zamana nai raushni hai...
guzre hain mai-kade se jo tauba ke baad ham kuchh door aadatan bhi qadam dagmagaye hain...
hataye the jo raah se doston ki wo patthar mire ghar mein aane lage hain...
yaad karne pe bhi dost aaye na yaad doston ke karam yaad aate rahe...
ilahi mire dost hon khairiyat se ye kyun ghar mein patthar nahin aa rahe hain...
aaj nagah ham kisi se mile baad muddat ke zindagi se mile...
sahra ko bahut naaz hai veerani pe apni waqif nahin shayad mire ujde hue ghar se...
o jaane wale aa ki tire intezar mein raste ko ghar banaye zamane guzar gaye...
ye wafa ki sakht rahein ye tumhare paanv nazuk na lo intiqam mujh se mire saath saath chal ke...
aql o dil apni apni kahein jab 'khumar' aql ki suniye dil ka kaha kijiye...
phool kar le nibah kanton se aadmi hi na aadmi se mile...
raat baqi thi jab wo bichhde the kat gayi umr raat baqi hai...
haath uthta nahin hai dil se 'khumar' ham unhein kis tarah salam karein...
jhunjhlaye hain lajaye hain phir muskuraye hain kis ehtimam se unhein ham yaad aaye hain...
dushmanon se pasheman hona pada hai doston ka khuloos aazmane ke baad...
raushni ke liye dil jalana pada kaisi zulmat badhi tere jaane ke baad...
na haara hai ishq aur na duniya thaki hai diya jal raha hai hawa chal rahi hai...
mujhe to un ki ibadat pe rahm aata hai jabeen ke saath jo sajde mein dil jhuka na sake...
ham pe guzra hai wo bhi waqt 'khumar' jab shanasa bhi ajnabi se mile...
mujhe to mahroomi-e-nazara qubool aap jalwe na apne aam karein...
ham bhi kar lein jo raushni ghar mein phir andhere kahan qayam karein...
na to hosh se taaruf na junoon se aashnai ye kahan pahunch gaye hain tiri bazm se nikal ke...
jalte diyon mein jalte gharon jaisi zau kahan sarkar raushni ka maza ham se poochhiye...
haal-e-gham kah ke gham badha baithe teer maare the teer kha baithe...
kahin sher o naghma ban ke kahin aansuon mein dhal ke wo mujhe mile to lekin kai sooratein badal ke...
ik guzarish hai hazrat-e-naseh aap ab aur koi kaam karein...
aap ne din bana diya tha jise zindagi bhar wo raat yaad aayi...
ye wafa ki sakht rahein ye tumhare pa-e-nazuk na lo intiqam mujh se mire saath saath chal ke...
dam andhere mein ghut raha hai 'khumar' aur charon taraf ujala hai...
wo kanta hai jo chubh kar toot jaye mohabbat ki bas itni dastan hai...
salam aakhir hai ahl-e-anjuman ko khumar ab khatm apni dastan hai...
jaam-ba-dast-o-mai-ba-jaam yun hi guzar subh-o-shaam zeest ki talkhiyan mudaam pee ke pila ke bhool ja...
guzre hue zamane ko yaad na kar kabhi 'khumar' aur jo yaad aa hi jaye ashk baha ke bhool ja...
maut aaye to din phiren shayad zindagi ne to maar daala hai...
hazar tark-e-taalluq ka ehtimam kiya magar jahan wo mile dil ne apna kaam kiya...
ik aansoo kah gaya sab haal dil ka na samjha tha ye zaalim be-zaban hai...
dua ye hai na hon gumrah ham-safar mere 'khumar' main ne to apna safar tamam kiya...
ishq mein sahme hue do aashna muddaton anjaan nazar aaye hain...
ishq ko barqarar rakh dil ko laga ke bhool ja is se bhi mutmain na ho us ko bhi paa ke bhool ja...
ye charagh-e-anjuman to hain bas ek shab ke mehman tu jala wo shama ai dil jo bujhe kabhi na jal ke...
haaye re wo madh-bhari aankhein 'khumar' mai-kade veeran nazar aaye hain...
mujh se ai dost phir khafa ho ja ishq ko neend aayi jaati hai...
chaar din ka hi saath tha lekin zindagi ai 'khumar' le doobi...
dekh kar barq ki pareshani aashiyan khud hi phoonk daala hai...
kya jawani gayi janab-e-'khumar' kaise tauba ki baat yaad aayi...
bhagta hoon main zindagi se 'khumar' aur ye nagin dase hi jaati hai...
ishq ke karobar ko aksar garmi-e-karobar le doobi...
Explore more on Diwan E Sukhan