DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Momin Khan Momin

1800 (Delhi) – 1851 (Delhi) • Hakeem-ul-Ummat

"A true Renaissance man of 19th-century Delhi, Momin Khan Momin was a practicing physician (Hakeem), an expert astrologer, a chess master, and a romantic to his very core. Unlike many of his contemporaries who leaned on mysticism, Momin strictly wrote about earthly, sensual love, deliberately avoiding Sufi metaphors. His traditional ghazals are celebrated for their deep complexity and intricate romanticism. Mirza Ghalib was so mesmerized by Momin's famous verse, 'Tum mere paas hote ho goya, jab koi doosra nahi hota' (You are close to me as if, when there is no one else), that he famously offered his entire diwan (poetry collection) in exchange for it."

Mashhoor Ash'aar

tum mire paas hote ho goya jab koi dusra nahin hota...
umr saari to kaTi ishq-e-butan mein momin aakhiri vaqt mein kya khaak musalman honge...
tum hamare kisi tarah na hue varna duniya mein kya nahin hota...
vo jo ham mein tum mein qarar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho vahi yaani vaada nibah ka tumhein yaad ho ki na yaad ho...
thi vasl mein bhi fikr-e-judai tamam shab vo aae to bhi niind na aai tamam shab...
kya jaane kya likha tha use iztirab mein qasid ki laash aai hai khat ke javab mein...
main bhi kuchh khush nahin vafa kar ke tum ne achchha kiya nibah na ki...
shab jo masjid mein ja phanse momin raat kaaTi khuda khuda kar ke...
manga karenge ab se dua hijr-e-yaar ki aakhir to dushmani hai asar ko dua ke saath...
chal diye su-e-haram ku-e-butan se momin jab diya ranj buton ne to khuda yaad aaya...
roya karenge aap bhi pahron isi tarah aTka kahin jo aap ka dil bhi miri tarah...
uljha hai panv yaar ka zulf-e-daraz mein lo aap apne daam mein sayyad aa gaya...
vo aae hain pasheman laash par ab tujhe ai zindagi laun kahan se...
us ghairat-e-nahid ki har taan hai dipak shoala sa lapak jaae hai aavaz to dekho...
kabhi ham mein tum mein bhi chaah thi kabhi ham se tum se bhi raah thi kabhi ham bhi tum bhi the aashna tumhein yaad ho ki na yaad ho...
aap ki kaun si baDhi izzat main agar bazm mein zalil hua...
kis pe marte ho aap puchhte hain mujh ko fikr-e-javab ne maara...
kisi ka hua aaj kal tha kisi ka na hai tu kisi ka na hoga kisi ka...
Thaani thi dil mein ab na milenge kisi se ham par kya karen ki ho gae na-chaar ji se ham...
us naqsh-e-pa ke sajde ne kya kya kiya zalil main kucha-e-raqib mein bhi sar ke bal gaya...
hai kuchh to baat momin jo chha gai khamoshi kis but ko de diya dil kyun but se ban gae ho...
haal-e-dil yaar ko likhun kyunkar haath dil se juda nahin hota...
navak-andaz jidhar dida-e-janan honge niim-bismil kai honge kai be-jaan honge...
hans hans ke vo mujh se hi mire qatl ki baaten is tarah se karte hain ki goya na karenge...
na karo ab nibah ki baaten tum ko ai mehrban dekh liya...
tu kahan jaegi kuchh apna Thikana kar le ham to kal khvab-e-adam mein shab-e-hijran honge...
chaara-e-dil sivae sabr nahin so tumhaare siva nahin hota...
Darta hun aasman se bijli na gir paDe sayyad ki nigah su-e-ashiyan nahin...
majlis mein mire zikr ke aate hi uThe vo badnami-e-ushshaq ka eazaz to dekho...
maashuq se bhi ham ne nibhai barabari vaan lutf kam hua to yahan pyaar kam hua...
momin khuda ke vaste aisa makan na chhoD dozakh mein Daal khuld ko ku-e-butan na chhoD...
bahr-e-ayadat aae vo lekin qaza ke saath dam hi nikal gaya mira aavaz-e-pa ke saath...
kya mila arz-e-muddaa kar ke baat bhi khoi iltija kar ke...
kal tum jo bazm-e-ghair mein aankhen chura gae khoe gae ham aise ki aghyar pa gae...
na manunga nasihat par na sunta main to kya karta ki har har baat mein naseh tumhaara naam leta tha...
ghairon pe khul na jaae kahin raaz dekhna meri taraf bhi ghamza-e-ghammaz dekhna...
ho gaya raaz-e-ishq be-parda us ne parde se jo nikala munh...
ho gae naam-e-butan sunte hi momin be-qarar ham na kahte the ki hazrat parsa kahne ko hain...
ham samajhte hain aazmane ko uzr kuchh chahiye satane ko...
kuchh qafas mein in dinon lagta hai ji aashiyan apna hua barbad kya...
soz-e-gham se ashk ka ek ek qatra jal gaya aag paani mein lagi aisi ki dariya jal gaya...
itni kudurat ashk mein hairan hun kya kahun dariya mein hai sarab ki dariya sarab mein...
rah ke masjid mein kya hi ghabraya raat kaaTi khuda khuda kar ke...
taab-e-nazzara nahin aaina kya dekhne dun aur ban jaenge tasvir jo hairan honge...
kar ilaj-e-josh-e-vahshat charagar la de ik jangal mujhe bazar se...
sahab ne is ghulam ko aazad kar diya lo bandagi ki chhuT gae bandagi se ham...
hai kis ka intizar ki khvab-e-adam se bhi har baar chaunk paDte hain aavaz-e-pa ke saath...
raaz-e-nihan zaban-e-aghyar tak na pahuncha kya ek bhi hamara khat yaar tak na pahuncha...
be-khud the ghash the mahv the duniya ka gham na tha jiina visal mein bhi to hijran se kam na tha...
ne jaae vaan bane hai ne bin jaae chain hai kya kijiye hamein to hai mushkil sabhi tarah...
dho diya ashk-e-nadamat ne gunahon ko mire tar hua daman to baare paak daman ho gaya...
momin main apne nalon ke sadqe ki kahte hain us ko bhi aaj niind na aai tamam shab...
mahshar mein paas kyun dam-e-faryad aa gaya rahm us ne kab kiya tha ki ab yaad aa gaya...
dushnam-e-yaar tab-e-hazin par giran nahin ai ham-nashin nazakat-e-aavaz dekhna...
le shab-e-vasl-e-ghair bhi kaaTi tu mujhe aazmaega kab tak...
go aap ne javab bura hi diya vale mujh se bayan na kije adu ke payam ko...
go ki ham safha-e-hasti pe the ek harf-e-ghalat lekin uTThe bhi to ik naqsh biTha kar uThe...
naseha dil mein to itna tu samajh apne ki ham laakh nadan hue kya tujh se bhi nadan honge...
paiham sujud pa-e-sanam par dam-e-vida momin khuda ko bhuul gae iztirab mein...
ejaz-e-jaan-dahi hai hamare kalam ko zinda kiya hai ham ne masiha ke naam ko...
dida-e-hairan ne tamasha kiya der talak vo mujhe dekha kiya...
mere taghir-e-rang ko mat dekh tujh ko apni nazar na ho jaae...
ab shor hai misal-e-judi is khiram ko yun kaun jaanta tha qayamat ke naam ko...
sun ke meri marg bole mar gaya achchha hua kya bura lagta tha jis dam samne aa jaae tha...
ulTe vo shikve karte hain aur kis ada ke saath be-taqati ke taane hain uzr-e-jafa ke saath...
kiya tum ne qatl-e-jahan ik nazar mein kisi ne na dekha tamasha kisi ka...
sina-kubi se zamin saari hila ke uThe kya alam dhuum se tere shohada ke uThe...
mujhe kaam rone se aksar hai naseh tu kab tak mire munh ko dhota rahega...
mira ji to aankhon mein aaya ye sunte ki didar bhi ek din aam hoga...
kisu se dil nahin milta hai ya rab hua tha kis ghaDi un se juda main...

Ghazalein

Explore more on Diwan E Sukhan