DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Shahryar

1936 (Aonla) – 2012 (Aligarh) • The Urban Voice

"An esteemed academic who served at Aligarh Muslim University and a recipient of the prestigious Jnanpith Award. Shahryar brought distinctly modern, urban themes and the sense of modern isolation into the ghazal. He gained massive mainstream popularity as the lyricist for Muzaffar Ali's classic film 'Umrao Jaan', perfectly recreating the classical aura of 19th-century Lucknow."

Mashhoor Ash'aar

shadid pyaas thi phir bhi chhua na paani ko main dekhta raha dariya tiri ravani ko...
jahan mein hone ko ai dost yun to sab hoga tire labon pe mire lab hon aisa kab hoga...
justuju jis ki thi us ko to na paaya ham ne is bahane se magar dekh li duniya ham ne...
siyah raat nahin leti naam Dhalne ka yahi to vaqt hai suraj tire nikalne ka...
kya koi nai baat nazar aati hai ham mein aaina hamein dekh ke hairan sa kyun hai...
shikva koi dariya ki ravani se nahin hai rishta hi miri pyaas ka paani se nahin hai...
har mulaqat ka anjam judai kyun hai ab to har vaqt yahi baat satati hai hamein...
ghar ki taamir tasavvur hi mein ho sakti hai apne naqshe ke mutabiq ye zamin kuchh kam hai...
siine mein jalan aankhon mein tufan sa kyun hai is shahr mein har shakhs pareshan sa kyun hai...
jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyun hai zindagi roz nae rang badalti kyun hai...
hai koi jo batae shab ke musafiron ko kitna safar hua hai kitna safar raha hai...
shaam hote hi khuli saDkon ki yaad aati hai sochta roz hun main ghar se nahin niklunga...
kaun si baat hai jo us mein nahin us ko dekhe miri nazar se koi...
ye kya hai mohabbat mein to aisa nahin hota main tujh se juda ho ke bhi tanha nahin hota...
bichhDe logon se mulaqat kabhi phir hogi dil mein ummid to kaafi hai yaqin kuchh kam hai...
ye ik shajar ki jis pe na kanTa na phuul hai saae mein us ke baiTh ke rona fuzul hai...
ya tere alava bhi kisi shai ki talab hai ya apni mohabbat pe bharosa nahin ham ko...
jama karte rahe jo apne ko zarra zarra vo ye kya jaanen bikharne mein sukun kitna hai...
vo kaun tha vo kahan ka tha kya hua tha use suna hai aaj koi shakhs mar gaya yaaro...
umr ka lamba hissa kar ke danai ke naam ham bhi ab ye soch rahe hain pagal ho jaaen...
sabhi ko gham hai samundar ke khushk hone ka ki khel khatm hua kashtiyan Dubone ka...
ik bund zahr ke liye phaila rahe ho haath dekho kabhi khud apne badan ko nichoD ke...
jo hone vaala hai ab us ki fikr kya kiije jo ho chuka hai usi par yaqin nahin aata...
pahle nahai os mein phir aansuon mein raat yun bund bund utri hamare gharon mein raat...
ab raat ki divar ko Dhana hai zaruri ye kaam magar mujh se akele nahin hoga...
pal bhar mein kaise log badal jaate hain yahan dekho ki ye mufid hai binai ke liye...
ik sirf hamin mai ko aankhon se pilate hain kahne ko to duniya mein mai-khane hazaron hain...
tere vaade ko kabhi jhuuT nahin samjhunga aaj ki raat bhi darvaza khula rakkhunga...
mire suraj aa! mire jism pe apna saaya kar baDi tez hava hai sardi aaj ghazab ki hai...
hai aaj ye gila ki akela hai shahryar tarsoge kal hujum mein tanhai ke liye...
kahiye to aasman ko zamin par utaar laaen mushkil nahin hai kuchh bhi agar Thaan lijiye...
aasman kuchh bhi nahin ab tere karne ke liye main ne sab tayyariyan kar li hain marne ke liye...
aankh ki ye ek hasrat thi ki bas puuri hui aansuon mein bhiig jaane ki havas puuri hui...
jo chahti duniya hai vo mujh se nahin hoga samjhauta koi khvab ke badle nahin hoga...
ye jab hai ki ik khvab se rishta hai hamara din Dhalte hi dil Duubne lagta hai hamara...
jaagta hun main ek akela duniya soti hai kitni vahshat hijr ki lambi raat mein hoti hai...
ajiib saneha mujh par guzar gaya yaaro main apne saae se kal raat Dar gaya yaaro...
nazrana tere husn ko kya den ki apne paas le de ke ek dil hai so TuuTa hua sa hai...
be-naam se ik khauf se dil kyun hai pareshan jab tai hai ki kuchh vaqt se pahle nahin hoga...
ye kya jagah hai dosto ye kaun sa dayar hai hadd-e-nigah tak jahan ghubar hi ghubar hai...
tu kahan hai tujh se ik nisbat thi meri zaat ko kab se palkon par uThae phir raha hun raat ko...
aankhon mein teri dekh raha hun main apni shakl ye koi vahima ye koi khvab to nahin...
vaqt ko kyun bhala bura kahiye tujh ko hona hi tha juda ham se...
in dino main bhi hun kuchh kar-e-jahan mein masruf baat tujh mein bhi nahin rah gai pahle vaali...
ham juda ho gae aaghaz-e-safar se pahle jaane kis samt hamein raah-e-vafa le jaati...
na khush-guman ho is par tu ai dil-e-sada sabhi ko dekh ke vo shakhs muskurata hai...
main sochta hun magar yaad kuchh nahin aata ki ikhtitam kahan khvab ke safar ka hua...
kyun aaj us ka zikr mujhe khush na kar saka kyun aaj us ka naam mira dil dukha gaya...
bahut shor tha jab samaat gai bahut bhiiD thi jab akele hue...
zaban mili bhi to kis vaqt be-zabanon ko sunane ke liye jab koi dastan na rahi...
tanhai ki ye kaun si manzil hai rafiqo ta-hadd-e-nazar ek bayaban sa kyun hai...
jaan-bujh kar samajh kar main ne bhula diya har vo qissa jo dil ko bahlane vaala tha...
zindagi jaisi tavaqqo thi nahin kuchh kam hai har ghaDi hota hai ehsas kahin kuchh kam hai...
nazar jo koi bhi tujh sa hasin nahin aata kisi ko kya mujhe khud bhi yaqin nahin aata...
ham khush hain hamein dhuup virasat mein mili hai ajdad kahin peD bhi kuchh bo gae hote...
chal chal ke thak gaya hai ki manzil nahin koi kyun vaqt ek moD pe Thahra hua sa hai...
ab ji ke bahalne ki hai ek yahi surat biiti hui kuchh baaten ham yaad karen phir se...
husain-ibn-e-ali karbala ko jaate hain magar ye log abhi tak gharon ke andar hain...
aandhiyan aati thiin lekin kabhi aisa na hua khauf ke maare juda shakh se patta na hua...
ek hi miTTi se ham donon bane hain lekin tujh mein aur mujh mein magar fasla yun kitna hai...
dekhne ke liye ik chehra bahut hota hai aankh jab tak hai tujhe sirf tujhe dekhunga...
zakhmon ko rafu kar len dil shaad karen phir se khvabon ki koi duniya aabad karen phir se...
har taraf apne ko bikhra paoge aainon ko toD ke pachhtaoge...
ajiib chiiz hai ye vaqt jis ko kahte hain ki aane paata nahin aur biit jaata hai...
kaghaz ki kashtiyan bhi bahut kaam aaengi jis din hamare shahr mein sailab aaega...
gardish-e-vaqt ka kitna baDa ehsan hai ki aaj ye zamin chaand se behtar nazar aati hai hamein...
aise hijr ke mausam kab kab aate hain tere alava yaad hamein sab aate hain...
tujh se bichhDe hain to ab kis se milati hai hamein zindagi dekhiye kya rang dikhati hai hamein...
mujh ko le Duuba tira shahr mein yakta hona dil bahal jaata agar koi bhi tujh sa hota...
raat ko din se milane ki havas thi ham ko kaam achchha na tha anjam bhi achchha na hua...
log sar phoD kar bhi dekh chuke gham ki divar TuuTti hi nahin...
umr-safar jaari hai bas ye khel dekhne ko ruuh badan ka bojh kahan tak kab tak Dhoti hai...
gulab Tahni se TuuTa zamin par na gira karishme tez hava ke samajh se baahar hain...
aankhon ko sab ki niind bhi di khvab bhi diye ham ko shumar karti rahi dushmanon mein raat...
dil mein rakhta hai na palkon pe biThata hai mujhe phir bhi ik shakhs mein kya kya nazar aata hai mujhe...
tira khayal bhi teri tarah sitamgar hai jahan pe chahiye aana vahin nahin aata...
ummid se kam chashm-e-kharidar mein aae ham log zara der se bazar mein aae...
tujhe bhuul gaya kabhi yaad nahin karta tujh ko jo baat bahut pahle karni thi ab ki hai...
ye qafile yaadon ke kahin kho gae hote ik pal bhi agar bhuul se ham so gae hote...
ab to le de ke yahi kaam hai in aankhon ka jin ko dekha nahin un khvabon ki taabir karen...
gham ki daulat baDi mushkil se mila karti hai saunp do ham ko agar tum se nigahbani na ho...
nahin hai mujh se ta'alluq koi to aisa kyun ki tu ne muD ke faqat ik mujhi ko dekha kyun...
kahan tak vaqt ke dariya ko ham Thahra hua dekhen ye hasrat hai ki in aankhon se kuchh hota hua dekhen...
safar ka nashsha chaDha hai to kyun utar jaae maza to jab hai koi lauT ke na ghar jaae...
ab jidhar dekhiye lagta hai ki is duniya mein kahin kuchh chiiz ziyada hai kahin kuchh kam hai...
tujh se mil kar bhi na tanhai miTegi meri dil mein rah rah ke yahi baat khaTakti kyun hai...
ya main sochun kuchh bhi na us ke baare mein ya aisa ho duniya aur badal jaae...
kis kis tarah se mujh ko na rusva kiya gaya ghairon ka naam mere lahu se likha gaya...
pichhle safar mein jo kuchh biita biit gaya yaaro lekin agla safar jab bhi tum karna dekho tanha mat karna...
koi naya makin nahin aaya to hairat kya kabhi tum ne khula chhoDa hi nahin darvazon ko...
aks-e-yaad-e-yaar ko dhundla kiya hai main ne khud ko jaan kar tanha kiya hai...
dil rijha hai tujh pe aisa bad-guman hoga nahin tu nahin aaya to samjha tu yahan hoga nahin...
dil pareshan ho magar aankh mein hairani na ho khvab dekho ki haqiqat se pashimani na ho...
us ko kisi ke vaste be-taab dekhte ham bhi kabhi ye manzar-e-nayab dekhte...
umr ka baaqi safar karna hai is shart ke saath dhuup dekhen to use saae se taabir karen...
shahr-e-ummid haqiqat mein nahin ban sakta to chalo us ko tasavvur hi mein taamir karen...
main apne jism ki sargoshiyon ko sunta hun tire visal ki saat nikalti jaati hai...
ham ne to koi baat nikali nahin gham ki vo zud-pashiman pashiman sa kyun hai...
kitni tabdil hui kis liye tabdil hui jaanna chaho to in aankhon se duniya dekho...
main akela sahi magar kab tak nangi parchhaiyon ke biich rahun...
saari duniya ke masail yun mujhe darpesh hain tera gham kaafi na ho jaise guzar-auqat ko...
kahne ko to har baat kahi tere muqabil lekin vo fasana jo mire dil pe raqam hai...
ham paDh rahe the khvab ke purzon ko joD ke aandhi ne ye tilism bhi rakh Daala toD ke...
bataun kis tarah ahbab ko aankhen jo aisi hain ki kal palkon se TuuTi niind ki kirchen sameTin hain...
khajil charaghon se ahl-e-vafa ko hona hai ki sarfaraz yahan phir hava ko hona hai...
Explore more on Diwan E Sukhan