DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Siraj Aurangabadi

1715 (Aurangabad) – 1763 (Aurangabad) • The Mystic of the Deccan

"A legendary mystic and a prominent figure of the Deccani school, Siraj Aurangabadi's life is as fascinating as his poetry. He reportedly experienced a seven-year period of intense spiritual madness or 'junoon' in his youth, during which he isolated himself and wrote profoundly deep Sufi verses. This period of divine ecstasy heavily influenced his poetic voice, making him a crucial link between early Deccani Urdu and the evolving North Indian style. His masterpiece 'Khabar-e-Tahayyur-e-Ishq Sun' remains one of the most hypnotic, widely sung, and spiritually charged ghazals in the Urdu language, reflecting his intense inner journey."

Mashhoor Ash'aar

khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi na to tu raha na to main raha jo rahi so be-khabari rahi...
vo ajab ghaDi thi main jis ghaDi liya dars nuskha-e-ishq ka ki kitab aql ki taaq par jun dhari thi tyun hi dhari rahi...
do-rangi khuub nahin yak-rang ho ja sarapa mom ho ya sang ho ja...
dekha hai jis ne yaar ke rukhsar ki taraf hargiz na jaave sair kun gulzar ki taraf...
Duub jaata hai mira ji jo kahun qissa-e-dard niind aati hai mujhi kun mire afsane mein...
chali samt-e-ghaib sin kya hava ki chaman zuhur ka jal gaya magar ek shakh-e-nihal-e-gham jise dil kaho so hari rahi...
ishq aur aql mein hui hai shart jiit aur haar ka tamasha hai...
shah-e-be-khudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi na khirad ki bakhiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi...
fida kar jaan agar jaani yahi hai are dil vaqt-e-be-jaani yahi hai...
mat karo shama kun badnam jalati vo nahin aap sin shauq patangon ko hai jal jaane ka...
kahte hain tiri zulf kun dekh ahl-e-shariat qurban hai is kufr par iman hamara...
bolta hun jo vo bulata hai tan ke pinjre mein us ka tota hun...
vaqt hai ab namaz-e-maghrib ka chaand rukh lab shafaq hai gesu shaam...
masjid vahshat mein paDhta hai taravih-e-junun mushaf husn-e-pari-rukhsar jis kun yaad hai...
tahqiq ki nazar sin aakhir kun ham ne dekha akasr hain maal vaale kam hain kamal vaale...
tumhaari zulf ka har taar mohan hua mere gale ka haar mohan...
ishq donon taraf sun hota hai kyun baje ek haat sun taali...
nahin bujhti hai pyaas aansu sin lekin karen kya ab to yaan paani yahi hai...
niyaz-e-be-khudi behtar namaz-e-khud-numai sin na kar ham pukhta-maghzon sin khayal-e-kham ai vaaiz...
hijr ki raaton mein lazim hai bayan-e-zulf-e-yaar niind to jaati rahi hai qissa-khvani kijiye...
ishq ka naam garche hai mashhur main taajjub mein hun ki kya shai hai...
kabhi tum mom ho jaate ho jab main garm hota hun kabhi main sard hota hun to tum bhaDkao karte ho...
jiina taDap taDap kar marna sisak sisak kar fariyad ek ji hai kya kya kharabiyon mein...
ai nasim-e-sahari bu-e-mohabbat le aa turra-e-yaar sati itr ki mahkar kun khol...
masjid mein tujh bhanvon ki ai qibla-e-dil-o-jaan palken hain muqtadi aur putli imaam goya...
maktab-e-ishq ka moallim hun kyun na hoe dars-e-yaar ki takrar...
nazar-e-taghaful-e-yaar ka gila kis zaban sin karun bayan ki sharab-e-sad-qadah aarzu khum-e-dil mein thi so bhari rahi...
kiya khaak aatish-e-ishq ne dil-e-be-nava-e-'siraj' kun na khatar raha na hazar raha magar ek be-khatari rahi...
ai nur-e-nazar muntazir-e-vasl hun aa ja do paaT palak ke nahin darvaza hua mahz...
tiri abru hai mehrab-e-mohabbat namaz-e-ishq mere par hui farz...
kya puchhte ho tum ki tira dil kidhar gaya dil ka makan kahan yahi dil-dar ki taraf...
na mile jab talak visal us ka tab talak faut hai mira matlab...
pakDa hun kinara-e-judai jaari mire ashk ki nadi hai...
masjid abru mein teri mardumuk hai jiyun imaam mu-e-mizhgan muqtadi ho mil ke karte hain namaz...
aai hai tire ishq ki baazi dil-o-jaan par is vaqt nazar kab hai mujhe sud-o-ziyan par...
vasl ke din shab-e-hijran ki haqiqat mat puchh bhuul jaani hai mujhe subh kun phir shaam ki baat...
aankh uThate hi mire haath sin mujh kun le ga.e khuub ustad ho tum jaan ke le jaane mein...
mushtaq hun tujh lab ki fasahat ka va-lekin raanjha ke nasibon mein kahan hiir ki aavaz...
roza-daran-e-judai kun kham-e-abru-e-yaar mah-e-id-e-ramazan tha mujhe maalum na tha...
Dore nahin hain surkh tiri chashm-e-mast mein shayad chaDha hai khuun kisi be-gunah ka...
kufr-o-iman do nadi hain ishq kiin aakhirash dono ka sangam hovega...
marham tire visal ka lazim hai ai sanam dil mein lagi hai hijr ki barchhi ki huul aaj...
kabhi la la mujhe dete ho apne haat sin pyala kabhi tum shisha-e-dil par mire pathrav karte ho...
niind sin khul gaiin miri aankhen so dekha yaar kun ya andhara is qadar tha ya ujala ho gaya...
suna hai jab sin tere husn ka shor liya zahid ne masjid ka kinara...
but-paraston kun hai iman-e-haqiqi vasl-e-but barg-e-gul hai bulbulon kun jald-e-quran-e-majid...
zindagani dard-e-sar hai yaar bin kui hamare sar kun aa kar jhaaD de...
mufti-e-naz ne diya fatva khun-e-aashiq halal karta hai...
siraj in khub-ruyon ka ajab main qaeda dekha bulate hain dikhate hain lubhate hain chhupate hain...
khul ga.e us ki zulf ke dekhe pech-e-dastar-e-zahid-e-makkar...
jis kun piv ke hijr ka bairag hai aah ka majlis mein us ki raag hai...
hamari baat mohabbat sin tum jo gosh karo to apni prem kahani tumhein sunaunga...
abas in shahriyon mein vaqt apna ham kiye zaae kisi majnun ki sohbat baiTh divane hue hote...
mujh rang zard uupar ghusse sin laal mat ho ai sabz shaal vaale uude rumal vaale...
kaan mein hai tere moti aab-dar ya kisi aashiq ka aansu bolna...
dil le gaya hai mujh kun de ummid-e-dil-dahi zalim kabhi to laega mera liya hua...
hakim-e-ishq ne jab aql ki taqsir suni ho ghazab hukm diya des nikala karne...
kya hoega sunoge agar kaan dhar ke tum guzri birah ki raat jo mujh par kahaniyan...
kiya hai jab sin amal be-khudi ke hakim ne khirad-nagar ki raiyat hui hai ru ba-gurez...
ghair taraf kyunki nazar kar sakun khauf hai tujh ishq ke jasus ka...
jaan-sapari dagh kattha chuna hai chashm-e-intizar vaste mehman gham ke dil hai biiDa paan ka...
is adab-gah kun tun masjid-e-jaame mat buujh shaikh be-bak na ja gosha-e-mai-khane mein...
tujh zulf mein dil ne gum kiya raah is prem gali kun intiha naiin...
vo zulf-e-pur-shikan lagti nahin haat mujhe saari pareshani yahi hai...
maktab mein mire junun ke majnun nadaan hai tifl-e-abjadi hai...
muddat se gum hua dil-e-begana ai 'siraj' shayad ki ja laga hai kisi aashna ke haath...
jaata hai mira jaan nipaT pyaas lagi hai mangta hun zara sharbat-e-didar kisi ka...
jab sin laaya ishq ne fauj-e-junun aql ke lashkar mein bhaga bhaag hai...
na bujho aasman par tum sitare hamari aah ki chingariyan hain...
takiya-e-makhmali sirhane rakh lekin aankhon sin apni khvab nikal...
daam-o-qafas na chahiye dil ke shikar kun karti hain band aankh ke Doron ki Doriyan...
mustaid hun tire zulfon ki siyahi le kar safha-e-nama-e-amal kun kaala karne...
sanam kis band sin pahunchun tire paas hazaron band hain teri qaba ke...
tire salam ke dhaj dekh kar mire dil ne shitab aaqa mujhe rukhsati salam kiya...
kabhi jo aah ke misre kun yaad karta hun khayal-e-qad kun tire mustazad karta hun...
kachehri mein chaman ki har taraf fariyad bulbul hai kiye ho in dino mein gul kun shayad pesh-kar apnan...
qatil ne ada ka kiya jab vaar uchhal kar main ne sipar-e-dil kun kiya oT sambhal kar...
ai aql nikal ja ki dhuan aah ka nahin hai ye ishq ke lashkar ki sipahi nazar aai...
bagula jin ke sar par chatr-e-shahi hai zamin masnad vahi aqlim-e-gham mein aah ki naubat bajate hain...
hiran sab hain barati aur divana ban ka dulha hai pahar khilat kun uryani ki phirta hai bana chhaila...
nazar aata nahin mujh kun sabab kya mira nazuk badan haihat haihat...
main hun to divana pa kisi zulf ka nahin hun vallah ki rakhta nahin yak taar kisi ka...
dil mein aa raah-e-chashm-e-hairan sin khul rahe hain miri palak ke paaT...
tire sukhan mein ai naseh nahin hai kaifiyyat zaban-e-qulqul-e-mina sin sun kalam-e-sharab...
aa shitabi sin vagarna majlis-e-ushshaq mein zulm hai gham hai qayamat hai kharabi ai sanam...
main kaha kya araq hai tujh rukh par muskura kar kaha ki fitna hai...
vo aashiqi ke khet mein sabit qadam hua jo koi zakhm-e-ishq liya dil ki Dhaal par...
haq mein ushshaq ke qayamat hai kya karam kya itaab kya dushnam...
jis kun tujh gham sin dil-shigafi hai marham-e-vasl is kun shafi hai...
zi-bas kafir-adayon ne chalae sang-e-be-rahmi agar sab jamaa karta main to but-khane hue hote...
ai shokh gulistan main nahin ye gul-e-rangin aaya dil-e-sad-chaak mira rang badal kar...
mire sin duur kya chahte hain saya-e-ishq jite hain shahr ke siyane hue hain divane...
pech kha kha kar hamari aah mein girhen paDin hai yahi sumran tiri darkar koi maala nahin...
shor hai bas-ki tujh malahat ka dil hamara hua hai kan-e-namak...
muvafaqat kare kyun mai-kashon sati zahid idhar sharab udhar masjid-o-musalla hai...
kyunki hove zahid khud-bin murid-e-zulf-e-yaar us ne saari umr mein zunnar kun dekha na tha...
junun ke shahr mein naiin kam-ayar kun hurmat main naqd-e-qalb kun kanTe mein dil ke tol chuka...
dil mira zulf seti chhuT phansa abru mein kufr kun tark kiya mail-e-mehrab hua...
nahin bakhshi hai kaifiyyat nasihat khushk zahid ki jala dev aatish-e-sahba sin is kaDbi ke pole kun...
taaza rakh aab-e-mehrbani sin ek dil sau chaman barabar hai...
mujh kun har aan tire dard sin bahbudi hai ishq-bazi mein rukh-e-zard zar-e-sudi hai...
hairat ke maqamat mein qanun-e-nava naiin hai saaz-e-khamoshi lab-e-tasvir ki aavaz...
naqd-e-dil-e-khalis kun miri qalb tun mat jaan hai tujh kun agar shubh to kas dekh tapa dekh...
hai navasanj-e-haqiqat kun khayal dil ke tambure ka taar aur hi hai...
Explore more on Diwan E Sukhan