Coffee

Poetry Collection

لڑکی سر کو جھکائے بیٹھی
کافی کے پیالے میں چمچہ ہلا رہی ہے
لڑکا حیرت اور محبت کی شدت سے پاگل

لمبی پلکوں کے لرزیدہ سایوں کو
اپنی آنکھ سے چوم رہا ہے

دونوں میری نظر بچا کر
اک دوجے کو دیکھتے ہیں ہنس دیتے ہیں

میں دونوں سے دور
دریچے کے نزدیک

اپنی ہتھیلی پر اپنا چہرہ رکھے
کھڑکی سے باہر کا منظر دیکھ رہی ہوں

سوچ رہی ہوں
گئے دنوں میں ہم بھی یوں ہی ہنستے تھے
लड़की सर को झुकाए बैठी
कॉफ़ी के प्याले में चमचा हिला रही है
लड़का हैरत और मोहब्बत की शिद्दत से पागल

लम्बी पलकों के लरज़ीदा सायों को
अपनी आँख से चूम रहा है

दोनों मेरी नज़र बचा कर
इक दूजे को देखते हैं हँस देते हैं

मैं दोनों से दूर
दरीचे के नज़दीक

अपनी हथेली पर अपना चेहरा रखे
खिड़की से बाहर का मंज़र देख रही हूँ

सोच रही हूँ
गए दिनों में हम भी यूँही हँसते थे
Ladki sar ko jhukaye baithi
Coffee ke pyale mein chamcha hila rahi hai
Ladka hairat aur mohabbat ki shiddat se pagal

Lambi palkon ke larzeeda sayon ko
Apni aankh se choom raha hai

Dono meri nazar bacha kar
Ek dooje ko dekhte hain hans dete hain

Main dono se door
Dareeqe ke nazdeek

Apni hatheli par apna chehra rakhe
Khidki se bahar ka manzar dekh rahi hoon

Soch rahi hoon
Gaye dinon mein hum bhi yunhi hanste the
Aur Shayari Padhein →
SUKHAN
اردو
हिंदी
Roman

DIWAN E SUKHAN

"Har ek baat pe kehte ho..."
Urdu Hindi Roman
Ghazalein
Full Ghazals
Ash'aar
Couplets Feed
Nazmein
Story in Verse
Bayaaz
My Diary
Takhleeq
Create & Submit Poetry
View All
View All
Blog e Sukhan

Adab aur Dastan: Shayaron ki Mehfil

Urdu adab ke sunehre daur ki kahaniyan, azeem shayaron ke posheeda qisse, aur unki zindagiyon ke naye pehlu ek hi jagah.

Mazameen Padhein
Ishtehaar

Aapka Brand Yahan!

Diwan E Sukhan ke hazaron padhne walon tak apna paigham pohnchayein. Yeh khaas jagah premium brands aur karobar ke liye banayi gayi hai.
(TAP TO LEARN MORE!)

Ad by Fiza Perfumes Ishtehaar Ke Liye Rabta Karein
Sponsored Space
Message