Ijara

Poetry Collection

اشک اپنا کہ تمہارا نہیں دیکھا جاتا
ابر کی زد میں ستارا نہیں دیکھا جاتا

اپنی شاہ رگ کا لہو تن میں رواں ہے جب تک
زیرِ خنجر کوئی پیارا نہیں دیکھا جاتا

موج در موج الجھنے کی ہوس بے معنی
ڈوبتا ہو تو سہارا نہیں دیکھا جاتا

تیرے چہرے کی کشش تھی کہ پلٹ کر دیکھا
ورنہ سورج تو دوبارہ نہیں دیکھا جاتا

آگ کی ضد پہ نہ جا پھر سے بھڑک سکتی ہے
راکھ کی تہہ میں شرارہ نہیں دیکھا جاتا

زخم آنکھوں کے بھی سہتے تھے کبھی دل والے
اب تو ابرو کا اشارا نہیں دیکھا جاتا

کیا قیامت ہے کہ دل جس کا نگر ہے 'محسن'
دل پہ اس کا بھی اجارا نہیں دیکھا جاتا
अश्क अपना कि तुम्हारा नहीं देखा जाता
अब्र की ज़द में सितारा नहीं देखा जाता

अपनी शह-रग का लहू तन में रवाँ है जब तक
ज़ेर-ए-ख़ंजर कोई प्यारा नहीं देखा जाता

मौज-दर-मौज उलझने की हवस बे-मानी
डूबता हो तो सहारा नहीं देखा जाता

तेरे चेहरे की कशिश थी कि पलट कर देखा
वर्ना सूरज तो दोबारा नहीं देखा जाता

आग की ज़िद पे न जा फिर से भड़क सकती है
राख की तह में शरारा नहीं देखा जाता

ज़ख़्म आँखों के भी सहते थे कभी दिल वाले
अब तो अबरू का इशारा नहीं देखा जाता

क्या क़यामत है कि दिल जिस का नगर है 'मोहसिन'
दिल पे उस का भी इजारा नहीं देखा जाता
Ashk apna ki tumhara nahin dekha jaata
Abr ki zad mein sitara nahin dekha jaata

Apni shah-rag ka lahu tan mein rawan hai jab tak
Zer-e-khanjar koi pyara nahin dekha jaata

Mauj-dar-mauj ulajhne ki hawas be-ma'ani
Doobta ho to sahara nahin dekha jaata

Tere chehre ki kashish thi ki palat kar dekha
Warna sooraj to dobara nahin dekha jaata

Aag ki zid pe na jaa phir se bhadak sakti hai
Raakh ki tah mein sharara nahin dekha jaata

Zakhm aankhon ke bhi sahte the kabhi dil wale
Ab to abroo ka ishara nahin dekha jaata

Kya qayamat hai ki dil jis ka nagar hai 'Mohsin'
Dil pe us ka bhi ijara nahin dekha jaata
Aur Shayari Padhein →
SUKHAN
اردو
हिंदी
Roman

DIWAN E SUKHAN

"Har ek baat pe kehte ho..."
Urdu Hindi Roman
Ghazalein
Full Ghazals
Ash'aar
Couplets Feed
Nazmein
Story in Verse
Bayaaz
My Diary
Takhleeq
Create & Submit Poetry
View All
View All
Blog e Sukhan

Adab aur Dastan: Shayaron ki Mehfil

Urdu adab ke sunehre daur ki kahaniyan, azeem shayaron ke posheeda qisse, aur unki zindagiyon ke naye pehlu ek hi jagah.

Mazameen Padhein
Ishtehaar

Aapka Brand Yahan!

Diwan E Sukhan ke hazaron padhne walon tak apna paigham pohnchayein. Yeh khaas jagah premium brands aur karobar ke liye banayi gayi hai.
(TAP TO LEARN MORE!)

Ad by Fiza Perfumes Ishtehaar Ke Liye Rabta Karein
Sponsored Space
Message