Judayi

Poetry Collection

اس عمر کے بعد اس کو دیکھا!
آنکھوں میں سوال تھے ہزاروں
ہونٹوں پہ مگر وہی تبسم!

چہرے پہ لکھی ہوئی اداسی
لہجے میں مگر بلا کا ٹھہراؤ

آواز میں گونجتی جدائی
بانہیں تھیں مگر وصال ساماں!

سمٹی ہوئی اس کے بازوؤں میں
تا دیر میں سوچتی رہی تھی

کس ابرِ گریز پا کی خاطر
میں کیسے شجر سے کٹ گئی تھی

کس چھاؤں کو ترک کر دیا تھا
میں اس کے گلے لگی ہوئی تھی

وہ پونچھ رہا تھا میرے آنسو
لیکن بڑی دیر ہو چکی تھی!
इस उम्र के बाद उस को देखा!
आँखों में सवाल थे हज़ारों
होंटों पे मगर वही तबस्सुम!

चेहरे पे लिखी हुई उदासी
लहजे में मगर बला का ठहराव

आवाज़ में गूँजती जुदाई
बाँहें थीं मगर विसाल-सामाँ!

सिमटी हुई उस के बाज़ुओं में
ता-देर मैं सोचती रही थी

किस अब्र-ए-गुरेज़-पा की ख़ातिर
मैं कैसे शजर से कट गई थी

किस छाँव को तर्क कर दिया था
मैं उस के गले लगी हुई थी

वो पोंछ रहा था मेरे आँसू
लेकिन बड़ी देर हो चुकी थी!
Is umar ke baad us ko dekha!
Aankhon mein sawaal the hazaron
Honton pe magar wahi tabassum!

Chehre pe likhi hui udaasi
Lehje mein magar bala ka thehrao

Aawaaz mein goonjti judayi
Bahein thin magar visaal-samaan!

Simti hui us ke baazuon mein
Taa-der main sochti rahi thi

Kis abr-e-gurez-pa ki khatir
Main kaise shajar se kat gayi thi

Kis chhaon ko tark kar diya tha
Main us ke gale lagi hui thi

Woh ponchh raha tha mere aansu
Lekin badi der ho chuki thi!
Aur Shayari Padhein →
SUKHAN
اردو
हिंदी
Roman

DIWAN E SUKHAN

"Har ek baat pe kehte ho..."
Urdu Hindi Roman
Ghazalein
Full Ghazals
Ash'aar
Couplets Feed
Nazmein
Story in Verse
Bayaaz
My Diary
Takhleeq
Create & Submit Poetry
View All
View All
Blog e Sukhan

Adab aur Dastan: Shayaron ki Mehfil

Urdu adab ke sunehre daur ki kahaniyan, azeem shayaron ke posheeda qisse, aur unki zindagiyon ke naye pehlu ek hi jagah.

Mazameen Padhein
Ishtehaar

Aapka Brand Yahan!

Diwan E Sukhan ke hazaron padhne walon tak apna paigham pohnchayein. Yeh khaas jagah premium brands aur karobar ke liye banayi gayi hai.
(TAP TO LEARN MORE!)

Ad by Fiza Perfumes Ishtehaar Ke Liye Rabta Karein
Sponsored Space
Message