Palestine

Poetry Collection

سمجھ جاتے کہ سب کے سب نہیں امداد کے قابل
فلسطیں پر کسی بھی حال میں قبضہ نہیں ہوتا
समझ जाते कि सब के सब नहीं इमदाद के क़ाबिल
फ़िलिस्तीं पर किसी भी हाल में क़ब्ज़ा नहीं होता
samajh jaate ke sab ke sab nahin imdaad ke qaabil
falasteen par kisi bhi haal mein qabza nahin hota
سمندر کس طرح ہوتا اگر دریا نہیں ہوتا
لہاذا سب بڑے ہیں کوئی بھی چھوٹا نہیں ہوتا

یہ آنسو اک خزانہ ہے اسے عجلت میں مت لاؤ
کہ ہر اک بات پر اے دل نہیں روتا نہیں ہوتا

شرافت کو زمانہ بزدلی کہتا ہے مدت سے
بہت اچھا بھی ہونا اب یہاں اچھا نہیں ہوتا

کوئی مفلس ہو راجا ہو رہِ غم میں سبھی الجھے
بتاؤ کون سے دل میں کوئی صدمہ نہیں ہوتا

یہ باتیں لغو ہیں اس کے سوا کچھ بھی نہیں پیارے
اگر ایسا نہیں ہوتا اگر ویسا نہیں ہوتا

اسی باعث ترے کوچے میں آکے جان دے دی ہے
کہ دنیا میں کسی مٹی کا کچھ رتبہ نہیں ہوتا

سمجھ جاتے کہ سب کے سب نہیں امداد کے قابل
فلسطیں پر کسی بھی حال میں قبضہ نہیں ہوتا

کہیں پر آنسو آتے ہیں کہیں پر آہیں آتی ہیں
خدا کا شکر ہے یہ کوئی الم تنہا نہیں ہوتا

پرندہ تب فلک سے بات کر کے مسکراتا ہے
قفس میں جب کبھی مقصود اک دانہ نہیں ہوتا
समुंदर किस तरह होता अगर दरिया नहीं होता
लिहाज़ा सब बड़े हैं कोई भी छोटा नहीं होता

ये आँसू इक ख़ज़ाना है इसे उजलत में मत लाओ
कि हर इक बात पर ऐ दिल नहीं रोता नहीं होता

शराफ़त को ज़माना बुज़दिली कहता है मुद्दत से
बहुत अच्छा भी होना अब यहाँ अच्छा नहीं होता

कोई मुफ़्लिस हो राजा हो रह-ए-ग़म में सभी उलझे
बताओ कौन से दिल में कोई सदमा नहीं होता

ये बातें लग़्व हैं इस के सिवा कुछ भी नहीं प्यारे
अगर ऐसा नहीं होता अगर वैसा नहीं होता

इसी बाइस तिरे कूचे में आके जान दे दी है
कि दुनिया में किसी मिट्टी का कुछ रुतबा नहीं होता

समझ जाते कि सब के सब नहीं इमदाद के क़ाबिल
फ़िलिस्तीं पर किसी भी हाल में क़ब्ज़ा नहीं होता

कहीं पर आँसू आते हैं कहीं पर आहें आती हैं
ख़ुदा का शुक्र है ये कोई अलम तन्हा नहीं होता

परिंदा तब फ़लक से बात कर के मुस्कुराता है
क़फ़स में जब कभी मक़सूद इक दाना नहीं होता
samundar kis tarah hota agar dariya nahin hota
lihaza sab bade hain koi bhi chhota nahin hota

ye aansu ek khazana hai ise ujlat mein mat lao
ke har ek baat par ae dil nahin rota nahin hota

sharafat ko zamana buzdili kehta hai muddat se
bahut achha bhi hona ab yahan achha nahin hota

koi muflis ho raja ho rah-e-gham mein sabhi uljhe
batao kaun se dil mein koi sadma nahin hota

ye baatein laghw hain is ke siwa kuch bhi nahin pyare
agar aisa nahin hota agar waisa nahin hota

isi baais tere kooche mein aake jaan de di hai
ke duniya mein kisi mitti ka kuch rutba nahin hota

samajh jaate ke sab ke sab nahin imdaad ke qaabil
falasteen par kisi bhi haal mein qabza nahin hota

kahin par aansu aate hain kahin par aahein aati hain
khuda ka shukr hai ye koi alam tanha nahin hota

parinda tab falak se baat kar ke muskurata hai
qafas mein jab kabhi Maqsood ek daana nahin hota
Aur Shayari Padhein →
SUKHAN
اردو
हिंदी
Roman

DIWAN E SUKHAN

"Har ek baat pe kehte ho..."
Urdu Hindi Roman
Ghazalein
Full Ghazals
Ash'aar
Couplets Feed
Nazmein
Story in Verse
Bayaaz
My Diary
Takhleeq
Create & Submit Poetry
View All
View All
Blog e Sukhan

Adab aur Dastan: Shayaron ki Mehfil

Urdu adab ke sunehre daur ki kahaniyan, azeem shayaron ke posheeda qisse, aur unki zindagiyon ke naye pehlu ek hi jagah.

Mazameen Padhein
Ishtehaar

Aapka Brand Yahan!

Diwan E Sukhan ke hazaron padhne walon tak apna paigham pohnchayein. Yeh khaas jagah premium brands aur karobar ke liye banayi gayi hai.
(TAP TO LEARN MORE!)

Ad by Fiza Perfumes Ishtehaar Ke Liye Rabta Karein
Sponsored Space
Message