Self respect poetry

Poetry Collection

میں تیری محبت کا طلبگار نہیں ہوں
میں تیرا دوست ہوں کوئی یار نہیں ہوں

دیکھ کر رک گیا حسن تیرا
بازار سے گزرا ہوں خریدار نہیں ہوں

میں بھی رکھتا ہوں اپنے آپ میں ایک جہاں
منزل سے بھٹکا ہوں بیکار نہیں ہوں

تو غلطی کرتے جا اور میں معاف کرتا جاؤں
اک سادہ سا انساں ہوں غفار نہیں ہوں

مجھے بھی شوق ہے عزت و شہرت و دولت کا
لیکن میں تیری طرح بے قرار نہیں ہوں

مجھے سمجھنے کے لیے ڈکشنری کی ضرورت نہیں
میں اک سادی کتاب ہوں غالب کے اشعار نہیں ہوں

مجھے معلوم ہے مجھے کم پڑے گی یہ روشنی
میں سحر کی تلاش میں ہوں چراغوں پہ انحصار نہیں ہوں

میں بھی شامل ہوں تیرے چاہنے والوں میں
طالبِ محبت ہوں گنہگار نہیں ہوں

جو دھوکے میں ڈالے رکھے لوگوں کو
میں وہ اچھے دن کے پرچار نہیں ہوں

جو جھوٹی امیدوں سے باندھے رکھے 'اطہر'
میں اس لڑکی کا وہ جھوٹا پیار نہیں ہوں
मैं तेरी मोहब्बत का तलबगार नहीं हूँ
मैं तेरा दोस्त हूँ कोई यार नहीं हूँ

देख कर रुक गया हुस्न तेरा
बाज़ार से गुज़रा हूँ ख़रीदार नहीं हूँ

मैं भी रखता हूँ अपने आप में एक जहाँ
मंज़िल से भटका हूँ बेकार नहीं हूँ

तू ग़लती करते जा और मैं माफ़ करता जाऊँ
इक सादा सा इंसां हूँ ग़फ़्फ़ार नहीं हूँ

मुझे भी शौक़ है इज़्ज़त ओ शोहरत ओ दौलत का
लेकिन मैं तेरी तरह बे-क़रार नहीं हूँ

मुझे समझने के लिए डिक्शनरी की ज़रूरत नहीं
मैं इक सादी किताब हूँ ग़ालिब के अशआर नहीं हूँ

मुझे मालूम है मुझे कम पड़ेगी ये रौशनी
मैं सहर की तलाश में हूँ चराग़ों पे इनहिसार नहीं हूँ

मैं भी शामिल हूँ तेरे चाहने वालों में
तालिब-ए-मोहब्बत हूँ गुनहगार नहीं हूँ

जो धोके में डाले रखे लोगों को
मैं वो अच्छे दिन के परचार नहीं हूँ

जो झूठी उमीदों से बांधे रखे 'अतहर'
मैं उस लड़की का वो झूठा प्यार नहीं हूँ
Main teri mohabbat ka talabgar nahi hoon
Main tera dost hoon koi yaar nahi hoon

Dekh kar ruk gaya husn tera
Bazaar se guzra hoon kharidar nahi hoon

Main bhi rakhta hoon apne aap mein ek jahan
Manzil se bhatka hoon bekar nahi hoon

Tu ghalti karte ja aur main maaf karta jaun
Ik saada sa insan hoon ghaffar nahi hoon

Mujhe bhi shauq hai izzat o shohrat o daulat ka
Lekin main teri tarah be-qarar nahi hoon

Mujhe samajhne ke liye dictionary ki zaroorat nahi
Main ik saadi kitab hoon Ghalib ke ashaar nahi hoon

Mujhe maloom hai mujhe kam padegi ye raushni
Main sahar ki talash mein hoon charaghon pe inhisar nahi hoon

Main bhi shamil hoon tere chahne walon mein
Talib-e-mohabbat hoon gunahgar nahi hoon

Jo dhoke mein daale rakhe logon ko
Main wo achhe din ke parchar nahi hoon

Jo jhoothi umeedon se bandhe rakhe 'Athar'
Main us ladki ka wo jhootha pyaar nahi hoon
Aur Shayari Padhein →
SUKHAN
اردو
हिंदी
Roman

DIWAN E SUKHAN

"Har ek baat pe kehte ho..."
Urdu Hindi Roman
Ghazalein
Full Ghazals
Ash'aar
Couplets Feed
Nazmein
Story in Verse
Bayaaz
My Diary
Takhleeq
Create & Submit Poetry
View All
View All
Blog e Sukhan

Adab aur Dastan: Shayaron ki Mehfil

Urdu adab ke sunehre daur ki kahaniyan, azeem shayaron ke posheeda qisse, aur unki zindagiyon ke naye pehlu ek hi jagah.

Mazameen Padhein
Ishtehaar

Aapka Brand Yahan!

Diwan E Sukhan ke hazaron padhne walon tak apna paigham pohnchayein. Yeh khaas jagah premium brands aur karobar ke liye banayi gayi hai.
(TAP TO LEARN MORE!)

Ad by Fiza Perfumes Ishtehaar Ke Liye Rabta Karein
Sponsored Space
Message