Shiddat e hijr ki kasak

Poetry Collection

تمہارے چہرے کی جو چمک ہے
یہ سات رنگوں کی اک دھنک ہے

تمہاری چوڑی کی جیسے چھن چھن
تمہارے لہجے میں وہ کھنک ہے

سبک روی جیسے بہتا پانی
تمہارے چلنے میں وہ لچک ہے

غزل سی ہیں یہ تمہاری آنکھیں
حیا بھی جن میں پلک پلک ہے

جہاں رکھو تم قدم زمیں وہ
میرے لیے تو حسیں فلک ہے

اگرچہ باتیں تمہاری شیریں
ذرا سا لفظوں میں بس نمک ہے

تمہیں محبت اگر ہے مجھ سے
قبول کرنے میں کیوں جھجھک ہے

رواں دواں ہے تمہاری جانب
میرے ارادوں کی جو سڑک ہے

یہ کیفیت ہے جو دونوں جانب
یہ شعلۂ عشق کی لپک ہے

ہے عشق کے نام سے جو معروف
یہ تجربہ اپنا مشترک ہے

ہے بیچ اپنے اگرچہ دوری
مگر یہ دوری وصال تک ہے

غزل میری تم جو پڑھ رہی ہو
وہ شدتِ ہجر کی کسک ہے
तुम्हारे चेहरे की जो चमक है
ये सात रंगों की एक धनक है

तुम्हारी चूड़ी की जैसे छन-छन
तुम्हारे लहजे में वो खनक है

सुबुक-रवी जैसे बहता पानी
तुम्हारे चलने में वो लचक है

ग़ज़ल सी हैं ये तुम्हारी आंखें
हया भी जिन में पलक पलक है

जहां रखो तुम क़दम ज़मीं वो
मेरे लिए तो हसीं फ़लक है

अगरचे बातें तुम्हारी शीरीं
ज़रा सा लफ़्ज़ों में बस नमक है

तुम्हें मोहब्बत अगर है मुझ से
क़ुबूल करने में क्यों झिझक है

रवां-दवां है तुम्हारी जानिब
मेरे इरादों की जो सड़क है

ये कैफ़ियत है जो दोनों जानिब
ये शोला-ए-इश्क़ की लपक है

है इश्क़ के नाम से जो मारूफ़
ये तजरबा अपना मुश्तरक है

है बीच अपने अगरचे दूरी
मगर ये दूरी विसाल तक है

ग़ज़ल मेरी तुम जो पढ़ रही हो
वो शिद्दत-ए-हिज्र की कसक है
Tumhaare chehre ki jo chamak hai
Ye sat rangon ki ek dhanak hai

Tumhaari chuDi ki jaise chhan-chhan
Tumhaare lahje mein wo khanak hai

Subuk-rawi jaise bahta pani
Tumhaare chalne mein wo lachak hai

Ghazal si hain ye tumhaari aankhen
Haya bhi jin mein palak palak hai

Jahan rakho tum qadam zamin wo
Mere liye to hasin falak hai

Agarche baaten tumhaari shirin
Zara sa lafzon mein bas namak hai

Tumhein mohabbat agar hai mujh se
Qubul karne mein kyon jhijak hai

Rawan-dawan hai tumhaari jaanib
Mere iradon ki jo saDak hai

Ye kaifiyat hai jo donon jaanib
Ye shoala-e-ishq ki lapak hai

Hai ishq ke nam se jo maruf
Ye tajraba apna mushtarak hai

Hai bich apne agarche duri
Magar ye duri visal tak hai

Ghazal meri tum jo paDh rahi ho
Wo shiddat-e-hijr ki kasak hai
Aur Shayari Padhein →
SUKHAN
اردو
हिंदी
Roman

DIWAN E SUKHAN

"Har ek baat pe kehte ho..."
Urdu Hindi Roman
Ghazalein
Full Ghazals
Ash'aar
Couplets Feed
Nazmein
Story in Verse
Bayaaz
My Diary
Takhleeq
Create & Submit Poetry
View All
View All
Blog e Sukhan

Adab aur Dastan: Shayaron ki Mehfil

Urdu adab ke sunehre daur ki kahaniyan, azeem shayaron ke posheeda qisse, aur unki zindagiyon ke naye pehlu ek hi jagah.

Mazameen Padhein
Ishtehaar

Aapka Brand Yahan!

Diwan E Sukhan ke hazaron padhne walon tak apna paigham pohnchayein. Yeh khaas jagah premium brands aur karobar ke liye banayi gayi hai.
(TAP TO LEARN MORE!)

Ad by Fiza Perfumes Ishtehaar Ke Liye Rabta Karein
Sponsored Space
Message