DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Aql
Poetry Collection
Ash'aar
Faiz Ahmad Faiz
unhin ke faiz se bazar-e-aql raushan hai jo gaah gaah junun ikhtiyar karte rahe...
Allama Iqbal
achchha hai dil ke saath rahe pasban-e-aql lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhoD de...
Allama Iqbal
be-khatar kuud paDa aatish-e-namrud mein ishq aql hai mahv-e-tamasha-e-lab-e-baam abhi...
Allama Iqbal
aql ko tanqid se fursat nahin ishq par aamal ki buniyaad rakh...
Allama Iqbal
guzar ja aql se aage ki ye nuur charagh-e-raah hai manzil nahin hai!...
Allama Iqbal
zamana aql ko samjha hua hai mishal-e-raah kise khabar ki junun bhi hai sahib-e-idrak...
Firaq Gorakhpuri
aql mein yun to nahin koi kami ik zara divangi darkar hai...
Akbar Allahabadi
ishq nazuk-mizaj hai behad aql ka bojh uTha nahin sakta...
Akbar Allahabadi
aql mein jo ghir gaya la-intiha kyunkar hua jo sama mein aa gaya phir vo khuda kyunkar hua...
Jigar Moradabadi
ishq nazuk-mizaj hai behad aql ka bojh uTha nahin sakta...
Siraj Aurangabadi
vo ajab ghaDi thi main jis ghaDi liya dars nuskha-e-ishq ka ki kitab aql ki taaq par jun dhari thi tyun hi dhari rahi...
Siraj Aurangabadi
ishq aur aql mein hui hai shart jiit aur haar ka tamasha hai...
Khumar Barabankavi
aql o dil apni apni kahein jab 'khumar' aql ki suniye dil ka kaha kijiye...
Explore more on Diwan E Sukhan