DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Allama Iqbal

1877 (Sialkot) – 1938 (Lahore) • Shair-e-Mashriq

"Widely known as 'Shair-e-Mashriq' (Poet of the East), Allama Muhammad Iqbal was a towering philosopher, scholar, and visionary who was knighted by the British Empire. Iqbal's poetry was not mere entertainment; it was a powerful clarion call intended to awaken the dormant, colonized youth of the East. Through dynamic and original philosophical concepts like 'Khudi' (self-hood, self-realization) and the metaphor of the 'Shaheen' (the soaring eagle), he challenged individuals to break free from intellectual slavery and realize their ultimate spiritual and political potential."

Mashhoor Ash'aar

maana ki teri diid ke qabil nahin hun main tu mera shauq dekh mira intizar dekh...
khudi ko kar buland itna ki har taqdir se pahle khuda bande se khud puchhe bata teri raza kya hai...
hazaron saal nargis apni be-nuri pe roti hai baDi mushkil se hota hai chaman mein dida-var paida...
tu shahin hai parvaz hai kaam tera tire samne aasman aur bhi hain...
nahin tera nasheman qasr-e-sultani ke gumbad par tu shahin hai basera kar pahaDon ki chaTanon mein...
sitaron se aage jahan aur bhi hain abhi ishq ke imtihan aur bhi hain...
masjid to bana di shab bhar mein iman ki hararat valon ne man apna purana paapi hai barson mein namazi ban na saka...
apne man mein Duub kar pa ja suragh-e-zindagi tu agar mera nahin banta na ban apna to ban...
duniya ki mahfilon se ukta gaya hun ya rab kya lutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho...
nahin hai na-umid iqbal apni kisht-e-viran se zara nam ho to ye miTTi bahut zarkhez hai saqi...
ai tair-e-lahauti us rizq se maut achchhi jis rizq se aati ho parvaz mein kotahi...
amal se zindagi banti hai jannat bhi jahannam bhi ye khaki apni fitrat mein na nuri hai na naari hai...
na samjhoge to miT jaoge ai hindostan vaalo tumhari dastan tak bhi na hogi dastanon mein...
tire ishq ki intiha chahta hun miri sadgi dekh kya chahta hun...
vajud-e-zan se hai tasvir-e-kaenat mein rang isi ke saaz se hai zindagi ka soz-e-darun...
dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai par nahin taqat-e-parvaz magar rakhti hai...
nasha pila ke girana to sab ko aata hai maza to jab hai ki girton ko thaam le saqi...
mazhab nahin sikhata aapas mein bair rakhna hindi hain ham vatan hai hindostan hamara...
faqat nigah se hota hai faisla dil ka na ho nigah mein shokhi to dilbari kya hai...
yun to sayyad bhi ho mirza bhi ho afghan bhi ho tum sabhi kuchh ho batao to musalman bhi ho...
uqabi ruuh jab bedar hoti hai javanon mein nazar aati hai un ko apni manzil aasmanon mein...
achchha hai dil ke saath rahe pasban-e-aql lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhoD de...
be-khatar kuud paDa aatish-e-namrud mein ishq aql hai mahv-e-tamasha-e-lab-e-baam abhi...
jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi us khet ke har khosha-e-gandum ko jala do...
ghulami mein na kaam aati hain shamshiren na tadbiren jo ho zauq-e-yaqin paida to kaT jaati hain zanjiren...
yaqin mohkam amal paiham mohabbat fatah-e-aalam jihad-e-zindagani mein hain ye mardon ki shamshiren...
haram-e-pak bhi allah bhi quran bhi ek kuchh baDi baat thi hote jo musalman bhi ek...
buton se tujh ko umiden khuda se naumidi mujhe bata to sahi aur kafiri kya hai...
vatan ki fikr kar nadan musibat aane vaali hai tiri barbadiyon ke mashvare hain aasmanon mein...
jo main sar-ba-sajda hua kabhi to zamin se aane lagi sada tira dil to hai sanam-ashna tujhe kya milega namaz mein...
jamhuriyat ik tarz-e-hukumat hai ki jis mein bandon ko gina karte hain taula nahin karte...
tamanna dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqiron ki nahin milta ye gauhar badshahon ke khazinon mein...
nigah buland sukhan dil-navaz jaan pur-soz yahi hai rakht-e-safar mir-e-karvan ke liye...
tire aazad bandon ki na ye duniya na vo duniya yahan marne ki pabandi vahan jiine ki pabandi...
haya nahin hai zamane ki aankh mein baaqi khuda kare ki javani tiri rahe be-dagh...
ilm mein bhi surur hai lekin ye vo jannat hai jis mein huur nahin...
dhunDta phirta hun main iqbal apne aap ko aap hi goya musafir aap hi manzil hun main...
andaz-e-bayan garche bahut shokh nahin hai shayad ki utar jaae tire dil mein miri baat...
baatil se dabne vaale ai aasman nahin ham sau baar kar chuka hai tu imtihan hamara...
tu qadir o aadil hai magar tere jahan mein hain talkh bahut banda-e-mazdur ke auqat...
baagh-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diya tha kyun kar-e-jahan daraz hai ab mira intizar kar...
aankh jo kuchh dekhti hai lab pe aa sakta nahin mahv-e-hairat hun ki duniya kya se kya ho jaegi...
sau sau umiden bandhti hai ik ik nigah par mujh ko na aise pyaar se dekha kare koi...
uruj-e-aadam-e-khaki se anjum sahme jaate hain ki ye TuuTa hua taara mah-e-kamil na ban jaae...
firqa-bandi hai kahin aur kahin zaaten hain kya zamane mein panapne ki yahi baaten hain...
ishq bhi ho hijab mein husn bhi ho hijab mein ya to khud aashkar ho ya mujhe aashkar kar...
hai raam ke vajud pe hindostan ko naaz ahl-e-nazar samajhte hain us ko imam-e-hind...
saare jahan se achchha hindostan hamara ham bulbulen hain is ki ye gulsitan hamara...
aain-e-javan-mardan haq-goi o be-baki allah ke sheron ko aati nahin rubahi...
moti samajh ke shaan-e-karimi ne chun liye qatre jo the mire araq-e-infiaal ke...
aql ko tanqid se fursat nahin ishq par aamal ki buniyaad rakh...
gala to ghonT diya ahl-e-madarsa ne tira kahan se aae sada la ilaah il-lallah...
main tujh ko batata hun taqdir-e-umam kya hai shamshir-o-sinan avval taus-o-raubab aakhir...
tu ne ye kya ghazab kiya mujh ko bhi faash kar diya main hi to ek raaz tha sina-e-kaenat mein...
bhari bazm mein raaz ki baat kah di baDa be-adab hun saza chahta hun...
ye jannat mubarak rahe zahidon ko ki main aap ka samna chahta hun...
jalal-e-padshahi ho ki jamhuri tamasha ho juda ho din siyasat se to rah jaati hai changezi...
tera imam be-huzur teri namaz be-surur aisi namaz se guzar aise imam se guzar...
phuul ki patti se kaT sakta hai hiire ka jigar mard-e-nadan par kalam-e-narm-o-nazuk be-asar...
mir-e-arab ko aai ThanDi hava jahan se mera vatan vahi hai mera vatan vahi hai...
tujhe kitab se mumkin nahin faragh ki tu kitab-khvan hai magar sahib-e-kitab nahin...
khudavanda ye tere sada-dil bande kidhar jaen ki darveshi bhi ayyari hai sultani bhi ayyari...
sauda-gari nahin ye ibadat khuda ki hai ai be-khabar jaza ki tamanna bhi chhoD de...
na puchho mujh se lazzat khanaman-barbad rahne ki nasheman saikDon main ne bana kar phunk Daale hain...
kabhi ham se kabhi ghairon se shanasai hai baat kahne ki nahin tu bhi to harjai hai...
jinhein main dhunDta tha aasmanon mein zaminon mein vo nikle mere zulmat-khana-e-dil ke makinon mein...
aql ayyar hai sau bhes badal leti hai ishq bechara na zahid hai na mulla na hakim...
ye kaenat abhi na-tamam hai shayad ki aa rahi hai damadam sada-e-kun-fayakun...
mahine vasl ke ghaDiyon ki surat uDte jaate hain magar ghaDiyan judai ki guzarti hain mahinon mein...
umid-e-hur ne sab kuchh sikha rakkha hai vaiz ko ye hazrat dekhne mein sidhe-saade bhole-bhaale hain...
mujhe rokega tu ai nakhuda kya gharq hone se ki jin ko Dubna hai Duub jaate hain safinon mein...
anokhi vaz.a hai saare zamane se nirale hain ye aashiq kaun si basti ke ya-rab rahne vaale hain...
milega manzil-e-maqsud ka usi ko suragh andheri shab mein hai chiite ki aankh jis ka charagh...
hue madfun-e-dariya zer-e-dariya tairne vaale tamanche mauj ke khaate the jo ban kar guhar nikle...
haan dikha de ai tasavvur phir vo subh o shaam tu dauD pichhe ki taraf ai gardish-e-ayyam tu...
sabaq mila hai ye meraj-e-mustafa se mujhe ki aalam-e-bashariyat ki zad mein hai gardun...
attar ho rumi ho raazi ho ghazali ho kuchh haath nahin aata be-aah-e-sahar-gahi...
zahir ki aankh se na tamasha kare koi ho dekhna to dida-e-dil va kare koi...
kabhi ai haqiqat-e-muntazar nazar aa libas-e-majaz mein ki hazaron sajde taDap rahe hain miri jabin-e-niyaz mein...
guzar ja aql se aage ki ye nuur charagh-e-raah hai manzil nahin hai!...
dil soz se khaali hai nigah paak nahin hai phir is mein ajab kya ki tu bebak nahin hai...
jab ishq sikhata hai aadab-e-khud-agahi khulte hain ghulamon par asrar-e-shahanshahi...
zindagani ki haqiqat kohkan ke dil se puchh ju-e-shir o tesha o sang-e-giran hai zindagi...
sitara kya miri taqdir ki khabar dega vo khud farakhi-e-aflak mein hai khvar o zubun...
har shai musafir har chiiz raahi kya chaand taare kya murgh o maahi...
hui na aam jahan mein kabhi hukumat-e-ishq sabab ye hai ki mohabbat zamana-saz nahin...
tu hai muhit-e-be-karan main hun zara si aabju ya mujhe ham-kanar kar ya mujhe be-kanar kar...
samundar se mile pyase ko shabnam bakhili hai ye razzaqi nahin hai...
kabhi chhoDi hui manzil bhi yaad aati hai rahi ko khaTak si hai jo siine mein gham-e-manzil na ban jaae...
ishq tiri intiha ishq miri intiha tu bhi abhi na-tamam main bhi abhi na-tamam...
zamana aql ko samjha hua hai mishal-e-raah kise khabar ki junun bhi hai sahib-e-idrak...
man ki daulat haath aati hai to phir jaati nahin tan ki daulat chhanv hai aata hai dhan jaata hai dhan...
mohabbat ke liye dil dhunDh koi TuuTne vaala ye vo mai hai jise rakhte hain nazuk aabginon mein...
hava ho aisi ki hindostan se ai iqbal uDa ke mujh ko ghubar-e-rah-e-hijaz kare...
uTTho miri duniya ke gharibon ko jaga do kakh-e-umara ke dar-o-divar hila do...
roz-e-hisab jab mira pesh ho daftar-e-amal aap bhi sharmsar ho mujh ko bhi sharmsar kar...
nahin is khuli faza mein koi gosha-e-faraghat ye jahan ajab jahan hai na qafas na aashiyana...
khudi vo bahr hai jis ka koi kinara nahin tu aabju ise samjha agar to chaara nahin...
kushada dast-e-karam jab vo be-niyaz kare niyaz-mand na kyun aajizi pe naaz kare...
allah ko pa-mardi-e-momin pe bharosa iblis ko europe ki machinon ka sahaara...

Ghazalein

Explore more on Diwan E Sukhan