DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Attitude shayari urdu

Poetry Collection

Ash'aar

Jaun Elia
nahin duniya ko jab parva hamari to phir duniya ki parva kyun karen ham...
Jaun Elia
apne sab yaar kaam kar rahe hain aur ham hain ki naam kar rahe hain...
Jaun Elia
hamari hi tamanna kyun karo tum tumhari hi tamanna kyun karen ham...
Jaun Elia
mil kar tapak se na hamein kijiye udaas khatir na kijiye kabhi ham bhi yahan ke the...
Jaun Elia
jaan-e-man teri be-naqabi ne aaj kitne naqab beche hain...
Jaun Elia
mujhe gharaz hai miri jaan ghul machane se na tere aane se matlab na tere jaane se...
Jaun Elia
ai tarah-dar-e-ishva-taraz-e-dayar-e-naz rukhsat hua hun tere liye dil-gali se main...
Parveen Shakir
dushmanon ke saath mere dost bhi aazad hain dekhna hai khinchta hai mujh pe pahla tiir kaun...
Momin Khan Momin
aap ki kaun si baDhi izzat main agar bazm mein zalil hua...
Sahir Ludhianvi
tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se ham Thukra na den jahan ko kahin be-dili se ham...
Sahir Ludhianvi
barbadiyon ka sog manana fuzul tha barbadiyon ka jashn manata chala gaya...
Sahir Ludhianvi
mohabbat tark ki main ne gareban si liya main ne zamane ab to khush ho zahr ye bhi pi liya main ne...
Sahir Ludhianvi
aao is tira-bakht duniya mein fikr ki raushni ko aam karen...
Firaq Gorakhpuri
lahu vatan ke shahidon ka rang laaya hai uchhal raha hai zamane mein naam-e-azadi...
Firaq Gorakhpuri
shakl insan ki ho chaal bhi insan ki ho yun bhi aati hai qayamat mujhe maalum na tha...
Dagh Dehlvi
jis mein lakhon baras ki huren hon aisi jannat ko kya kare koi...
Dagh Dehlvi
aap pachhtaen nahin jaur se tauba na karen aap ke sar ki qasam dagh ka haal achchha hai...
Akbar Allahabadi
naaz kya is pe jo badla hai zamane ne tumhein mard hain vo jo zamane ko badal dete hain...
Akbar Allahabadi
ab to hai ishq-e-butan mein zindagani ka maza jab khuda ka samna hoga to dekha jaega...
Akbar Allahabadi
tum naak chaDhate ho miri baat pe ai shaikh khinchungi kisi roz main ab kaan tumhaare...
Josh Malihabadi
had hai apni taraf nahin main bhi aur un ki taraf khudai hai...
Jigar Moradabadi
aabad agar na dil ho to barbad kijiye gulshan na ban sake to bayaban banaiye...
Jigar Moradabadi
husn ko bhi kahan nasib jigar vo jo ik shai miri nigah mein hai...
Jigar Moradabadi
gunahgar ke dil se na bach ke chal zahid yahin kahin tiri jannat bhi paai jaati hai...
Jigar Moradabadi
baiThe hue raqib hain dilbar ke aas-paas kanTon ka hai hujum gul-e-tar ke aas-paas...
Hasrat Mohani
ham jaur-paraston pe guman tark-e-vafa ka ye vahm kahin tum ko gunahgar na kar de...
Hasrat Mohani
hasrat bahut hai martaba-e-aashiqi buland tujh ko to muft logon ne mashhur kar diya...
Bashir Badr
ham bhi dariya hain hamein apna hunar malum hai jis taraf bhi chal paDenge rasta ho jaega...
Bashir Badr
aashiqi mein bahut zaruri hai bevafai kabhi kabhi karna...
Wasi Shah
husn ke husn taghaful se pareshan na ho ghaur se baat kahan koi hasin sunta hai...
Amjad Islam Amjad
suna hai kaanon ke kachche ho tum bahut so ham tumhare shahr mein sab se bana ke rakhte hain...
Kaifi Azmi
gar Dubna hi apna muqaddar hai to suno Duubenge ham zarur magar nakhuda ke saath...
Rahat Indori
bahut ghurur hai dariya ko apne hone par jo meri pyas se uljhe to dhajjiyan uD jaen...
Rahat Indori
maza chakha ke hi maana hun main bhi duniya ko samajh rahi thi ki aise hi chhoD dunga use...
Qateel Shifai
chalo achchha hua kaam aa gai divangi apni vagarna ham zamane bhar ko samjhane kahan jaate...
Qateel Shifai
le mere tajrabon se sabaq ai mire raqib do-chaar saal umr mein tujh se baDa hun main...
Qateel Shifai
vo teri bhi to pahli mohabbat na thi qateel phir kya hua agar vo bhi harjai ban gaya...
Qateel Shifai
be-aabru na thi koi laghzish miri qateel main jab gira jahan bhi gira hosh mein gira...
Nida Fazli
dushmani laakh sahi khatm na kiije rishta dil mile ya na mile haath milate rahiye...
Nida Fazli
ab khushi hai na koi dard rulane vaala ham ne apna liya har rang zamane vaala...
Nida Fazli
duniya na jiit paao to haaro na aap ko thoDi bahut to zehn mein narazgi rahe...
Munawwar Rana
phenki na munavvar ne buzurgon ki nishani dastar purani hai magar baandhe hue hai...
Munawwar Rana
adalaton hi se insaf surkh-ru hai magar adalaton hi mein insaf haar jaata hai...
Shakeel Badayuni
kabhi yak-ba-yak tavajjoh kabhi dafatan taghaful mujhe aazma raha hai koi rukh badal badal kar...
Shakeel Badayuni
mujhe dost kahne vaale zara dosti nibha de ye mutalba hai haq ka koi iltija nahin hai...
Shakeel Badayuni
aap jo kuchh kahen hamein manzur nek bande khuda se Darte hain...
Shakeel Badayuni
chhupe hain laakh haq ke marhale gum-naam honTon par usi ki baat chal jaati hai jis ka naam chalta hai...
Nasir Kazmi
kaun achchha hai is zamane mein kyun kisi ko bura kahe koi...
Nasir Kazmi
gali gali miri yaad bichhi hai pyare rasta dekh ke chal mujh se itni vahshat hai to meri hadon se duur nikal...
Mohsin Naqvi
is shaan se lauTe hain ganva kar dil-o-jaan ham is taur to haare hue lashkar nahin aate...
Gulzar
khamoshi ka hasil bhi ik lambi si khamoshi thi un ki baat suni bhi ham ne apni baat sunai bhi...
Habib Jalib
ek hamein aavara kahna koi baDa ilzam nahin duniya vaale dil vaalon ko aur bahut kuchh kahte hain...
Habib Jalib
tum se pahle vo jo ik shakhs yahan takht-nashin tha us ko bhi apne khuda hone pe itna hi yaqin tha...
Habib Jalib
laakh kahte rahein zulmat ko na zulmat likhna ham ne sikha nahin pyare ba-ijazat likhna...
Ibn-e-Insha
apni zaban se kuchh na kahenge chup hi rahenge aashiq log tum se to itna ho sakta hai puchho haal becharon ka...
Ibn-e-Insha
be tere kya vahshat ham ko tujh bin kaisa sabr o sukun tu hi apna shahr hai jaani tu hi apna sahra hai...
Ibn-e-Insha
vahshat ka unvan hamari un mein se jo naar bani dekhenge to log kahenge insha-ji divane the...
Altaf Hussain Hali
hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan...
Altaf Hussain Hali
kyun baDhate ho ikhtilat bahut ham ko taqat nahin judai ki...
Altaf Hussain Hali
dikhana paDega mujhe zakhm-e-dil agar tiir us ka khata ho gaya...
Zehra Nigah
chhoTi si baat pe khush hona mujhe aata tha par baDi baat pe chup rahna tumhi se sikha...
Zehra Nigah
jiina hai to ji lenge bahar-taur divane kis baat ka gham hai rasan-o-dar ke hote...
Ada Jafarey
main aandhiyon ke paas talash-e-saba mein hun tum mujh se puchhte ho mira hausla hai kya...
Ada Jafarey
aap hi markaz-e-nigah rahe jaane ko chaar-su nigah gai...
Kishwar Naheed
vo jis ka shauq hai khilte gulab mal dena gale milo to use bhi udaas kar jaana...
Fahmida Riaz
kis se ab aarzu-e-vasl karen is kharabe mein koi mard kahan...
Ameer Minai
ulfat mein barabar hai vafa ho ki jafa ho har baat mein lazzat hai agar dil mein maza ho...
Ameer Minai
mushkil bahut paDegi barabar ki choT hai aaina dekhiyega zara dekh-bhal ke...
Ameer Minai
ye bhi ik baat hai adavat ki roza rakkha jo ham ne davat ki...
Ameer Minai
kis dhiTai se vo dil chhin ke kahte hain ameer vo mira ghar hai rahe jis mein mohabbat meri...
Ameer Minai
kahte ho ki hamdard kisi ka nahin sunte main ne to raqibon se suna aur hi kuchh hai...
Ameer Minai
hai vasiyyat ki kafan mujh ko isi ka dena haath aa jaae jo utra hua pairahan-e-dost...
Ameer Minai
aae but-khane se kabe ko to kya bhar paaya ja paDe the to vahin ham ko paDa rahna tha...
Daya Shankar Naseem
kya lutf jo ghair parda khole jaadu vo jo sar pe chaDh ke bole...
Jan Nisar Akhtar
ishq mein kya nuqsan nafa hai ham ko kya samjhate ho ham ne saari umr hi yaaro dil ka karobar kiya...
Ali Sardar Jafri
sau milin zindagi se saughaten ham ko aavargi hi raas aai...
Ali Sardar Jafri
ye tera gulistan tera chaman kab meri nava ke qabil hai naghma mira apne daaman mein aap apna gulistan laata hai...
Asrarul Haq Majaz
dafn kar sakta hun siine mein tumhaare raaz ko aur tum chaho to afsana bana sakta hun main...
Asrarul Haq Majaz
khuub pahchan lo asrar hun main jins-e-ulfat ka talabgar hun main...
Siraj Aurangabadi
shah-e-be-khudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi na khirad ki bakhiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi...
Siraj Aurangabadi
masjid mein tujh bhanvon ki ai qibla-e-dil-o-jaan palken hain muqtadi aur putli imaam goya...
Siraj Aurangabadi
aai hai tire ishq ki baazi dil-o-jaan par is vaqt nazar kab hai mujhe sud-o-ziyan par...
Siraj Aurangabadi
hakim-e-ishq ne jab aql ki taqsir suni ho ghazab hukm diya des nikala karne...
Siraj Aurangabadi
vo aashiqi ke khet mein sabit qadam hua jo koi zakhm-e-ishq liya dil ki Dhaal par...
Wali Dakni
shaghl behtar hai ishq-bazi ka kya haqiqi o kya majazi ka...
Shahryar
shikva koi dariya ki ravani se nahin hai rishta hi miri pyaas ka paani se nahin hai...
Shahryar
pal bhar mein kaise log badal jaate hain yahan dekho ki ye mufid hai binai ke liye...
Shahryar
ummid se kam chashm-e-kharidar mein aae ham log zara der se bazar mein aae...
Khwaja Meer Dard
nahin shikva mujhe kuchh bevafai ka tiri hargiz gila tab ho agar tu ne kisi se bhi nibhai ho...
Khwaja Meer Dard
ek iman hai bisat apni na ibadat na kuchh riyazat hai...
Khwaja Meer Dard
qatl-e-aashiq kisi maashuq se kuchh duur na tha par tire ahd se aage to ye dastur na tha...
Bahadur Shah Zafar
khuda ke vaste zahid uTha parda na kabe ka kahin aisa na ho yaan bhi vahi kafir-sanam nikle...
Bahadur Shah Zafar
na kuchh ham hans ke sikhe hain na kuchh ham ro ke sikhe hain jo kuchh thoDa sa sikhe hain tumhaare ho ke sikhe hain...
Mohammad Rafi Sauda
sauda hue jab aashiq kya paas aabru ka sunta hai ai divane jab dil diya to phir kya...
Mohammad Rafi Sauda
tum kaan dhar suno na suno us ke harf ko sauda ko haigi apni hi guftar se gharaz...
Kaleem Aajiz
daaman pe koi chhiinT na khanjar pe koi dagh tum qatl karo ho ki karamaat karo ho...
Kaleem Aajiz
apna lahu bhar kar logon ko baanT gae paimane log duniya bhar ko yaad raheinge ham jaise divane log...
Kaleem Aajiz
tu rais-e-shahr-e-sitam-garan main gada-e-kucha-e-aashiqan tu amiir hai to bata mujhe main gharib hun to bura hai kya...
Kaleem Aajiz
shikayat un se karna go musibat mol lena hai magar aajiz ghazal ham be-sunae dam nahin leinge...
Iftikhar Arif
samundaron ko bhi hairat hui ki Dubte vaqt kisi ko ham ne madad ke liye pukara nahin...
Iftikhar Arif
roz ik taaza qasida nai tashbib ke saath rizq bar-haq hai ye khidmat nahin hogi ham se...
Iftikhar Arif
ab bhi tauhin-e-itaat nahin hogi ham se dil nahin hoga to baiat nahin hogi ham se...
Iftikhar Arif
is baar bhi duniya ne hadaf ham ko banaya is baar to ham shah ke musahib bhi nahin the...
Farhat Ehsas
har gali kuuche mein rone ki sada meri hai shahr mein jo bhi hua hai vo khata meri hai...
Farhat Ehsas
ishq akhbar kab ka band hua dil mira aakhiri shumara hai...
Farhat Ehsas
jo ishq chahta hai vo hona nahin hai aaj khud ko bahaal karna hai khona nahin hai aaj...
Farhat Ehsas
main bhi yahan hun is ki shahadat mein kis ko laun mushkil ye hai ki aap hun apni nazir main...
Farhat Ehsas
kahan ka ishq havas tak bhi ho nahin sakti yahi rahega jo andaz mujrimana mira...
Muneer Niyazi
kisi ko apne amal ka hisab kya dete saval saare ghalat the javab kya dete...
Muneer Niyazi
gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin tu ne mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahin...
Muneer Niyazi
tum mere liye itne pareshan se kyun ho main Duub bhi jaata to kahin aur ubharta...
Muneer Niyazi
milti nahin panah hamein jis zamin par ik hashr us zamin pe uTha dena chahiye...
Waseem Barelvi
aasman itni bulandi pe jo itrata hai bhuul jaata hai zamin se hi nazar aata hai...
Waseem Barelvi
usi ko jiine ka haq hai jo is zamane mein idhar ka lagta rahe aur udhar ka ho jaae...
Waseem Barelvi
usulon par jahan aanch aae Takrana zaruri hai jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaruri hai...
Waseem Barelvi
aap bas kirdar hain apni haden pahchaniye varna phir ik din kahani se nikale jaenge...
Waseem Barelvi
ham apni sath se gir hi nahin sake varna bahut se log hamare bhi saath ho jaate...
Zafar Iqbal
jhuuT bola hai to qaa.em bhi raho us par 'zafar' aadmi ko sahab-e-kirdar hona chahiye...
Zafar Iqbal
vo bahut chaalaak hai lekin agar himmat karein pahla pahla jhuuT hai us ko yaqin aa jaega...
Zafar Iqbal
vaqt zaae na karo ham nahin aise vaise ye ishaara to mujhe us ne kai baar diya...
Zafar Iqbal
main ziyada hun bahut us ke liye ab tak bhi aur mere liye vo saare ka saara kam hai...
Zafar Iqbal
bujha nahin mire andar ka aaftab abhi jala ke khaak karega yahi sharara mujhe...
Zafar Iqbal
na jaane kyun miri niyyat badal gai yak-dam vagarna us pe tabiat miri bahut aai...
Zafar Iqbal
inkisari mein mira hukm bhi jaari tha zafar arz karte hue irshad bhi khud main ne kiya...
Zafar Iqbal
kufr se ye jo munavvar miri peshani hai zahir is se bhi mira jazba-e-iimani hai...
Arzoo Lakhnavi
Daal raha hai kaam mein mushkil mushkil mein kaam aane vaala...
Arzoo Lakhnavi
aarzu be-asar mohabbat chhoD kyun kare kaam jab nahin aata...
Arzoo Lakhnavi
kam na thi tegh se ada-e-khiram dost dushman ki shaan se nikla...
Shaikh Ibrahim Zauq
ham rone pe aa jaaen to dariya hi baha den shabnam ki tarah se hamein rona nahin aata...
Majrooh Sultanpuri
dekh zindan se pare rang-e-chaman josh-e-bahaar raqs karna hai to phir paanv ki zanjir na dekh...
Majrooh Sultanpuri
sar par hava-e-zulm chale sau jatan ke saath apni kulah kaj hai usi baankpan ke saath...
Ali Zaryoun
ada-e-ishq hun puuri ana ke saath hun main khud apne saath hun yaani khuda ke saath hun main...
Makhdoom Mohiuddin
aaj ho jaane do har ek ko bad-mast-o-kharab aaj ek ek ko pilvao ki kuchh raat kaTe...
Hafeez Jalandhari
ham se ye baar-e-lutf uThaya na jaega ehsan ye kijiye ki ye ehsan na kijiye...
Hafeez Jalandhari
aashiq sa bad-nasib koi dusra na ho maashuq khud bhi chahe to us ka bhala na ho...
Explore more on Diwan E Sukhan