DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Body
Poetry Collection
Ash'aar
Naseer Turabi
Ye ruuh raqs-e-charaghan hai apne halqe mein Ye jism saaya hai aur saaya dhal raha hai miyan...
Adil Mansuri
jaane kis ko dhoondne dakhil hua hai jism mein haddiyon mein rasta karta hua peela bukhar...
Adil Mansuri
lahoo mein utarti rahi chandni badan raat ka kitna thanda laga...
Adil Mansuri
wo tum tak kaise aata jism se bhaari saaya tha...
Adil Mansuri
jism ki mitti na le jaye baha kar saath mein dil ki gahrai mein girta khwahishon ka aabshar...
Adil Mansuri
chai mein us ke pistan the mera badan paani mein tha...
Irfan Siddiqi
jism ki raanaiyon tak khwahishon ki bheed hai ye tamasha khatm ho jaye to ghar jayenge log...
Irfan Siddiqi
suna tha main ne ki fitrat khala ki dushman hai so wo badan miri tanhaiyon ko paat gaya...
Mohammad Alvi
main us ke badan ki muqaddas kitab nihayat aqeedat se padhta raha...
Mohammad Alvi
dhoondta hoon main zameen achchhi si ye badan jis mein utara jaye...
Mohammad Alvi
dil hai pyaasa husain ke manind ye badan karbala ka maidan hai...
Mohammad Alvi
utaar phenkoon badan se phati purani qamees badan qamees se badh kar kata-phata dekhoon...
Mohammad Alvi
yaar aaj main ne bhi ik kamaal karna hai jism se nikalna hai jee bahaal karna hai...
Rajinder Manchanda Bani
damak raha tha bahut yun to pairahan us ka zara se lams ne raushan kiya badan us ka...
Saqi Faruqi
tamam jism ki uryaniyan thiin aankhon mein wo meri ruuh mein utra hijab pahne hue...
Saqi Faruqi
wo miri ruuh ki uljhan ka sabab jaanta hai jism ki pyaas bujhane pe bhi raazi nikla...
Saqi Faruqi
meri aankhon mein anokhe jurm ki tajveez thi sirf dekha tha use us ka badan maila hua...
Shakeb Jalali
faseel-e-jism pe taaza lahoo ke chheente hain hudood-e-waqt se aage nikal gaya hai koi...
Shakeb Jalali
gale mila na kabhi chaand bakht aisa tha hara-bhara badan apna darakht aisa tha...
Yagana Changezi
rahegi chaar-deewar-e-anasir darmiyan kab tak uthega zalzala ik din isi baithe hue dil se...
Nazeer Akbarabadi
khuda ke waste gul ko na mere haath se lo mujhe boo aati hai is mein kisi badan ki si...
Nazeer Akbarabadi
badan gul chehra gul rukhsar gul lab gul dahan hai gul sarapa ab to wo rashk-e-chaman hai dher phoolon ka...
Nazeer Akbarabadi
jism kya rooh ki hai jaulan-gah rooh kya ik sawar-e-pa-ba-rakab...
Nazeer Akbarabadi
koi to pagdi badalta hai auron se lekin miyan 'nazeer' ham ab tum se tan badalte hain...
Nazeer Akbarabadi
na surkhi ghuncha-e-gul mein tire dahan ki si na yasaman mein safai tire badan ki si...
Aziz Bano Darab Wafa
main apne jism mein rahti hoon is takalluf se ki jaise aur kisi doosre ke ghar mein hoon...
Aziz Bano Darab Wafa
is ghar ke chappe chappe par chhaap hai rahne wale ki mere jism mein mujh se pahle shayad koi rahta tha...
Aziz Bano Darab Wafa
main us ke samne uryan lagoongi duniya ko wo mere jism ko mera libaas kar dega...
Aziz Bano Darab Wafa
tatolta hua kuchh jism o jaan tak pahuncha wo aadmi jo miri dastan tak pahuncha...
Explore more on Diwan E Sukhan