DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Deep meaning

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
mohabbat mein nahin hai farq jiine aur marne ka usi ko dekh kar jiite hain jis kafir pe dam nikle...
Mirza Ghalib
rau mein hai rakhsh-e-umr kahan dekhiye thame ne haath baag par hai na pa hai rikab mein...
Ahmad Faraz
dhunD ujDe hue logon mein vafa ke moti ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mein milen...
Ahmad Faraz
tere baghair bhi to ghanimat hai zindagi khud ko ganva ke kaun tiri justuju kare...
Ahmad Faraz
kaun taqon pe raha kaun sar-e-rahguzar shahr ke saare charaghon ko hava jaanti hai...
Meer Taqi Meer
mat sahl hamein jaano phirta hai falak barson tab khaak ke parde se insan nikalte hain...
Meer Taqi Meer
kin nindon ab tu soti hai ai chashm-e-girya-nak mizhgan to khol shahr ko sailab le gaya...
Allama Iqbal
jinhein main dhunDta tha aasmanon mein zaminon mein vo nikle mere zulmat-khana-e-dil ke makinon mein...
Jaun Elia
yun jo takta hai aasman ko tu koi rahta hai aasman mein kya...
Jaun Elia
main raha umr bhar juda khud se yaad main khud ko umr bhar aaya...
Jaun Elia
apna rishta zamin se hi rakkho kuchh nahin aasman mein rakkha...
Jaun Elia
jaaniye us se nibhegi kis tarah vo khuda hai main to banda bhi nahin...
Jaun Elia
paDi rahne do insanon ki laashen zamin ka bojh halka kyun karen ham...
Jaun Elia
sab se pur-amn vaqia ye hai aadmi aadmi ko bhul gaya...
Jaun Elia
jaun duniya ki chaakri kar ke tu ne dil ki vo naukri kya ki...
Jaun Elia
ai subh main ab kahan raha hun khvabon hi mein sarf ho chuka hun...
Jaun Elia
vo munkir hai to phir shayad har ik maktub-e-shauq us ne sar-angusht-e-hinai se khalaon mein likha hoga...
Momin Khan Momin
kis pe marte ho aap puchhte hain mujh ko fikr-e-javab ne maara...
Momin Khan Momin
be-khud the ghash the mahv the duniya ka gham na tha jiina visal mein bhi to hijran se kam na tha...
Sahir Ludhianvi
chand kaliyan nashat ki chun kar muddaton mahv-e-yaas rahta hun tera milna khushi ki baat sahi tujh se mil kar udaas rahta hun...
Sahir Ludhianvi
koi to aisa ghar hota jahan se pyaar mil jaata vahi begane chehre hain jahan jaen jidhar jaen...
Sahir Ludhianvi
dil ke muamale mein natije ki fikr kya aage hai ishq jurm-o-saza ke maqam se...
Firaq Gorakhpuri
tujh ko pa kar bhi na kam ho saki be-tabi-e-dil itna aasan tire ishq ka gham tha hi nahin...
Firaq Gorakhpuri
asar bhi le raha hun teri chup ka tujhe qail bhi karta ja raha hun...
Firaq Gorakhpuri
manzilen gard ke manind uDi jaati hain vahi andaz-e-jahan-e-guzaran hai ki jo tha...
Firaq Gorakhpuri
jin ki taamir ishq karta hai kaun rahta hai un makanon mein...
Dagh Dehlvi
kahne deti nahin kuchh munh se mohabbat meri lab pe rah jaati hai aa aa ke shikayat meri...
Dagh Dehlvi
vo zamana bhi tumhein yaad hai tum kahte the dost duniya mein nahin dagh se behtar apna...
Dagh Dehlvi
baad muddat ke ye ai dagh samajh mein aaya vahi daana hai kaha jis ne na maana dil ka...
Akbar Allahabadi
bas jaan gaya main tiri pahchan yahi hai tu dil mein to aata hai samajh mein nahin aata...
Akbar Allahabadi
unhein bhi josh-e-ulfat ho to lutf uTThe mohabbat ka hamin din-raat agar taDpe to phir is mein maza kya hai...
Akbar Allahabadi
jalva na ho maani ka to surat ka asar kya bulbul gul-e-tasvir ka shaida nahin hota...
Josh Malihabadi
pahchan gaya sailab hai us ke siine mein armanon ka dekha jo safine ko mere ji chhuT gaya tufanon ka...
Jigar Moradabadi
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai simTe to dil-e-aashiq phaile to zamana hai...
Jigar Moradabadi
ishq jab tak na kar chuke rusva aadmi kaam ka nahin hota...
Jigar Moradabadi
bahut hasin sahi sohbaten gulon ki magar vo zindagi hai jo kanTon ke darmiyan guzre...
Jigar Moradabadi
aadmi ke paas sab kuchh hai magar ek tanha aadamiyyat hi nahin...
Jigar Moradabadi
masarrat zindagi ka dusra naam masarrat ki tamanna mustaqil gham...
Hasrat Mohani
malum sab hai puchhte ho phir bhi muddaa ab tum se dil ki baat kahen kya zaban se ham...
Hasrat Mohani
kahan ham kahan vasl-e-janan ki hasrat bahut hai unhein ik nazar dekh lena...
Hasrat Mohani
dilon ko fikr-e-do-aalam se kar diya aazad tire junun ka khuda silsila daraz kare...
Hasrat Mohani
laga kar aankh is jaan-e-jahan se na hoga ab kisi se aashna dil...
Bashir Badr
agar fursat mile paani ki tahriron ko paDh lena har ik dariya hazaron saal ka afsana likhta hai...
Amjad Islam Amjad
maana nazar ke samne hai be-shumar dhund hai dekhna ki dhund ke is paar kaun hai...
Amjad Islam Amjad
tum hi ne paanv na rakkha vagarna vasl ki shab zamin pe ham ne sitare bichha ke rakkhe the...
Kaifi Azmi
roz baste hain kai shahr nae roz dharti mein sama jaate hain...
Kaifi Azmi
jab us ne haar ke khanjar zamin pe phenk diya tamam zakhm-e-jigar muskurae hain kya kya...
Kaifi Azmi
divaren to har taraf khaDi hain kya ho gae mehrban saae...
Rahat Indori
ghar ke baahar dhunDta rahta hun duniya ghar ke andar duniya-daari rahti hai...
Rahat Indori
shahr kya dekhen ki har manzar mein jaale paD gae aisi garmi hai ki piile phuul kaale paD gae...
Qateel Shifai
duur tak chhae the baadal aur kahin saaya na tha is tarah barsaat ka mausam kabhi aaya na tha...
Nida Fazli
kahan charagh jalaen kahan gulab rakhen chhaten to milti hain lekin makan nahin milta...
Nida Fazli
suraj ko chonch mein liye murgha khaDa raha khiDki ke parde khinch diye raat ho gai...
Nida Fazli
gintiyon mein hi gine jaate hain har daur mein ham har qalamkar ki be-nam khabar ke ham hain...
Munawwar Rana
ham nahin the to kya kami thi yahan ham na honge to kya kami hogi...
Munawwar Rana
sahra pe bura vaqt mire yaar paDa hai divana kai roz se bimar paDa hai...
Shakeel Badayuni
kitni dil-kash hain tiri tasvir ki raanaiyan lekin ai parda-nashin tasvir phir tasvir hai...
Shakeel Badayuni
jiine vaale qaza se Darte hain zahr pi kar dava se Darte hain...
Shakeel Badayuni
sab karishmat-e-tasavvur hain shakeel varna aata hai na jaata hai koi...
Nasir Kazmi
umr bhar ki nava-gari ka sila ai khuda koi ham-nava hi de...
Nasir Kazmi
manzar dil o nigah ke jab ho gae udaas ye be-faza ilaqa-e-tan mujh se chhin le...
Altaf Hussain Hali
aa rahi hai chah-e-yusuf se sada dost yaan thoDe hain aur bhai bahut...
Altaf Hussain Hali
kuchh hansi khel sambhalna gham-e-hijran mein nahin chaak-e-dil mein hai mire jo ki gareban mein nahin...
Zehra Nigah
raat ajab aaseb-zada sa mausam tha apna hona aur na hona mubham tha...
Zehra Nigah
taaron ko gardishen milin zarron ko tabishen ai rah-navard raah-e-junun tujh ko kya mila...
Ada Jafarey
gul par kya kuchh biit gai hai albela jhonka kya jaane...
Kishwar Naheed
ye zindagi jise DhunDa tha aasmanon mein hava ke haath pe likkhi hui ibarat thi...
Ameer Minai
vasl mein khaali hui ghair se mahfil to kya sharm bhi jaae to main jaanun ki tanhai hui...
Daya Shankar Naseem
samjha hai haq ko apne hi jaanib har ek shakhs ye chaand us ke saath chala jo jidhar gaya...
Jan Nisar Akhtar
har-chand e'tibar mein dhoke bhi hain magar ye to nahin kisi pe bharosa kiya na jaae...
Asrarul Haq Majaz
haae vo vaqt ki jab be-piye mad-hoshi thi haae ye vaqt ki ab pi ke bhi makhmur nahin...
Asrarul Haq Majaz
taskin-e-dil-e-mahzun na hui vo sai-e-karam farma bhi gae is sai-e-karam ko kya kahiye bahla bhi gae taDpa bhi gae...
Siraj Aurangabadi
junun ke shahr mein naiin kam-ayar kun hurmat main naqd-e-qalb kun kanTe mein dil ke tol chuka...
Shahryar
jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyun hai zindagi roz nae rang badalti kyun hai...
Shahryar
sabhi ko gham hai samundar ke khushk hone ka ki khel khatm hua kashtiyan Dubone ka...
Shahryar
be-naam se ik khauf se dil kyun hai pareshan jab tai hai ki kuchh vaqt se pahle nahin hoga...
Shahryar
ek hi miTTi se ham donon bane hain lekin tujh mein aur mujh mein magar fasla yun kitna hai...
Shahryar
ab to le de ke yahi kaam hai in aankhon ka jin ko dekha nahin un khvabon ki taabir karen...
Shahryar
shahr-e-ummid haqiqat mein nahin ban sakta to chalo us ko tasavvur hi mein taamir karen...
Khwaja Meer Dard
ya-rab ye kya tilism hai idrak-o-fahm yaan dauDe hazar aap se baahar na ja sake...
Bahadur Shah Zafar
na thi haal ki jab hamein apne khabar rahe dekhte auron ke aib o hunar paDi apni buraiyon par jo nazar to nigah mein koi bura na raha...
Bahadur Shah Zafar
sab miTa den dil se hain jitni ki us mein khvahishen gar hamein maalum ho kuchh us ki khvahish aur hai...
Bahadur Shah Zafar
khvab mera hai ain bedari main to us mein bhi dekhta kuchh hun...
Mohammad Rafi Sauda
sauda khuda ke vaaste kar qissa mukhtasar apni to niind uD gai tere fasane mein...
Iftikhar Arif
kahani mein nae kirdar shamil ho gae hain nahin maalum ab kis Dhab tamasha khatm hoga...
Iftikhar Arif
yahi lahja tha ki mear-e-sukhan Thahra tha ab isi lahja-e-be-bak se khauf aata hai...
Iftikhar Arif
yahi lau thi ki ulajhti rahi har raat ke saath ab ke khud apni havaon mein bujha chahti hai...
Farhat Ehsas
ise bachchon ke hathon se uThao ye duniya is qadar bhaari nahin hai...
Farhat Ehsas
vo jo ik shor sa barpa hai amal hai mera ye jo tanhai barasti hai saza meri hai...
Muneer Niyazi
hai muneer hairat-e-mustaqil main khaDa hun aise maqam par...
Waseem Barelvi
kuchh hai ki jo ghar de nahin paata hai kisi ko varna koi aise to safar mein nahin rahta...
Waseem Barelvi
vo gham ata kiya dil-e-divana jal gaya aisi bhi kya sharab ki paimana jal gaya...
Waseem Barelvi
tum apne baare mein kuchh der sochna chhoDo to main bataun ki tum kis qadar akele ho...
Zafar Iqbal
abhi meri apni samajh mein bhi nahin aa rahi main jabhi to baat ko mukhtasar nahin kar raha...
Zafar Iqbal
rahta nahin hun bojh kisi par ziyada der kuchh qarz tha agar to ada bhi hua hun main...
Zafar Iqbal
aisa hai jaise aankh ki putli ke vast mein naqsha bana hua hai kisi khvab-zar ka...
Arzoo Lakhnavi
rahbar rahzan na ban jaae kahin is soch mein chup khaDa hun bhuul kar raste mein manzil ka pata...
Arzoo Lakhnavi
faza mahdud kab hai ai dil-e-vahshi falak kaisa nilahaT hai nazar ki dekhte hain jo nigahon se...
Tehzeeb Hafi
Badan mein ek taraf din tulu main ne kiya Badan ke dusre hisse mein raat ho gai hai...
Tehzeeb Hafi
Dhool mein at gaye hain saare ghazal Itni shiddat se ram kiya gaya hai...
Tehzeeb Hafi
Kaun-o-imakan mein do tarah ke hi to shobada-baaz hain Ek parda girata hai aur ek parda nahin chhodta...
Shaikh Ibrahim Zauq
behtar to hai yahi ki na duniya se dil lage par kya karen jo kaam na be-dil-lagi chale...
Majrooh Sultanpuri
para-e-dil hai vatan ki sarzamin mushkil ye hai shahr ko viran ya is dil ko virana kahen...
Dushyant Kumar
tumhaare paon ke niche koi zamin nahin kamal ye hai ki phir bhi tumhein yaqin nahin...
Dushyant Kumar
ye saara jism jhuk kar bojh se dohra hua hoga main sajde mein nahin tha aap ko dhoka hua hoga...
Dushyant Kumar
ye log homo-havan mein yaqin rakhte hain chalo yahan se chalen haath jal na jaae kahin...
Hafeez Jalandhari
mujhe to is khabar ne kho diya hai suna hai main kahin paaya gaya hun...
Hafeez Jalandhari
aane vaale kisi tufan ka rona ro kar na-khuda ne mujhe sahil pe Dubona chaha...
Hafeez Jalandhari
charagh-e-khana-e-darvesh hun main idhar jalta udhar bujhta raha hun...
Hafeez Jalandhari
mabada phir asiir-e-dam-e-aql-o-hosh ho jaun junun ka is tarah achchha nahin had se guzar jaana...
Shakeel Azmi
Isi khata pe bujhaye gaye charagh mire Main jaanta tha bahut kuchh hawa ke baare mein...
Nadim Nadeem
Sawal ye hai hawa aayi kis ishare par Charagh kis ke bujhe ye sawal thodi hai...
Explore more on Diwan E Sukhan