DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Hypocrisy

Poetry Collection

Ash'aar

Faiz Ahmad Faiz
ham shaikh na leader na musahib na sahafi jo khud nahin karte vo hidayat na karenge...
Allama Iqbal
masjid to bana di shab bhar mein iman ki hararat valon ne man apna purana paapi hai barson mein namazi ban na saka...
Allama Iqbal
jo main sar-ba-sajda hua kabhi to zamin se aane lagi sada tira dil to hai sanam-ashna tujhe kya milega namaz mein...
Allama Iqbal
khudavanda ye tere sada-dil bande kidhar jaen ki darveshi bhi ayyari hai sultani bhi ayyari...
Allama Iqbal
hui na aam jahan mein kabhi hukumat-e-ishq sabab ye hai ki mohabbat zamana-saz nahin...
Akbar Allahabadi
mai bhi hotel mein piyo chanda bhi do masjid mein shaikh bhi khush rahein shaitan bhi be-zar na ho...
Akbar Allahabadi
khilaf-e-shara kabhi shaikh thukta bhi nahin magar andhere ujale mein chukta bhi nahin...
Akbar Allahabadi
shaikh ki davat mein mai ka kaam kya ehtiyatan kuchh manga li jaegi...
Siraj Aurangabadi
do-rangi khuub nahin yak-rang ho ja sarapa mom ho ya sang ho ja...
Bahadur Shah Zafar
ghazab hai ki dil mein to rakkho kudurat karo munh pe ham se safai ki baaten...
Iftikhar Arif
dil un ke saath magar tegh aur shakhs ke saath ye silsila bhi kuchh ahl-e-riya ka lagta hai...
Zafar Iqbal
patang uDane se kya mana kar sake zahid ki us ki apni aba mein patang uDti hai...
Abdul Hamid Adam
jin se insan ko pahunchti hai hamesha takleef un ka daawa hai ki wo asl khuda wale hain...
Yagana Changezi
jaise dozakh ki hawa kha ke abhi aaya ho kis qadar waiz-e-makkar darata hai mujhe...
Ismail Merathi
utha hijab to bas deen-o-dil diye hi bani janab-e-shaikh ko daawa tha parsai ka...
Ismail Merathi
israf ne arbab-e-tamawwul ko duboya aalim ko tafakhur ne to zahid ko riya ne...
Explore more on Diwan E Sukhan