DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Inside

Poetry Collection

Ash'aar

Mohammad Alvi
rakhte ho agar aankh to baahar se na dekho dekho mujhe andar se bahut toot chuka hoon...
Aziz Bano Darab Wafa
mere andar ek dastak si kahin hoti rahi zindagi odhe hue main be-khabar soti rahi...
Aziz Bano Darab Wafa
us ne chaha tha ki chhup jaaye wo apne andar us ki qismat ki kisi aur ka wo ghar nikla...
Aziz Bano Darab Wafa
mire andar dhandora peetta hai koi rah rah ke jo apni khairiyat chahe wo basti se nikal jaaye...
Aziz Bano Darab Wafa
mujhe kahan mire andar se wo nikalega parayi aag mein koi na haath daalega...
Aziz Bano Darab Wafa
mire andar se yun phenki kisi ne raushni mujh par ki pal bhar mein miri saari haqeeqat khul gayi mujh par...
Aziz Bano Darab Wafa
mere andar koi takta raha rasta us ka main hamesha ke liye rah gayi chilman ban ke...
Aziz Bano Darab Wafa
main phoot phoot ke royi magar mire andar bikherta raha be-rabt qahqahe koi...
Explore more on Diwan E Sukhan