Masafat

Poetry Collection

بے نام مسافت ہی مقدر ہے تو کیا غم
منزل کا تعین کبھی ہوتا ہے سفر سے
बे-नाम मुसाफ़त ही मुक़द्दर है तो क्या ग़म
मंज़िल का तअय्युन कभी होता है सफ़र से
be-naam masafat hi muqaddar hai to kya gham
manzil ka taayyun kabhi hota hai safar se
اجڑے ہوئے لوگوں سے گریزاں نہ ہوا کر
حالات کی قبروں کے یہ کتبے بھی پڑھا کر

کیا جانیے کیوں تیز ہوا سوچ میں گم ہے
خوابیدہ پرندوں کو درختوں سے اڑا کر

اس شخص کے تم سے بھی مراسم ہیں تو ہوں گے
وہ جھوٹ نہ بولے گا میرے سامنے آ کر

ہر وقت کا ہنسنا تجھے برباد نہ کر دے
تنہائی کے لمحوں میں کبھی رو بھی لیا کر

وہ آج بھی صدیوں کی مسافت پہ کھڑا ہے
ڈھونڈا تھا جسے وقت کی دیوار گرا کر

اے دل تجھے دشمن کی بھی پہچان کہاں ہے
تو حلقۂ یاراں میں بھی محتاط رہا کر

اس شب کے مقدر میں سحر ہی نہیں 'محسن'
دیکھا ہے کئی بار چراغوں کو بجھا کر
उजड़े हुए लोगों से गुरेज़ाँ न हुआ कर
हालात की क़बरों के ये कतबे भी पढ़ा कर

क्या जानिए क्यों तेज़ हवा सोच में गुम है
ख़्वाबिदा परिंदों को दरख़्तों से उड़ा कर

उस शख़्स के तुम से भी मरासिम हैं तो होंगे
वो झूट न बोलेगा मेरे सामने आ कर

हर वक़्त का हँसना तुझे बर्बाद न कर दे
तन्हाई के लम्हों में कभी रो भी लिया कर

वो आज भी सदियों की मसाफ़त पे खड़ा है
ढूँढा था जिसे वक़्त की दीवार गिरा कर

ऐ दिल तुझे दुश्मन की भी पहचान कहाँ है
तू हलक़ा-ए-याराँ में भी मोहतत रहा कर

इस शब के मुक़द्दर में सहर ही नहीं 'मोहसिन'
देखा है कई बार चराग़ों को बुझा कर
Ujde hue logon se gurezan na hua kar
Haalat ki qabron ke ye katbe bhi padha kar

Kya jaaniye kyun tez hawa soch mein gum hai
Khwabida parindon ko darakhton se uda kar

Us shakhs ke tum se bhi marasim hain to honge
Woh jhoot na bolega mere saamne aa kar

Har waqt ka hansna tujhe barbaad na kar de
Tanhai ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar

Woh aaj bhi sadiyon ki masafat pe khada hai
Dhoonda tha jise waqt ki deewar gira kar

Aye dil tujhe dushman ki bhi pehchan kahan hai
Tu halqa-e-yaran mein bhi mohtat raha kar

Is shab ke muqaddar mein sahar hi nahin 'Mohsin'
Dekha hai kayi baar charaghon ko bujha kar
Aur Shayari Padhein →
SUKHAN
اردو
हिंदी
Roman

DIWAN E SUKHAN

"Har ek baat pe kehte ho..."
Urdu Hindi Roman
Ghazalein
Full Ghazals
Ash'aar
Couplets Feed
Nazmein
Story in Verse
Bayaaz
My Diary
Takhleeq
Create & Submit Poetry
View All
View All
Blog e Sukhan

Adab aur Dastan: Shayaron ki Mehfil

Urdu adab ke sunehre daur ki kahaniyan, azeem shayaron ke posheeda qisse, aur unki zindagiyon ke naye pehlu ek hi jagah.

Mazameen Padhein
Ishtehaar

Aapka Brand Yahan!

Diwan E Sukhan ke hazaron padhne walon tak apna paigham pohnchayein. Yeh khaas jagah premium brands aur karobar ke liye banayi gayi hai.
(TAP TO LEARN MORE!)

Ad by Fiza Perfumes Ishtehaar Ke Liye Rabta Karein
Sponsored Space
Message