DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Mother
Poetry Collection
Ash'aar
Nida Fazli
besan ki saundhi roTi par khaTTi chaTni jaisi maan yaad aati hai! chauka baasan chimTa phukni jaisi maan...
Munawwar Rana
chalti phirti hui aankhon se azaan dekhi hai main ne jannat to nahin dekhi hai maan dekhi hai...
Munawwar Rana
abhi zinda hai maan meri mujhe kuchh bhi nahin hoga main ghar se jab nikalta hun dua bhi saath chalti hai...
Munawwar Rana
is tarah mere gunahon ko vo dho deti hai maan bahut ghusse mein hoti hai to ro deti hai...
Munawwar Rana
kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukan aai main ghar mein sab se chhoTa tha mire hisse mein maan aai...
Munawwar Rana
jab bhi kashti miri sailab mein aa jaati hai maan dua karti hui khvab mein aa jaati hai...
Munawwar Rana
tere daman mein sitare hain to honge ai falak mujh ko apni maan ki maili oDhni achchhi lagi...
Munawwar Rana
munavvar maan ke aage yun kabhi khul kar nahin rona jahan buniyaad ho itni nami achchhi nahin hoti...
Munawwar Rana
ye soch ke maan baap ki khidmat mein laga hun is peD ka saaya mire bachchon ko milega...
Munawwar Rana
barbad kar diya hamein pardes ne magar maan sab se kah rahi hai ki beTa maze mein hai...
Munawwar Rana
kal apne-aap ko dekha tha maan ki aankhon mein ye aaina hamein buDha nahin batata hai...
Munawwar Rana
ye aisa qarz hai jo main ada kar hi nahin sakta main jab tak ghar na lauTun meri maan sajde mein rahti hai...
Munawwar Rana
main ne kal shab chahaton ki sab kitaben phaaD din sirf ik kaghaz pe likkha lafz-e-maan rahne diya...
Munawwar Rana
din bhar ki mashaqqat se badan chuur hai lekin maan ne mujhe dekha to thakan bhuul gai hai...
Munawwar Rana
shahr ke raste hon chahe gaanv ki pagDanDiyan maan ki ungli thaam kar chalna bahut achchha laga...
Munawwar Rana
maan khvab mein aa kar ye bata jaati hai har roz bosida si oDhi hui is shaal mein ham hain...
Altaf Hussain Hali
maan baap aur ustad sab hain khuda ki rahmat hai rok-Tok un ki haq mein tumhaare neamat...
Iftikhar Arif
dua ko haat uThate hue larazta hun kabhi dua nahin mangi thi maañ ke hote hue...
Iftikhar Arif
ghar se nikle hue beTon ka muqaddar maalum maañ ke qadmon mein bhi jannat nahin milne vaali...
Irfan Siddiqi
ek ladka shahr ki raunaq mein sab kuchh bhool jaye ek budhiya roz chaukhat par diya raushan kare...
Explore more on Diwan E Sukhan