DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Moving on
Poetry Collection
Ash'aar
Ahmad Faraz
aankh se duur na ho dil se utar jaega vaqt ka kya hai guzarta hai guzar jaega...
Ahmad Faraz
us ko juda hue bhi zamana bahut hua ab kya kahen ye qissa purana bahut hua...
Ahmad Faraz
ab tire zikr pe ham baat badal dete hain kitni raghbat thi tire naam se pahle pahle...
Ahmad Faraz
faraz tark-e-taalluq to khair kya hoga yahi bahut hai ki kam kam mila karo us se...
Jaun Elia
sochta hun ki us ki yaad aakhir ab kise raat bhar jagati hai...
Jaun Elia
tumhaara hijr mana lun agar ijazat ho main dil kisi se laga lun agar ijazat ho...
Jaun Elia
ik ajab haal hai ki ab us ko yaad karna bhi bevafai hai...
Jaun Elia
Thiik hai khud ko ham badalte hain shukriya mashvarat ka chalte hain...
Jaun Elia
us ne goya mujhi ko yaad rakha main bhi goya usi ko bhul gaya...
Jaun Elia
nai khvahish rachai ja rahi hai tiri furqat manai ja rahi hai...
Jaun Elia
marham-e-hijr tha ajab iksir ab to har zakhm bhar gaya hoga...
Parveen Shakir
kaun jaane ki nae saal mein tu kis ko paDhe tera meyar badalta hai nisabon ki tarah...
Momin Khan Momin
main bhi kuchh khush nahin vafa kar ke tum ne achchha kiya nibah na ki...
Sahir Ludhianvi
vo afsana jise anjam tak laana na ho mumkin use ik khub-surat moD de kar chhoDna achchha...
Sahir Ludhianvi
jo mil gaya usi ko muqaddar samajh liya jo kho gaya main us ko bhulata chala gaya...
Sahir Ludhianvi
un ka gham un ka tasavvur un ke shikve ab kahan ab to ye baaten bhi ai dil ho gain aai gai...
Firaq Gorakhpuri
ab yaad-e-raftagan ki bhi himmat nahin rahi yaaron ne kitni duur basai hain bastiyan...
Bashir Badr
abhi raah mein kai moD hain koi aaega koi jaega tumhein jis ne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo...
Amjad Islam Amjad
kahan aa ke rukne the raaste kahan moD tha use bhuul ja vo jo mil gaya use yaad rakh jo nahin mila use bhuul ja...
Qateel Shifai
vo teri bhi to pahli mohabbat na thi qateel phir kya hua agar vo bhi harjai ban gaya...
Nida Fazli
ab kisi se bhi shikayat na rahi jaane kis kis se gila tha pahle...
Nida Fazli
din saliqe se uga raat Thikane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamane se rahi...
Nasir Kazmi
na ab vo yaadon ka chaDhta dariya na fursaton ki udaas barkha yunhi zara si kasak hai dil mein jo zakhm gahra tha bhar gaya vo...
Habib Jalib
ik tiri yaad se ik tere tasavvur se hamein aa gae yaad kai naam hasinaon ke...
Shahryar
jaan-bujh kar samajh kar main ne bhula diya har vo qissa jo dil ko bahlane vaala tha...
Shahryar
tujhe bhuul gaya kabhi yaad nahin karta tujh ko jo baat bahut pahle karni thi ab ki hai...
Waseem Barelvi
vo din gae ki mohabbat thi jaan ki baazi kisi se ab koi bichhDe to mar nahin jaata...
Zafar Iqbal
chehre se jhaaD pichhle baras ki kuduraten divar se purana calender utaar de...
Zafar Iqbal
tiri yaad mein jalsa-e-taaziyat tujhe bhuul jaane ka aaghaz tha...
Tehzeeb Hafi
Gali se koi bhi guzre to chaunk uthta hoon Naye makaan mein khidki nahin banaunga...
Tehzeeb Hafi
Tum chahte ho tum se bichhad ke bhi khush rahun Yaani hawa bhi chalti rahe aur diya jale...
Hafeez Jalandhari
ham hi mein thi na koi baat yaad na tum ko aa sake tum ne hamein bhula diya ham na tumhein bhula sake...
Khalilur Rahman Azmi
bhala hua ki koi aur mil gaya tum sa wagarna ham bhi kisi din tumhein bhula dete...
Explore more on Diwan E Sukhan