DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Sad reality

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
ishq ne ghalib nikamma kar diya varna ham bhi aadmi the kaam ke...
Mirza Ghalib
ham ko un se vafa ki hai ummid jo nahin jaante vafa kya hai...
Mirza Ghalib
marte hain aarzu mein marne ki maut aati hai par nahin aati...
Mirza Ghalib
kab vo sunta hai kahani meri aur phir vo bhi zabani meri...
Ahmad Faraz
ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa aa phir se mujhe chhoD ke jaane ke liye aa...
Ahmad Faraz
na shab o roz hi badle hain na haal achchha hai kis barhaman ne kaha tha ki ye saal achchha hai...
Ahmad Faraz
shahr-valon ki mohabbat ka main qael hun magar main ne jis haath ko chuma vahi khanjar nikla...
Ahmad Faraz
TuTa to hun magar abhi bikhra nahin faraz mere badan pe jaise shikaston ka jaal ho...
Faiz Ahmad Faiz
aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siva rahatein aur bhi hain vasl ki rahat ke siva...
Faiz Ahmad Faiz
duniya ne teri yaad se begana kar diya tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgar ke...
Faiz Ahmad Faiz
tere qaul-o-qarar se pahle apne kuchh aur bhi sahare the...
Faiz Ahmad Faiz
ham se kahte hain chaman vaale ghariban-e-chaman tum koi achchha sa rakh lo apne virane ka naam...
Meer Taqi Meer
rah-e-dur-e-ishq mein rota hai kya aage aage dekhiye hota hai kya...
Meer Taqi Meer
phirte hain miir khvar koi puchhta nahin is aashiqi mein izzat-e-sadat bhi gai...
Meer Taqi Meer
ab aaya dhyan ai aaram-e-jaan is na-muradi mein kafan dena tumhein bhule the ham asbab-e-shadi mein...
Meer Taqi Meer
ye jo mohlat jise kahe hain umr dekho to intizar sa hai kuchh...
Allama Iqbal
duniya ki mahfilon se ukta gaya hun ya rab kya lutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho...
Allama Iqbal
buton se tujh ko umiden khuda se naumidi mujhe bata to sahi aur kafiri kya hai...
Allama Iqbal
tire aazad bandon ki na ye duniya na vo duniya yahan marne ki pabandi vahan jiine ki pabandi...
Allama Iqbal
zindagani ki haqiqat kohkan ke dil se puchh ju-e-shir o tesha o sang-e-giran hai zindagi...
Jaun Elia
jo guzari na ja saki ham se ham ne vo zindagi guzari hai...
Jaun Elia
kya takalluf karen ye kahne mein jo bhi khush hai ham us se jalte hain...
Jaun Elia
zindagi kya hai ik kahani hai ye kahani nahin sunani hai...
Jaun Elia
kya hai jo badal gai hai duniya main bhi to bahut badal gaya hun...
Jaun Elia
ham ne kyun khud pe etibar kiya sakht be-etibar the ham to...
Jaun Elia
tiflan-e-kucha-gard ke patthar bhi kuchh nahin sauda bhi ek vahm hai aur sar bhi kuchh nahin...
Parveen Shakir
kaise kah dun ki mujhe chhoD diya hai us ne baat to sach hai magar baat hai rusvai ki...
Parveen Shakir
haarne mein ik ana ki baat thi jiit jaane mein khasara aur hai...
Parveen Shakir
nahin nahin ye khabar dushmanon ne di hogi vo aae aa ke chale bhi gae mile bhi nahin...
Parveen Shakir
ek musht-e-khaak aur vo bhi hava ki zad mein hai zindagi ki bebasi ka istiara dekhna...
Parveen Shakir
jis ja makin banne ke dekhe the main ne khvab us ghar mein ek shaam ki mehman bhi na thi...
Sahir Ludhianvi
hamin se rang-e-gulistan hamin se rang-e-bahaar hamin ko nazm-e-gulistan pe ikhtiyar nahin...
Firaq Gorakhpuri
maut ka bhi ilaaj ho shayad zindagi ka koi ilaaj nahin...
Firaq Gorakhpuri
zindagi kya hai aaj ise ai dost soch len aur udaas ho jaen...
Dagh Dehlvi
falak deta hai jin ko 'aish un ko gham bhi hote hain jahan bajte hain naqqare vahan matam bhi hote hai...
Dagh Dehlvi
zamane ke kya kya sitam dekhte hain hamin jaante hain jo ham dekhte hain...
Akbar Allahabadi
aai hogi kisi ko hijr mein maut mujh ko to niind bhi nahin aati...
Akbar Allahabadi
dava bahut baDa hai riyazi mein aap ko tul-e-shab-e-firaq ko to naap dijiye...
Akbar Allahabadi
sab ho chuke hain us but-e-kafir-ada ke saath rah jaenge rasul hi bas ab khuda ke saath...
Josh Malihabadi
ab tak na khabar thi mujhe ujDe hue ghar ki vo aae to ghar be-sar-o-saman nazar aaya...
Meer Anees
chhae phulon se bhi sayyad to aabad na ho vo qafas kya jo tah-e-daman-e-sayyad na ho...
Jigar Moradabadi
ham ishq ke maaron ka itna hi fasana hai rone ko nahin koi hansne ko zamana hai...
Jigar Moradabadi
phuul khile hain gulshan gulshan lekin apna apna daaman...
Jigar Moradabadi
aankhon ka tha qusur na dil ka qusur tha aaya jo mere samne mera ghurur tha...
Hasrat Mohani
us na-khuda ke zulm o sitam haae kya karun kashti miri Duboi hai sahil ke aas-paas...
Hasrat Mohani
hasrat jo sun rahe hain vo ahl-e-vafa ka haal is mein bhi kuchh fareb tiri dastan ke hain...
Bashir Badr
main chup raha to aur ghalat-fahmiyan baDhin vo bhi suna hai us ne jo main ne kaha nahin...
Wasi Shah
hazaron mausamon ki hukmarani hai mire dil par wasi main jab bhi hansta hun to aankhen bhiig jaati hain...
Amjad Islam Amjad
zindagi dard bhi dava bhi thi ham-safar bhi gurez-pa bhi thi...
Amjad Islam Amjad
aankhon mein kaise tan gai divar-e-be-hisi sinon mein ghuT ke rah gai aavaz kis tarah...
Nida Fazli
us ke dushman hain bahut aadmi achchha hoga vo bhi meri hi tarah shahr mein tanha hoga...
Nida Fazli
har taraf har jagah be-shumar aadmi phir bhi tanhaiyon ka shikar aadmi...
Nida Fazli
kahta hai koi kuchh to samajhta hai koi kuchh lafzon se juda ho gae lafzon ke maani...
Munawwar Rana
ham nahin the to kya kami thi yahan ham na honge to kya kami hogi...
Munawwar Rana
bachchon ki fees un ki kitaben qalam davat meri gharib aankhon mein school chubh gaya...
Munawwar Rana
mire bachchon mein saari aadatain maujud hain meri to phir in bad-nasibon ko na kyun urdu zaban aai...
Shakeel Badayuni
kya hasin khvab mohabbat ne dikhaya tha hamein khul gai aankh to tabir pe rona aaya...
Shakeel Badayuni
dil ki taraf shakeel tavajjoh zarur ho ye ghar ujaD gaya to basaya na jaega...
Nasir Kazmi
ye subh ki safediyan ye dopahar ki zardiyan ab aaine mein dekhta hun main kahan chala gaya...
Nasir Kazmi
zara si der Thaharne de ai gham-e-duniya bula raha hai koi baam se utar ke mujhe...
Mohsin Naqvi
kyun tire dard ko den tohmat-e-virani-e-dil zalzalon mein to bhare shahr ujaD jaate hain...
Habib Jalib
dil ki baat labon par laa kar ab tak ham dukh sahte hain ham ne suna tha is basti mein dil vaale bhi rahte hain...
Altaf Hussain Hali
ek raushan dimagh tha na raha shahar mein ik charagh tha na raha...
Altaf Hussain Hali
sakht mushkil hai sheva-e-taslim ham bhi aakhir ko ji churane lage...
Noon Meem Rashid
gham-e-aashiqi mein girah-kusha na khirad hui na junun hua vo sitam sahe ki hamein raha na pa.e-khirad na sar-e-junun...
Zehra Nigah
jin baaton ko sunna tak baar-e-khatir tha aaj unhin baaton se dil bahlae hue hun...
Kishwar Naheed
use hi baat sunane ko dil nahin karta vo shakhs jis ke liye zindagi samaat thi...
Kishwar Naheed
ab to badan ke jalne ki bu shahr bhar mein hai kahna bhi narava hai so kahta nahin koi...
Ameer Minai
putliyan tak bhi to phir jaati hain dekho dam-e-naza vaqt paDta hai to sab aankh chura jaate hain...
Ameer Minai
puchha na jaega jo vatan se nikal gaya be-kaar hai jo daant dahan se nikal gaya...
Ameer Minai
ho gaya band dar-e-mai-kada kya qahr hua shauq-e-pa-bos-e-hasinan jo tujhe tha ai dil...
Jan Nisar Akhtar
dilli kahan gaiin tire kuchon ki raunaqen galiyon se sar jhuka ke guzarne laga hun main...
Jan Nisar Akhtar
sharm aati hai ki us shahr mein ham hain ki jahan na mile bhiik to lakhon ka guzara hi na ho...
Jan Nisar Akhtar
guzar gaya hai koi lamha-e-sharar ki tarah abhi to main use pahchan bhi na paaya tha...
Khwaja Meer Dard
raunde hai naqsh-e-pa ki tarah khalq yaan mujhe ai umr-e-rafta chhoD gai tu kahan mujhe...
Mohammad Rafi Sauda
fikr-e-maash ishq-e-butan yaad-e-raftagan is zindagi mein ab koi kya kya kiya kare...
Mohammad Rafi Sauda
kaun kisi ka gham khaata hai kahne ko gham-khvar hai duniya...
Mohammad Rafi Sauda
sauda jahan mein aa ke koi kuchh na le gaya jaata hun ek main dil-e-pur-aarzu liye...
Kaleem Aajiz
talkhiyan is mein bahut kuchh hain maza kuchh bhi nahin zindagi dard-e-mohabbat ke siva kuchh bhi nahin...
Kaleem Aajiz
ik ghar bhi salamat nahin ab shahr-e-vafa mein tu aag lagane ko kidhar jaae hai pyaare...
Iftikhar Arif
dil kabhi khvab ke pichhe kabhi duniya ki taraf ek ne ajr diya ek ne ujrat nahin di...
Farhat Ehsas
hamara zinda rahna aur marna ek jaisa hai ham apne yaum-e-paidaish ko bhi barsi samajhte hain...
Farhat Ehsas
koi dariya ki taraf jaane ko tayyar nahin haath sab ke hain magar koi alam-dar nahin...
Waseem Barelvi
kisi ne rakh diye mamta-bhare do haath kya sar par mire andar koi bachcha bilak kar rone lagta hai...
Waseem Barelvi
ik shaakh se uDa tha parindon ka qafila uDne ke baad sab ki uDanen juda huiin...
Tehzeeb Hafi
Us ki marzi wo jise paas bitha le apne Is pe kya ladna falan meri jagah baith gaya...
Tehzeeb Hafi
Wo ik chiragh-kada jis mein kuch nahi tha mera Jo jal rahi thi wo qindeel bhi parayi thi...
Tehzeeb Hafi
Ab to khwab-kade se bahar paon rakh Laut gaye hain sab fariyadi shahzadi...
Dushyant Kumar
kahan to tai tha charaghan har ek ghar ke liye kahan charagh mayassar nahin shahar ke liye...
Dushyant Kumar
na ho qamiz to paanv se peT dhak lenge ye log kitne munasib hain is safar ke liye...
Dushyant Kumar
in thiThurti ungliyon ko is lapaT par senk lo dhuup ab ghar ki kisi divar par hogi nahin...
Hafeez Jalandhari
be-taalluq zindagi achchhi nahin zindagi kya maut bhi achchhi nahin...
Hafeez Jalandhari
aankh kam-bakht se us bazm mein aansu na ruka ek qatre ne Duboya mujhe dariya ho kar...
Hafeez Jalandhari
mire Duub jaane ka baais na puchho kinare se Takra gaya tha safina...
Explore more on Diwan E Sukhan