DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Wine

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
ye masail-e-tasavvuf ye tira bayan ghalib tujhe ham vali samajhte jo na baada-khvar hota...
Mirza Ghalib
qarz ki piite the mai lekin samajhte the ki haan rang laavegi hamari faqa-masti ek din...
Mirza Ghalib
pila de ok se saaqi jo ham se nafrat hai piyala gar nahin deta na de sharab to de...
Faiz Ahmad Faiz
tez hai aaj dard-e-dil saaqi talKHi-e-mai ko tez-tar kar de...
Faiz Ahmad Faiz
sajao bazm ghazal gaao jaam taaza karo bahut sahi gham-e-giti sharab kam kya hai...
Meer Taqi Meer
miir un niim-baaz aankhon mein saari masti sharab ki si hai...
Jaun Elia
miri sharab ka shohra hai ab zamane mein so ye karam hai to kis ka hai ab bhi aa jao...
Dagh Dehlvi
lutf-e-mai tujh se kya kahun zahid haae kam-bakht tu ne pi hi nahin...
Akbar Allahabadi
dukhtar-e-raz ne uTha rakkhi hai aafat sar par khairiyat guzri ki angur ke beTa na hua...
Akbar Allahabadi
shaikh ki davat mein mai ka kaam kya ehtiyatan kuchh manga li jaegi...
Daya Shankar Naseem
chala dukhtar-e-raz ko le kar jo saaqi farishta hue saath ghar dekhne ko...
Mohammad Rafi Sauda
kaifiyyat-e-chashm us ki mujhe yaad hai sauda saghar ko mire haath se lijo ki chala main...
Mohammad Rafi Sauda
saaqi gai bahaar rahi dil mein ye havas tu minnaton se jaam de aur main kahun ki bas...
Mohammad Rafi Sauda
gar ho sharab o khalvat o mahbub-e-khub-ru zahid qasam hai tujh ko jo tu ho to kya kare...
Khalilur Rahman Azmi
hazar tarah ki mai pi hazar tarah ke zahr na pyaas hi bujhi apni na hausla nikla...
Khumar Barabankavi
jaam-ba-dast-o-mai-ba-jaam yun hi guzar subh-o-shaam zeest ki talkhiyan mudaam pee ke pila ke bhool ja...
Mohammad Alvi
raat mili tanhai mili aur jaam mila ghar se nikle to kya kya aaram mila...
Saghar Siddiqui
hooron ki talab aur mai o saghar se hai nafrat zahid tire irfan se kuchh bhool hui hai...
Saghar Siddiqui
chhalke hue the jaam pareshan thi zulf-e-yaar kuchh aise hadsat se ghabra ke pee gaya...
Saghar Siddiqui
ek naghma ik taara ek ghuncha ek jaam ai gham-e-dauran gham-e-dauran tujhe mera salam...
Shad Azimabadi
kahan se lauan sabr-e-hazrat-e-ayyoob ai saaqi khum aayega surahi aayegi tab jaam aayega...
Shad Azimabadi
nigah-e-naaz se saqi ka dekhna mujh ko mira wo haath mein saghar utha ke rah jaana...
Yagana Changezi
waiz ki aankhein khul gayin peete hi saqiya ye jaam-e-mai tha ya koi dariya-e-noor tha...
Yagana Changezi
wahi saqi wahi saghar wahi sheesha wahi baada magar lazim nahin har ek par yaksan asar hona...
Yagana Changezi
door se dekhne ka 'yaas' gunahgar hoon main aashna tak na hue lab kabhi paimane se...
Yagana Changezi
rang badla phir hawa ka mai-kashon ke din phire phir chali baad-e-saba phir mai-kade ka dar khula...
Nazeer Akbarabadi
mai pee ke jo girta hai to lete hain use thaam nazron se gira jo use phir kis ne sambhala...
Nazeer Akbarabadi
door se aaye the saqi sun ke mai-khane ko ham bas taraste hi chale afsos paimane ko ham...
Nazeer Akbarabadi
mai bhi hai meena bhi hai saghar bhi hai saqi nahin dil mein aata hai laga dein aag mai-khane ko ham...
Nazeer Akbarabadi
sar-chashma-e-baqa se hargiz na aab laao hazrat khizar kahin se ja kar sharab laao...
Nazeer Akbarabadi
badi ehtiyat talab hai ye jo sharab sagar dil mein hai jo chhalak gayi to chhalak gayi jo bhari rahi to bhari rahi...
Nazeer Akbarabadi
qismat mein gar hamari ye mai hai to saqiya be-ikhtiyar aap se sheesha karega jast...
Explore more on Diwan E Sukhan