Zaban

Poetry Collection

یا رب وہ نہ سمجھے ہیں نہ سمجھیں گے مری بات
دے اور دل ان کو جو نہ دے مجھ کو زباں اور
या-रब वो न समझे हैं न समझेंगे मिरी बात
दे और दिल उन को जो न दे मुझ को ज़बाँ और
ya-rab vo na samjhe hain na samjhenge miri baat
de aur dil un ko jo na de mujh ko zaban aur
ہر صدا پر لگے ہیں کان یہاں
دل سنبھالے رہو زباں کی طرح
हर सदा पर लगे हैं कान यहाँ
दिल सँभाले रहो ज़बाँ की तरह
har sada par lage hain kaan yahan
dil sambhaale raho zaban ki tarah
بول کہ لب آزاد ہیں تیرے
بول زباں اب تک تیری ہے
تیرا ستواں جسم ہے تیرا
بول کہ جاں اب تک تیری ہے

دیکھ کہ آہن گر کی دکاں میں
تند ہیں شعلے سرخ ہے آہن
کھلنے لگے قفلوں کے دہانے
پھیلا ہر اک زنجیر کا دامن

بول یہ تھوڑا وقت بہت ہے
جسم و زباں کی موت سے پہلے
بول کہ سچ زندہ ہے اب تک
بول جو کچھ کہنا ہے کہہ لے
बोल कि लब आज़ाद हैं तेरे
बोल ज़बाँ अब तक तेरी है
तेरा स्तवाँ जिस्म है तेरा
बोल कि जाँ अब तक तेरी है

देख कि आहिन-गर की दुकाँ में
तुंद हैं शोअले सुर्ख़ है आहिन
खुलने लगे क़ुफ़्लों के दहाने
फैला हर इक ज़ंजीर का दामन

बोल ये थोड़ा वक़्त बहुत है
जिस्म-ओ-ज़बाँ की मौत से पहले
बोल कि सच ज़िंदा है अब तक
बोल जो कुछ कहना है कह ले
Bol ki lab azaad hain tere
Bol zaban ab tak teri hai
Tera sutwan jism hai tera
Bol ki jaan ab tak teri hai

Dekh ki aahan-gar ki dukan mein
Tund hain shole surkh hai aahan
Khulne lage quflon ke dahane
Phaila har ek zanjeer ka daman

Bol ye thoda waqt bahut hai
Jism-o-zaban ki maut se pehle
Bol ki sach zinda hai ab tak
Bol jo kuch kehna hai keh le
جس کی اردو زبان ہوتی ہے
اس کی باتوں میں جان ہوتی ہے

میری نظموں کی شان ہے اردو
سب زبانوں کی جان ہے اردو

چاہتوں کا جہان ہے اردو
کتنی پیاری زبان ہے اردو

سارے بھارت کی جان ہے اردو
پیار کی داستان ہے اردو

راحتوں کا نشان ہے اردو
جوہروں کی بھی کان ہے اردو
जिस की उर्दू ज़बान होती है
उस की बातों में जान होती है

मेरी नज़्मों की शान है उर्दू
सब ज़बानों की जान है उर्दू

चाहतों का जहान है उर्दू
कितनी प्यारी ज़बान है उर्दू

सारे भारत की जान है उर्दू
प्यार की दास्तान है उर्दू

राहतों का निशान है उर्दू
जौहरों की भी कान है उर्दू
jis ki urdu zaban hoti hai
us ki baaton mein jaan hoti hai

meri nazmon ki shaan hai urdu
sab zabanon ki jaan hai urdu

chahaton ka jahan hai urdu
kitni pyari zaban hai urdu

sare bharat ki jaan hai urdu
pyar ki dastan hai urdu

rahaton ka nishan hai urdu
jauharon ki bhi kaan hai urdu
Aur Shayari Padhein →
SUKHAN
اردو
हिंदी
Roman

DIWAN E SUKHAN

"Har ek baat pe kehte ho..."
Urdu Hindi Roman
Ghazalein
Full Ghazals
Ash'aar
Couplets Feed
Nazmein
Story in Verse
Bayaaz
My Diary
Takhleeq
Create & Submit Poetry
View All
View All
Blog e Sukhan

Adab aur Dastan: Shayaron ki Mehfil

Urdu adab ke sunehre daur ki kahaniyan, azeem shayaron ke posheeda qisse, aur unki zindagiyon ke naye pehlu ek hi jagah.

Mazameen Padhein
Ishtehaar

Aapka Brand Yahan!

Diwan E Sukhan ke hazaron padhne walon tak apna paigham pohnchayein. Yeh khaas jagah premium brands aur karobar ke liye banayi gayi hai.
(TAP TO LEARN MORE!)

Ad by Fiza Perfumes Ishtehaar Ke Liye Rabta Karein
Sponsored Space
Message