DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Aesthetic text urdu
Poetry Collection
Ash'aar
Ahmad Faraz
na shab o roz hi badle hain na haal achchha hai kis barhaman ne kaha tha ki ye saal achchha hai...
Ahmad Faraz
chup-chaap apni aag mein jalte raho faraz duniya to arz-e-haal se be-abru kare...
Ahmad Faraz
do ghaDi us se raho duur to yun lagta hai jis tarah saya-e-divar se divar juda...
Faiz Ahmad Faiz
mai-khana salamat hai to ham surkhi-e-mai se taziin-e-dar-o-baam-e-haram karte rahenge...
Meer Taqi Meer
khilna kam kam kali ne sikha hai us ki aankhon ki niim-khvabi se...
Allama Iqbal
anokhi vaz.a hai saare zamane se nirale hain ye aashiq kaun si basti ke ya-rab rahne vaale hain...
Jaun Elia
jaate jaate aap itna kaam to kije mira yaad ka saara sar-o-saman jalate jaiye...
Jaun Elia
bhul jaana nahin gunah use yaad karna use savab nahin...
Jaun Elia
husn kahta tha chheDne vaale chheDna hi to bas nahin chhu bhi...
Parveen Shakir
aamad pe teri itr o charagh o subu na hon itna bhi buud-o-baash ko saada nahīñ kiyā...
Parveen Shakir
shab ki tanhai mein ab to akasr guftugu tujh se raha karti hai...
Momin Khan Momin
ghairon pe khul na jaae kahin raaz dekhna meri taraf bhi ghamza-e-ghammaz dekhna...
Momin Khan Momin
ab shor hai misal-e-judi is khiram ko yun kaun jaanta tha qayamat ke naam ko...
Sahir Ludhianvi
dulhan bani hui hain rahen jashn manao saal-e-nau ke...
Firaq Gorakhpuri
kisi ka yun to hua kaun umr bhar phir bhi ye husn o ishq to dhoka hai sab magar phir bhi...
Firaq Gorakhpuri
ishq abhi se tanha tanha hijr ki bhi aai nahin naubat...
Dagh Dehlvi
ye maza tha dil-lagi ka ki barabar aag lagti na tujhe qarar hota na mujhe qarar hota...
Dagh Dehlvi
dil hi to hai na aae kyun dam hi to hai na jaae kyun ham ko khuda jo sabr de tujh sa hasin banae kyun...
Akbar Allahabadi
kuchh nahin kar-e-falak hadsa-pashi ke siva falsafa kuchh nahin alfaz-tarashi ke siva...
Akbar Allahabadi
mujh ko to dekh lene se matlab hai naseha bad-khu agar hai yaar to ho khub-ru to hai...
Josh Malihabadi
guzar raha hai idhar se to muskurata ja charagh-e-majlis-e-ruhaniyan jalata ja...
Jigar Moradabadi
kuchh khaTakta to hai pahlu mein mire rah rah kar ab khuda jaane tiri yaad hai ya dil mera...
Jigar Moradabadi
sabhi andaz-e-husn pyare hain ham magar sadgi ke maare hain...
Jigar Moradabadi
gudaz-e-ishq nahin kam jo main javan na raha vahi hai aag magar aag mein dhuan na raha...
Hasrat Mohani
shikva-e-gham tire huzur kiya ham ne be-shak baDa qusur kiya...
Hasrat Mohani
mujh se tanhai mein gar miliye to diije galiyan aur bazm-e-ghair mein jaan-e-haya ho jaiye...
Bashir Badr
isi shahr mein kai saal se mire kuchh qaribi aziz hain unhein meri koi khabar nahin mujhe un ka koi pata nahin...
Bashir Badr
bahut dinon se mire saath thi magar kal shaam mujhe pata chala vo kitni khubsurat hai...
Amjad Islam Amjad
daam-e-khushbu mein giraftar saba hai kab se lafz izhar ki uljhan mein paDa hai kab se...
Rahat Indori
ik mulaqat ka jaadu ki utarta hi nahin tiri khushbu miri chadar se nahin jaati hai...
Rahat Indori
soe rahte hain oDh kar khud ko ab zarurat nahin razai ki...
Qateel Shifai
ye Thiik hai nahin marta koi judai mein khuda kisi ko kisi se magar juda na kare...
Qateel Shifai
tark-e-vafa ke baad ye us ki ada qateel mujh ko satae koi to us ko bura lage...
Nida Fazli
bachchon ke chhoTe hathon ko chaand sitare chhune do chaar kitaben paDh kar ye bhi ham jaise ho jaenge...
Nida Fazli
baagh mein jaane ke aadab hua karte hain kisi titli ko na phulon se uDaya jaae...
Nida Fazli
din saliqe se uga raat Thikane se rahi dosti apni bhi kuchh roz zamane se rahi...
Munawwar Rana
kal apne-aap ko dekha tha maan ki aankhon mein ye aaina hamein buDha nahin batata hai...
Munawwar Rana
vusat-e-sahra bhi munh apna chhupa kar nikli saari duniya mire kamre ke barabar nikli...
Shakeel Badayuni
kanTon se guzar jaata hun daaman ko bacha kar phulon ki siyasat se main begana nahin hun...
Shakeel Badayuni
mushkil tha kuchh to ishq ki baazi ko jiitna kuchh jiitne ke khauf se haare chale gae...
Nasir Kazmi
kuchh yaadgar-e-shahr-e-sitamgar hi le chalen aae hain is gali mein to patthar hi le chalen...
Nasir Kazmi
kabhi zulfon ki ghaTa ne ghera kabhi aankhon ki chamak yaad aai...
Mohsin Naqvi
jin ashkon ki phiki lau ko ham bekar samajhte the un ashkon se kitna raushan ik tarik makan hua...
Gulzar
aaina dekh kar tasalli hui ham ko is ghar mein jaanta hai koi...
Gulzar
apne maazi ki justuju mein bahaar piile patte talash karti hai...
Ibn-e-Insha
garm aansu aur ThanDi aahen man mein kya kya mausam hain is baghiya ke bhed na kholo sair karo khamosh raho...
Ibn-e-Insha
sun to liya kisi naar ki khatir kaaTa koh nikali nahr ek zara se qisse ko ab dete kyun ho tuul miyan...
Ibn-e-Insha
kin rahon se ho kar aai ho kis gul ka sandesa lai ho ham baagh mein khush khush baiThe the kya kar diya aa ke saba tum ne...
Altaf Hussain Hali
qalaq aur dil mein siva ho gaya dilasa tumhaara bala ho gaya...
Zehra Nigah
der tak raushni rahi kal raat main ne oDhi thi chandni kal raat...
Ada Jafarey
haath kanTon se kar liye zakhmi phuul baalon mein ik sajane ko...
Ada Jafarey
ye kis ne naqab apne rukh se ulaT di gale mil rahe hain baham kufr-o-iiman...
Kishwar Naheed
laraz rahi hai zamin sahmi laDkiyon ki tarah pukarti hai ki tanha na chhoD kar jaana...
Fahmida Riaz
chalte chalte kuchh tham jaana phir bojhal qadmon se chalna ye kaisi kasak si baaqi hai jab paanv mein vo kanTa bhi nahin...
Ameer Minai
kaun si ja hai jahan jalva-e-mashuq nahin shauq-e-didar agar hai to nazar paida kar...
Ameer Minai
javan hone lage jab vo to ham se kar liya parda haya yak-lakht aai aur shabab aahista aahista...
Ameer Minai
baaqi na dil mein koi bhi ya rab havas rahe chaudah baras ke sin mein vo lakhon baras rahe...
Ameer Minai
yaar pahlu mein hai tanhai hai kah do nikle aaj kyun dil mein chhupi baiThi hai hasrat meri...
Ameer Minai
shakhon se barg-e-gul nahin jhaDte hain baagh mein zevar utar raha hai urus-e-bahaar ka...
Ameer Minai
raaste aur tavazoa mein hai rabt-e-qalbi jis tarah laam alif mein hai alif laam mein hai...
Daya Shankar Naseem
dozakh o jannat hain ab meri nazar ke samne ghar raqibon ne banaya us ke ghar ke samne...
Daya Shankar Naseem
maani-e-raushan jo hon to sau se behtar ek sher matla-e-khurshid kaafi hai pa.e-divan-e-subh...
Jan Nisar Akhtar
maana ki rang rang tira pairahan bhi hai par is mein kuchh karishma-e-aks-e-badan bhi hai...
Ali Sardar Jafri
tu vo bahaar jo apne chaman mein aavara main vo chaman jo baharan ke intizar mein hai...
Asrarul Haq Majaz
kuchh tumhaari nigah kafir thi kuchh mujhe bhi kharab hona tha...
Asrarul Haq Majaz
aankh se aankh jab nahin milti dil se dil ham-kalam hota hai...
Asrarul Haq Majaz
hijr mein kaif-e-iztirab na puchh khun-e-dil bhi sharab hona tha...
Siraj Aurangabadi
bolta hun jo vo bulata hai tan ke pinjre mein us ka tota hun...
Siraj Aurangabadi
tiri abru hai mehrab-e-mohabbat namaz-e-ishq mere par hui farz...
Siraj Aurangabadi
mufti-e-naz ne diya fatva khun-e-aashiq halal karta hai...
Siraj Aurangabadi
tujh zulf mein dil ne gum kiya raah is prem gali kun intiha naiin...
Siraj Aurangabadi
hiran sab hain barati aur divana ban ka dulha hai pahar khilat kun uryani ki phirta hai bana chhaila...
Siraj Aurangabadi
junun ke shahr mein naiin kam-ayar kun hurmat main naqd-e-qalb kun kanTe mein dil ke tol chuka...
Wali Dakni
chahta hai is jahan mein gar bahisht ja tamasha dekh us rukhsar ka...
Wali Dakni
har zarra us ki chashm mein labrez-e-nur hai dekha hai jis ne husn-e-tajalli bahaar ka...
Shahryar
justuju jis ki thi us ko to na paaya ham ne is bahane se magar dekh li duniya ham ne...
Shahryar
jama karte rahe jo apne ko zarra zarra vo ye kya jaanen bikharne mein sukun kitna hai...
Shahryar
bahut shor tha jab samaat gai bahut bhiiD thi jab akele hue...
Shahryar
ajiib chiiz hai ye vaqt jis ko kahte hain ki aane paata nahin aur biit jaata hai...
Shahryar
tujh se mil kar bhi na tanhai miTegi meri dil mein rah rah ke yahi baat khaTakti kyun hai...
Shahryar
kahne ko to har baat kahi tere muqabil lekin vo fasana jo mire dil pe raqam hai...
Khwaja Meer Dard
sair kar duniya ki ghafil zindagani phir kahan zindagi gar kuchh rahi to ye javani phir kahan...
Khwaja Meer Dard
khul nahin sakti hain ab aankhen miri ji mein ye kis ka tasavvur aa gaya...
Khwaja Meer Dard
naala fariyad aah aur zaari aap se ho saka so kar dekha...
Bahadur Shah Zafar
tu kahin ho dil-e-divana vahan pahunchega shama hogi jahan parvana vahan pahunchega...
Bahadur Shah Zafar
khaksari ke liye garche banaya tha mujhe kaash khaak-e-dar-e-janana banaya hota...
Mohammad Rafi Sauda
abas tu ghar basata hai miri aankhon mein ai pyaare kisi ne aaj tak dekha bhi hai paani pe ghar Thahra...
Mohammad Rafi Sauda
mauj-e-nasim aaj hai aaluuda gard se dil khaak ho gaya hai kisi be-qarari ka...
Noshi Gilani
us shahr mein kitne chehre the kuchh yaad nahin sab bhuul gae ik shakhs kitabon jaisa tha vo shakhs zabani yaad hua...
Kaleem Aajiz
kal kahte rahe hain vahi kal kahte raheinge har daur mein ham un pe ghazal kahte raheinge...
Kaleem Aajiz
mira haal puchh ke ham-nashin mire soz-e-dil ko hava na de bas yahi dua main karun hun ab ki ye gham kisi ko khuda na de...
Kaleem Aajiz
apna dil siina-e-ashaar mein rakh dete hain kuchh haqiqat bhi zaruri hai fasane ke liye...
Iftikhar Arif
koi to phuul khilae dua ke lahje mein ajab tarah ki ghuTan hai hava ke lahje mein...
Iftikhar Arif
umid-o-bim ke mehvar se haT ke dekhte hain zara si der ko duniya se kaT ke dekhte hain...
Iftikhar Arif
har ik se puchhte phirte hain tere khana-ba-dosh azab-e-dar-ba-dari kis ke ghar mein rakkha jaae...
Iftikhar Arif
vo jis ke naam ki nisbat se raushni tha vajud khaTak raha hai vahi aaftab aankhon mein...
Iftikhar Arif
yahi lahja tha ki mear-e-sukhan Thahra tha ab isi lahja-e-be-bak se khauf aata hai...
Iftikhar Arif
hamein bhi aafiyat-e-jaan ka hai khayal bahut hamein bhi halqa-e-na-motabar mein rakkha jaae...
Farhat Ehsas
baDa vasia hai us ke jamal ka manzar vo aaine mein to bas mukhtasar sa rahta hai...
Farhat Ehsas
kabhi is raushni ki qaid se baahar bhi niklo tum hujum-e-husn ne saara sarapa gher rakkha hai...
Farhat Ehsas
mere har misre pe us ne vasl ka misra lagaya sab adhure sher shab bhar mein mukammal ho gae the...
Farhat Ehsas
mire ashaar hain vo aasmani khvab jin ko miri miTTi ke honThon par utara ja raha hai...
Muneer Niyazi
aavaz de ke dekh lo shayad vo mil hi jaae varna ye umr bhar ka safar raegan to hai...
Muneer Niyazi
apni hi tegh-e-ada se aap ghayal ho gaya chaand ne paani mein dekha aur pagal ho gaya...
Muneer Niyazi
kisi akeli shaam ki chup mein giit purane gaa ke dekho...
Muneer Niyazi
liye phira jo mujhe dar-ba-dar zamane mein khayal tujh ko dil-e-be-qarar kis ka tha...
Muneer Niyazi
ye namaz-e-asr ka vaqt hai ye ghaDi hai din ke zaval ki...
Muneer Niyazi
chaand chaDhta dekhna behad samundar par muneer dekhna phir bahr ko us ki kashish se jaagta...
Muneer Niyazi
din bhar jo suraj ke Dar se galiyon mein chhup rahte hain shaam aate hi aankhon mein vo rang purane aa jaate hain...
Muneer Niyazi
dasht-e-baran ki hava se phir hara sa ho gaya main faqat khushbu se us ki taaza-dam sa ho gaya...
Waseem Barelvi
apne chehre se jo zahir hai chhupaen kaise teri marzi ke mutabiq nazar aaen kaise...
Waseem Barelvi
mohabbat mein bichhaDne ka hunar sab ko nahin aata kisi ko chhoDna ho to mulaqaten baDi karna...
Waseem Barelvi
thake-haare parinde jab basere ke liye lauTen saliqa-mand shakhon ka lachak jaana zaruri hai...
Waseem Barelvi
tire khayal ke hathon kuchh aisa bikhra hun ki jaise bachcha kitaben idhar udhar kar de...
Waseem Barelvi
vasim dekhna muD muD ke vo usi ki taraf kisi ko chhoD ke jaana bhi to nahin aaya...
Waseem Barelvi
vo khvab the jinhein ham mil ke dekh sakte the ye baar-e-zist hai tanha uThana paDta hai...
Zafar Iqbal
mujh se chhuDvae mire saare usuul us ne 'zafar' kitna chaalaak tha maara mujhe tanha kar ke...
Zafar Iqbal
husn us ka usi maqam pe hai ye musafir safar nahin karta...
Zafar Iqbal
phir ja rukegi bujhte kharabon ke des mein suuni sulagti sochti sunsan si saDak...
Zafar Iqbal
barish ki bahut tez hava mein kahin mujh ko darpesh tha ik marhala jalne ki tarah ka...
Zafar Iqbal
meri suraj se mulaqat bhi ho sakti hai sukhne Daal diya jaun jo dhoya hua main...
Zafar Iqbal
hamara ishq ravan hai rukavaton mein zafar ye khvab hai kisi divar se nahin rukta...
Zafar Iqbal
ik duur ke safar pe ravana bhi hun zafar sust-ul-vajud ghar mein paDa bhi hua hun main...
Zafar Iqbal
aankhon mein raakh Daal ke nikla hun sair ko shakhon pe nachte hain sharar mere samne...
Zafar Iqbal
phir sar-e-subh kisi dard ke dar va karne dhaan ke khet se ik mauj-e-hava aai hai...
Arzoo Lakhnavi
puchha jo un se chaand nikalta hai kis tarah zulfon ko rukh pe Daal ke jhaTka diya ki yun...
Arzoo Lakhnavi
Daal raha hai kaam mein mushkil mushkil mein kaam aane vaala...
Arzoo Lakhnavi
kis gul ki bu hai daman-e-dil mein basi hui chalti hai chheDti hui baad-e-saba mujhe...
Arzoo Lakhnavi
koi matvali ghaTa thi ki javani ki umang ji baha le gaya barsat ka pahla paani...
Tehzeeb Hafi
Yoon nahi hai ke faqat main hi usay chahta hoon Jo bhi is ped ki chhaon mein gaya baith gaya...
Tehzeeb Hafi
Door umeed ki khidkiyon se koi jhankta hai yahan Aur mere gali chhodne tak daricha nahin chhodta...
Shaikh Ibrahim Zauq
ek aansu ne Duboya mujh ko un ki bazm mein buund bhar paani se saari aabru paani hui...
Shaikh Ibrahim Zauq
moazzin marhaba bar-vaqt bola tiri aavaz makke aur madine...
Majrooh Sultanpuri
shab-e-intizar ki kashmakash mein na puchh kaise sahar hui kabhi ik charagh jala diya kabhi ik charagh bujha diya...
Majrooh Sultanpuri
kuchh bata tu hi nasheman ka pata main to ai baad-e-saba bhuul gaya...
Dushyant Kumar
kaise aakash mein surakh nahin ho sakta ek patthar to tabiat se uchhalo yaaro...
Ali Zaryoun
baat bhi kijiye dekh bhi lijiye dekh bhi lijiye baat bhi kijiye...
Makhdoom Mohiuddin
bazm se duur vo gaata raha tanha tanha so gaya saaz pe sar rakh ke sahar se pahle...
Hafeez Jalandhari
mujh se kya ho saka vafa ke siva mujh ko milta bhi kya saza ke siva...
Hafeez Jalandhari
ba-zahir saadgi se muskura kar dekhne vaalo koi kam-bakht na-vaqif agar divana ho jaae...
Hafeez Jalandhari
main vo basti hun ki yaad-e-raftagan ke bhes mein dekhne aati hai ab meri hi virani mujhe...
Hafeez Jalandhari
ye bhi ik dhoka tha nairang-e-tilism-e-aql ka apni hasti par bhi hasti ka hua dhoka mujhe...
Explore more on Diwan E Sukhan