DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Beloved

Poetry Collection

Ash'aar

Mohammad Rafi Sauda
sauda jo tira haal hai itna to nahin vo kya jaaniye tu ne use kis aan mein dekha...
Irfan Siddiqi
main ne itna use chaha hai ki wo jaan-e-murad khud ko zanjeer-e-mohabbat se riha chahti hai...
Irfan Siddiqi
kya jazb-e-ishq mujh se ziyada tha ghair mein us ka habib us se juda kyun nahin hua...
Shad Azimabadi
dekhne wale ko tere dekhne aate hain log jo kashish tujh me thi ab wo tere deewane mein hai...
Shad Azimabadi
milega ghair bhi un ke gale ba-shauq ai dil halal karne mujhe eid ka hilal aaya...
Yagana Changezi
kaaba nahin ki saari khudai ko dakhl ho dil mein siwae yaar kisi ka guzar nahin...
Yagana Changezi
saqi main dekhta hoon zameen aasman ka farq arsh-e-bareen mein aur tire aastane mein...
Nazeer Akbarabadi
the ham to khud-pasand bahut lekin ishq mein ab hai wahi pasand jo ho yaar ko pasand...
Nazeer Akbarabadi
shahr-e-dil aabad tha jab tak wo shahr-ara raha jab wo shahr-ara gaya phir shahr-e-dil mein kya raha...
Nazeer Akbarabadi
na itna zulm kar ai chandni bahr-e-khuda chhup ja tujhe dekhe se yaad aata hai mujh ko mahtab apna...
Nazeer Akbarabadi
marta hai jo mahboob ki thokar pe 'nazeer' aah phir us ko kabhi aur koi lat nahin lagti...
Nazeer Akbarabadi
mazmoon-e-sard-mehri-e-jaanan raqam karun gar haath aaye kaghaz-e-kashmir ka waraq...
Nazeer Akbarabadi
phir ke nigah chaar-soo thahri usi ke ru-ba-ru us ne to meri chashm ko qibla-numa bana diya...
Nazeer Akbarabadi
wo kothe ka makan wo kaali aandhi wo sanam gul-roo ajab rangon ki thahri aa ke hera-pher aandhi mein...
Ismail Merathi
tu na ho ye to ho nahin sakta mera kya tha hua hua na hua...
Ismail Merathi
shaikh aur barhaman mein agar laag hai to ho donon shikar-e-ghamza usi dil-ruba ke hain...
Explore more on Diwan E Sukhan