DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

City

Poetry Collection

Ash'aar

Faiz Ahmad Faiz
ham sahal-talab kaun se farhad the lekin ab shahr mein tere koi ham sa bhi kahan hai...
Amjad Islam Amjad
saae larazte rahte hain shahron ki galiyon mein rahte the insan jahan ab dahshat rahti hai...
Farhat Ehsas
ye shahr vo hai ki koi khushi to kya deta kisi ne dil bhi dukhaya nahin bahut din se...
Mansoora Ahmad
Ajeeb wajh-e-mulaqat thi miri us se Ki wo bhi meri tarah shahr mein akela tha...
Shakeel Azmi
Haadse shahar ka dastoor bane jaate hain Ab yahan saya-e-deewar na dhoondhein koi...
Ahmad Mushtaq
mil hi jayega kabhi dil ko yaqeen rahta hai wo isi shahr ki galiyon mein kahin rahta hai...
Ahmad Mushtaq
sang uthana to badi baat hai ab shahr ke log aankh utha kar bhi nahin dekhte deewane ko...
Ahmad Nadeem Qasmi
gham-e-jaanan gham-e-dauran ki taraf yun aaya jaanib shahar chale dukhtar-e-dahqan jaise...
Irfan Siddiqi
ek ladka shahr ki raunaq mein sab kuchh bhool jaye ek budhiya roz chaukhat par diya raushan kare...
Irfan Siddiqi
wo jo ik shart thi wahshat ki utha di gai kya meri basti kisi sahra mein basa di gai kya...
Irfan Siddiqi
ham to sahra hue jaate the ki us ne aa kar shahr aabad kiya nahr-e-saba jaari ki...
Irfan Siddiqi
khiraj maang rahi hai wo shah-banu-e-shahr so ham bhi hadiya-e-dast-e-talab guzarte hain...
Khalilur Rahman Azmi
aur to koi batata nahin us shahr ka haal ishtiharat hi deewar ke padh kar dekhein...
Mohammad Alvi
'alvi' ye moajiza hai december ki dhoop ka saare makan shahr ke dhoye hue se hain...
Mohammad Alvi
aisa hangama na tha jangal mein shahr mein aaye to dar lagta tha...
Mohammad Alvi
sadiyon se kinare pe khada sookh raha hai is shahr ko dariya mein gira dena chahiye...
Rajinder Manchanda Bani
koi gosha khwab ka sa dhoond hi lete the ham shahr apna shahr bani be-aman aisa na tha...
Saleem Kausar
tu ne dekha nahin ik shakhs ke jaane se 'saleem' is bhare shahr ki jo shakl hui hai mujh mein...
Saleem Kausar
kaise hangama-e-fursat mein mile hain tujh se ham bhare shahr ki khalwat mein mile hain tujh se...
Saghar Siddiqui
ab shahr-e-aarzoo mein wo raanaiyan kahan hain gul-kade nidhal badi tez dhoop hai...
Saqi Faruqi
main apne shahr se mayoos ho ke laut aaya purane sog base the naye makanon mein...
Shariq Kaifi
raat thi jab tumhara shahr aaya phir bhi khidki to main ne khol hi li...
Yagana Changezi
kashish-e-lucknow are tauba phir wahi ham wahi aminabad...
Nazeer Akbarabadi
shahr-e-dil aabad tha jab tak wo shahr-ara raha jab wo shahr-ara gaya phir shahr-e-dil mein kya raha...
Ismail Merathi
tumhare dil se kudoorat mitaye to jaanein khula hai shahr mein ik mahkama safai ka...
Ismail Merathi
samajhte hain sheron ko bhi narm chaara ghazalan-e-shahri se hoshyar rahna...
Aziz Bano Darab Wafa
hamari be-basi shahron ki deewaron pe chipki hai hamein dhoondegi kal duniya purane ishtihaaron mein...
Aziz Bano Darab Wafa
shahr khwabon ka sulagta raha aur shahr ke log be-khabar soye hue apne makanon mein mile...
Explore more on Diwan E Sukhan