DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Deep meaning urdu

Poetry Collection

Ash'aar

Ahmad Faraz
sab khvahishen puri hon faraz aisa nahin hai jaise kai ashaar mukammal nahin hote...
Ahmad Faraz
ek safar vo hai jis mein paanv nahin dil thakta hai...
Faiz Ahmad Faiz
zindagi kya kisi muflis ki qaba hai jis mein har ghaDi dard ke paivand lage jaate hain...
Meer Taqi Meer
miir-sahib zamana nazuk hai donon hathon se thamiye dastar...
Meer Taqi Meer
sarapa aarzu hone ne banda kar diya ham ko vagarna ham khuda the gar dil-e-be-muddaa hote...
Allama Iqbal
apne man mein Duub kar pa ja suragh-e-zindagi tu agar mera nahin banta na ban apna to ban...
Allama Iqbal
zahir ki aankh se na tamasha kare koi ho dekhna to dida-e-dil va kare koi...
Jaun Elia
ab jo rishton mein bandha hun to khula hai mujh par kab parind uD nahin paate hain paron ke hote...
Jaun Elia
kitni vahshat hai darmiyan-e-hujum jis ko dekho gaya hua hai kahin...
Parveen Shakir
kuchh to tire mausam hi mujhe raas kam aae aur kuchh miri miTTi mein baghavat bhi bahut thi...
Parveen Shakir
ek suraj tha ki taron ke gharane se uTha aankh hairan hai kya shakhs zamane se uTha...
Parveen Shakir
vaqt-e-rukhsat aa gaya dil phir bhi ghabraya nahin us ko ham kya khoyenge jis ko kabhi paaya nahin...
Sahir Ludhianvi
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya jab ji chaha masla kuchla jab ji chaha dhutkar diya...
Sahir Ludhianvi
ye bhog bhi ek tapasya hai tum tyaag ke maare kya jaano apman rachaita ka hoga rachna ko agar Thukraoge...
Dagh Dehlvi
le chala jaan miri ruuTh ke jaana tera aise aane se to behtar tha na aana tera...
Dagh Dehlvi
ham bhi kya zindagi guzar gae dil ki baazi laga ke haar gae...
Akbar Allahabadi
ishq nazuk-mizaj hai behad aql ka bojh uTha nahin sakta...
Akbar Allahabadi
falsafi ko bahs ke andar khuda milta nahin Dor ko suljha raha hai aur sira milta nahin...
Akbar Allahabadi
ham mein baaqi nahin ab khalid-e-jaan-baz ka rang dil pe ghalib hai faqat hafiz-e-shiraz ka rang...
Josh Malihabadi
tabassum ki saza kitni kaDi hai gulon ko khil ke murjhana paDa hai...
Bashir Badr
yahan libas ki qimat hai aadmi ki nahin mujhe gilas baDe de sharab kam kar de...
Amjad Islam Amjad
us ke lahje mein barf thi lekin chhu ke dekha to haath jalne lage...
Amjad Islam Amjad
ye jo hasil hamein har shai ki faravani hai ye bhi to apni jagah ek pareshani hai...
Amjad Islam Amjad
kun-fakan ke bhed se maula mujhe aagah kar kaun hun main gar yahan par dusra koi nahin...
Rahat Indori
na ham-safar na kisi ham-nashin se niklega hamare paanv ka kanta hamin se niklega...
Qateel Shifai
kis tarah apni mohabbat ki main takmil karun gham-e-hasti bhi to shamil hai gham-e-yaar ke saath...
Qateel Shifai
main ghar se teri tamanna pahan ke jab niklun barahna shahr mein koi nazar na aae mujhe...
Munawwar Rana
so jaate hain footpath pe akhbar bichha kar mazdur kabhi niind ki goli nahin khaate...
Shakeel Badayuni
chhupe hain laakh haq ke marhale gum-naam honTon par usi ki baat chal jaati hai jis ka naam chalta hai...
Nasir Kazmi
na mila kar udaas logon se husn tera bikhar na jaae kahin...
Nasir Kazmi
zindagi jin ke tasavvur se jila paati thi haae kya log the jo daam-e-ajal mein aae...
Mohsin Naqvi
vo lamha bhar ki kahani ki umr bhar mein kahi abhi to khud se taqaze the ikhtisar ke bhi...
Gulzar
phir vahin lauT ke jaana hoga yaar ne kaisi rihai di hai...
Ibn-e-Insha
kuchh kahne ka vaqt nahin ye kuchh na kaho khamosh raho ai logo khamosh raho haan ai logo khamosh raho...
Ada Jafarey
sab se baDa fareb hai khud zindagi ada is hila-ju ke saath hain ham bhi bahana-saaz...
Ada Jafarey
tu ne mizhgan uTha ke dekha bhi shahr khaali na tha makinon se...
Kishwar Naheed
kuchh din to malal us ka haq tha bichhDa to khayal us ka haq tha...
Ameer Minai
aahon se soz-e-ishq miTaya na jaega phunkon se ye charagh bujhaya na jaega...
Jan Nisar Akhtar
ab ye bhi nahin thiik ki har dard miTa den kuchh dard kaleje se lagane ke liye hain...
Siraj Aurangabadi
ishq aur aql mein hui hai shart jiit aur haar ka tamasha hai...
Bahadur Shah Zafar
na kohkan hai na majnun ki the mire hamdard main apna dard-e-mohabbat kahun to kis se kahun...
Mohammad Rafi Sauda
har sang mein sharar hai tere zuhur ka musa nahin jo sair karun koh-e-tuur ka...
Mohammad Rafi Sauda
kise taqat hai sharh-e-shauq us majlis mein karne ki uTha dene ke Dar se saans vaan lete hain rah rah ke...
Kaleem Aajiz
baharon ki nazar mein phuul aur kanTe barabar hain mohabbat kya karenge dost dushman dekhne vaale...
Kaleem Aajiz
vo baat zara si jise kahte hain gham-e-dil samjhane mein ik umr guzar jaae hai pyaare...
Iftikhar Arif
khud ko bikharte dekhte hain kuchh kar nahin paate hain phir bhi log khudaon jaisi baaten karte hain...
Iftikhar Arif
sipah-e-shaam ke neze pe aaftab ka sar kis ehtimam se parvar-digar-e-shab nikla...
Farhat Ehsas
andar ke hadson pe kisi ki nazar nahin ham mar chuke hain aur hamein is ki khabar nahin...
Muneer Niyazi
ik aur dariya ka samna tha muneer mujh ko main ek dariya ke paar utra to main ne dekha...
Muneer Niyazi
jurm aadam ne kiya aur nasl-e-aadam ko saza kaTta hun zindagi bhar main ne jo boya nahin...
Waseem Barelvi
charagh ghar ka ho mahfil ka ho ki mandir ka hava ke paas koi maslahat nahin hoti...
Zafar Iqbal
TakTaki baandh ke main dekh raha hun jis ko ye bhi ho sakta hai vo samne baiTha hi na ho...
Zafar Iqbal
jo yahan khud hi laga rakkhi hai chaaron jaanib ek din ham ne isi aag mein jal jaana hai...
Arzoo Lakhnavi
phail gai baalon mein sapedi chaunk zara karvaT to badal shaam se ghafil sone vaale dekh to kitni raat rahi...
Tehzeeb Hafi
Agar khuda ne banane ka ikhtiyar diya Alam banaunga barchhi nahin banaunga...
Majrooh Sultanpuri
bacha liya mujhe tufan ki mauj ne varna kinare vaale safina mira Dubo dete...
Ali Zaryoun
sukut-e-sham ka hissa tu mat bana mujh ko main rang hun so kisi mauj mein mila mujh ko...
Makhdoom Mohiuddin
na kisi aah ki aavaz na zanjir ka shor aaj kya ho gaya zindan mein ki zindan chup hai...
Explore more on Diwan E Sukhan