DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Depression quotes
Poetry Collection
Ash'aar
Jaun Elia
kya takalluf karen ye kahne mein jo bhi khush hai ham us se jalte hain...
Jaun Elia
ye bahut gham ki baat ho shayad ab to gham bhi ganva chuka hun main...
Jaun Elia
kal ka din haae kal ka din ai jaun kaash is raat ham bhi mar jaen...
Sahir Ludhianvi
gham aur khushi mein farq na mahsus ho jahan main dil ko us maqam pe laata chala gaya...
Sahir Ludhianvi
is rengti hayat ka kab tak uThaen baar bimar ab ulajhne lage hain tabib se...
Firaq Gorakhpuri
ab to un ki yaad bhi aati nahin kitni tanha ho gain tanhaiyan...
Akbar Allahabadi
gham-khan-e-jahan mein vaqat hi kya hamari ik na-shunida uf hain ik aah-e-be-asar hain...
Jigar Moradabadi
ab to ye bhi nahin raha ehsas dard hota hai ya nahin hota...
Jigar Moradabadi
mohabbat mein ik aisa vaqt bhi dil par guzarta hai ki aansu khushk ho jaate hain tughyani nahin jaati...
Bashir Badr
ham to kuchh der hans bhi lete hain dil hamesha udaas rahta hai...
Bashir Badr
kabhi kabhi to chhalak paDti hain yunhi aankhen udaas hone ka koi sabab nahin hota...
Bashir Badr
hai ajiib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai kahin karobar si dopahar kahin bad-mizaj si shaam hai...
Bashir Badr
haqiqaton mein zamana bahut guzar chuke koi kahani sunao baDa andhera hai...
Nida Fazli
sab kuchh to hai kya dhunDti rahti hain nigahen kya baat hai main vaqt pe ghar kyun nahin jaata...
Shakeel Badayuni
ab to khushi ka gham hai na gham ki khushi mujhe be-his bana chuki hai bahut zindagi mujhe...
Shakeel Badayuni
koi dilkash nazara ho koi dilchasp manzar ho tabiat khud bahal jaati hai bahlai nahin jaati...
Nasir Kazmi
bhari duniya mein ji nahin lagta jaane kis chiiz ki kami hai abhi...
Nasir Kazmi
aaj to be-sabab udaas hai ji ishq hota to koi baat bhi thi...
Nasir Kazmi
manzar dil o nigah ke jab ho gae udaas ye be-faza ilaqa-e-tan mujh se chhin le...
Gulzar
koi khamosh zakhm lagti hai zindagi ek nazm lagti hai...
Gulzar
ye shukr hai ki mire paas tera gham to raha vagarna zindagi bhar ko rula diya hota...
Gulzar
bhare hain raat ke reze kuchh aise aankhon mein ujala ho to ham aankhen jhapakte rahte hain...
Habib Jalib
na teri yaad na duniya ka gham na apna khayal ajiib surat-e-haalat ho gai pyaare...
Ibn-e-Insha
raat aa kar guzar bhi jaati hai ik hamari sahar nahin hoti...
Ibn-e-Insha
diida o dil ne dard ki apne baat bhi ki to kis se ki vo to dard ka baani Thahra vo kya dard baTaega...
Altaf Hussain Hali
ik dard ho bas aaTh pahar dil mein ki jis ko takhfif dava se ho na taskin dua se...
Zehra Nigah
jo dil ne kahi lab pe kahan aai hai dekho ab mahfil-yaran mein bhi tanhai hai dekho...
Zehra Nigah
ek tera gham jis ko raah-e-motabar jaanen is safar mein ham kis ko apna ham-safar jaanen...
Ada Jafarey
khamushi se hui fughan se hui ibtida ranj ki kahan se hui...
Kishwar Naheed
apna naam bhi ab to bhuul gai naheed koi pukare to hairat se takti hun...
Jan Nisar Akhtar
kuchal ke phenk do aankhon mein khvab jitne hain isi sabab se hain ham par azaab jitne hain...
Asrarul Haq Majaz
roen na abhi ahl-e-nazar haal pe mere hona hai abhi mujh ko kharab aur ziyada...
Siraj Aurangabadi
jiina taDap taDap kar marna sisak sisak kar fariyad ek ji hai kya kya kharabiyon mein...
Siraj Aurangabadi
zindagani dard-e-sar hai yaar bin kui hamare sar kun aa kar jhaaD de...
Siraj Aurangabadi
takiya-e-makhmali sirhane rakh lekin aankhon sin apni khvab nikal...
Shahryar
ik bund zahr ke liye phaila rahe ho haath dekho kabhi khud apne badan ko nichoD ke...
Shahryar
aasman kuchh bhi nahin ab tere karne ke liye main ne sab tayyariyan kar li hain marne ke liye...
Shahryar
tanhai ki ye kaun si manzil hai rafiqo ta-hadd-e-nazar ek bayaban sa kyun hai...
Shahryar
log sar phoD kar bhi dekh chuke gham ki divar TuuTti hi nahin...
Shahryar
tujh se mil kar bhi na tanhai miTegi meri dil mein rah rah ke yahi baat khaTakti kyun hai...
Bahadur Shah Zafar
koi kyun kisi ka lubhae dil koi kya kisi se lagae dil vo jo bechte the dava-e-dil vo dukan apni baDha gae...
Bahadur Shah Zafar
bhari hai dil mein jo hasrat kahun to kis se kahun sune hai kaun musibat kahun to kis se kahun...
Iftikhar Arif
khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai...
Iftikhar Arif
Duub jaun to koi mauj nishan tak na batae aisi naddi mein utar jaane ko ji chahta hai...
Iftikhar Arif
azaab-e-vahshat-e-jaan ka sila na maange koi nae safar ke liye rasta na maange koi...
Farhat Ehsas
main rona chahta hun khuub rona chahta hun main phir us ke baad gahri niind sona chahta hun main...
Farhat Ehsas
ye shahr vo hai ki koi khushi to kya deta kisi ne dil bhi dukhaya nahin bahut din se...
Farhat Ehsas
kaun si aisi khushi hai jo mili ho ek baar aur ta-umr hamein jis ne aziyyat nahin di...
Muneer Niyazi
janta hun ek aise shakhs ko main bhi muneer gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin...
Muneer Niyazi
zinda rahein to kya hai jo mar jaaen ham to kya duniya se khamushi se guzar jaaen ham to kya...
Muneer Niyazi
aisa safar hai jis ki koi intiha nahin aisa makan hai jis mein koi ham-nafas nahin...
Muneer Niyazi
ek dasht-e-la-makan phaila hai mere har taraf dasht se niklun to ja kar kin Thikanon mein rahun...
Waseem Barelvi
musalsal hadson se bas mujhe itni shikayat hai ki ye aansu bahane ki bhi to mohlat nahin dete...
Waseem Barelvi
ye kis maqam pe laai hai meri tanhai ki mujh se aaj koi bad-guman nahin hota...
Zafar Iqbal
kharabi ho rahi hai to faqat mujh mein hi saari mire chaaron taraf to khuub achchha ho raha hai...
Zafar Iqbal
dar-e-umid se ho kar nikalne lagta hun to yaas rauzan-e-zindan se aankh maarti hai...
Arzoo Lakhnavi
hasraton ka dil se qabza uTh gaya ghasibon ki hukmrani khatm hai...
Shaikh Ibrahim Zauq
be-qarari ka sabab har kaam ki ummid hai na-ummidi ho to phir aaram ki ummid hai...
Majrooh Sultanpuri
koi ham-dam na raha koi sahaara na raha ham kisi ke na rahe koi hamara na raha...
Hafeez Jalandhari
miri majburiyan kya puchhte ho ki jiine ke liye majbur hun main...
Hafeez Jalandhari
mira tajraba hai ki is zindagi mein pareshaniyan hi pareshaniyan hain...
Hafeez Jalandhari
meri qismat ke navishte ko miTa de koi mujh ko qismat ke navishte ne miTa rakkha hai...
Explore more on Diwan E Sukhan