DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Dushman

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
ye fitna aadmi ki khana-virani ko kya kam hai hue tum dost jis ke dushman us ka aasman kyun ho...
Ahmad Faraz
kisi dushman ka koi tiir na pahuncha mujh tak dekhna ab ke mira dost kaman khenchta hai...
Ahmad Faraz
dost ban kar bhi nahin saath nibhane vaala vahi andaz hai zalim ka zamane vaala...
Parveen Shakir
dushmanon ke saath mere dost bhi aazad hain dekhna hai khinchta hai mujh pe pahla tiir kaun...
Parveen Shakir
nahin nahin ye khabar dushmanon ne di hogi vo aae aa ke chale bhi gae mile bhi nahin...
Dagh Dehlvi
ilahi kyun nahin uThti qayamat majra kya hai hamare samne pahlu mein vo dushman ke baiThe hain...
Bashir Badr
dushmani jam kar karo lekin ye gunjaish rahe jab kabhi ham dost ho jaen to sharminda na hon...
Bashir Badr
mukhalifat se miri shakhsiyat sanvarti hai main dushmanon ka baDa ehtiram karta hun...
Rahat Indori
dosti jab kisi se ki jaae dushmanon ki bhi raae li jaae...
Rahat Indori
main aa kar dushmanon mein bas gaya hun yahan hamdard hain do-chaar mere...
Nida Fazli
us ke dushman hain bahut aadmi achchha hoga vo bhi meri hi tarah shahr mein tanha hoga...
Habib Jalib
dushmanon ne jo dushmani ki hai doston ne bhi kya kami ki hai...
Habib Jalib
log Darte hain dushmani se tiri ham tiri dosti se Darte hain...
Altaf Hussain Hali
raazi hain ham ki dost se ho dushmani magar dushman ko ham se dost banaya na jaega...
Sudarshan Faakir
Ham se poochho na dosti ka sila Dushmanon ka bhi dil hila dega...
Ahmad Nadeem Qasmi
mujh ko dushman ke iradon pe bhi pyaar aata hai tiri ulfat ne mohabbat miri aadat kar di...
Irfan Siddiqi
ajab harif tha mere hi saath doob gaya mire safine ko gharqab dekhne ke liye...
Khalilur Rahman Azmi
mere dushman na mujh ko bhool sake warna rakhta hai kaun kis ko yaad...
Khumar Barabankavi
dushmanon se pyaar hota jayega doston ko aazmate jaiye...
Khumar Barabankavi
dushmanon se pasheman hona pada hai doston ka khuloos aazmane ke baad...
Explore more on Diwan E Sukhan