DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Eye contact

Poetry Collection

Ash'aar

Meer Taqi Meer
ishq mein ji ko sabr o taab kahan us se aankhen laDin to khvab kahan...
Akbar Allahabadi
ghamza nahin hota ki ishaara nahin hota aankh un se jo milti hai to kya kya nahin hota...
Akbar Allahabadi
un ki aankhon ki lagavaT se hazar ai akbar diin se karti hai dil ko yahi ghammaz juda...
Jigar Moradabadi
jab mili aankh hosh kho baiThe kitne hazir-javab hain ham log...
Jigar Moradabadi
dhaDakne laga dil nazar jhuk gai kabhi un se jab samna ho gaya...
Hasrat Mohani
milte hain is ada se ki goya khafa nahin kya aap ki nigah se ham aashna nahin...
Shakeel Badayuni
hamein jin ki diid ki aas thi vo mile to raah mein yun mile main nazar uTha ke taDap gaya vo nazar uTha ke guzar gae...
Daya Shankar Naseem
tha sam pe ye us pari ka naqsha sab aankh mila kahte the aa...
Siraj Aurangabadi
aankh uThate hi mire haath sin mujh kun le ga.e khuub ustad ho tum jaan ke le jaane mein...
Kaleem Aajiz
suna hai hamein bevafa tum kaho ho zara ham se aankhen mila lo to jaanen...
Explore more on Diwan E Sukhan