DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Farewell

Poetry Collection

Ash'aar

Ahmad Faraz
is se pahle ki be-vafa ho jaen kyun na ai dost ham juda ho jaen...
Meer Taqi Meer
ab to jaate hain but-kade se miir phir milenge agar khuda laaya...
Jaun Elia
us gali ne ye sun ke sabr kiya jaane vaale yahan ke the hi nahin...
Jaun Elia
ab tum kabhi na aaoge yaani kabhi kabhi rukhsat karo mujhe koi vaada kiye baghair...
Jaun Elia
ai tarah-dar-e-ishva-taraz-e-dayar-e-naz rukhsat hua hun tere liye dil-gali se main...
Parveen Shakir
tere paimane mein gardish nahin baaqi saaqi aur teri bazm se ab koi uTha chahta hai...
Bashir Badr
tumhein zarur koi chahaton se dekhega magar vo aankhen hamari kahan se laega...
Bashir Badr
tumhaare saath ye mausam farishton jaisa hai tumhaare baad ye mausam bahut sataega...
Bashir Badr
agar talash karun koi mil hi jaega magar tumhari tarah kaun mujh ko chahega...
Bashir Badr
ye ek peD hai aa is se mil ke ro len ham yahan se tere mire raste badalte hain...
Nida Fazli
us ko rukhsat to kiya tha mujhe malum na tha saara ghar le gaya ghar chhoD ke jaane vaala...
Shakeel Badayuni
jaane vaale se mulaqat na hone paai dil ki dil mein hi rahi baat na hone paai...
Nasir Kazmi
yaad hai ab tak tujh se bichhaDne ki vo andheri shaam mujhe tu khamosh khaDa tha lekin baaten karta tha kajal...
Altaf Hussain Hali
ham roz-e-vidaa un se hans hans ke hue rukhsat rona tha bahut ham ko rote bhi to kya hota...
Mohammad Rafi Sauda
kaifiyyat-e-chashm us ki mujhe yaad hai sauda saghar ko mire haath se lijo ki chala main...
Noshi Gilani
ye ham hi jaante hain judai ke moD par is dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua...
Zeeshan Sahir
Maine is duniya ko bahut qareeb se dekha hai Yahan log muskura kar dhoka dete hain...
Shabnam Shakeel
Ab mujh ko rukhsat hona hai ab mera haar-singhaar karo Kyun der lagaati ho sakhiyo jaldi se mujhe tayyaar karo...
Jawad Sheikh
Kar kuchh aisa ki tujhe yaad rakhun Bhool jaane ka taqaza hi sahi...
Ahmad Mushtaq
dukh ke safar pe dil ko rawana to kar diya ab saari umr haath hilate rahenge ham...
Ahmad Nadeem Qasmi
kis dil se karun vidaa tujh ko toota jo sitara bujh gaya hai...
Irfan Siddiqi
tum suno ya na suno haath badhao na badhao doobte doobte ik baar pukarenge tumhein...
Khumar Barabankavi
salam aakhir hai ahl-e-anjuman ko khumar ab khatm apni dastan hai...
Mohammad Alvi
us se mile zamana hua lekin aaj bhi dil se dua nikalti hai khush ho jahan bhi ho...
Mohammad Alvi
chhod gaya mujh ko 'alvi' shayad wo jaldi mein tha...
Shakeb Jalali
wo alvidaa ka manzar wo bheegti palkein pas-e-ghubar bhi kya kya dikhai deta hai...
Yagana Changezi
farda ko door hi se hamara salam hai dil apna shaam hi se charagh-e-sahar hua...
Ismail Merathi
deed wa deed ki rukhsat hi sahi mere hisse ki qayamat hi sahi...
Explore more on Diwan E Sukhan