DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Healing

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
ishrat-e-qatra hai dariya mein fana ho jaana dard ka had se guzarna hai dava ho jaana...
Mirza Ghalib
dil-e-nadan tujhe hua kya hai aakhir is dard ki dava kya hai...
Faiz Ahmad Faiz
tumhari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain kisi bahane tumhein yaad karne lagte hain...
Faiz Ahmad Faiz
minnat-e-chaara-saz kaun kare dard jab jaan-navaz ho jaae...
Mohsin Naqvi
suna hai shahar mein zakhmi dilon ka mela hai chalenge ham bhi magar pairahan rafu kar ke...
Jan Nisar Akhtar
aur kya is se ziyada koi narmi bartun dil ke zakhmon ko chhua hai tire gaalon ki tarah...
Shahryar
zakhmon ko rafu kar len dil shaad karen phir se khvabon ki koi duniya aabad karen phir se...
Jawad Sheikh
Nahin aisa bhi ki yaksar nahin rahne wala Dil mein ye shor barabar nahin rahne wala...
Abdul Hamid Adam
jab tire nain muskurate hain zeest ke ranj bhool jaate hain...
Ahmad Nadeem Qasmi
mujhe manzoor gar tark-e-taalluq hai raza teri magar tootega rishta dard ka aahista aahista...
Shakeb Jalali
log dete rahe kya kya na dilase mujh ko zakhm gahra hi sahi zakhm hai bhar jayega...
Ismail Merathi
chhuri ka teer ka talwar ka to ghao bhara laga jo zakhm zaban ka raha hamesha hara...
Aziz Bano Darab Wafa
ye hausla bhi kisi roz kar ke dekhoongi agar main zakhm hoon us ka to bhar ke dekhoongi...
Explore more on Diwan E Sukhan