DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Illusion
Poetry Collection
Ash'aar
Ahmad Faraz
suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht makin udhar ke bhi jalve idhar ke dekhte hain...
Ahmad Faraz
tu samne hai to phir kyun yaqin nahin aata ye baar baar jo aankhon ko mal ke dekhte hain...
Amjad Islam Amjad
ye jo saae se bhaTakte hain hamare ird-gird chhu ke un ko dekhiye to vahima koi nahin...
Amjad Islam Amjad
aankh bhi apni sarab-aalud hai aur is dariya mein paani bhi nahin...
Kaifi Azmi
koi kahta tha samundar hun main aur miri jeb mein qatra bhi nahin...
Kishwar Naheed
maan bhi lun ki tiri yaad mahaz vahima hai phir bhi vo yaad hi dam-saaz rahi shaam-o-sahar...
Asrarul Haq Majaz
jalva-e-tuur khvab-e-musa hai kis ne dekha hai kis ko dekha hai...
Khwaja Meer Dard
hai ghalat gar guman mein kuchh hai tujh siva bhi jahan mein kuchh hai...
Khwaja Meer Dard
mat ja tar-o-tazgi pe us ki aalam to khayal ka chaman hai...
Bahadur Shah Zafar
khvab mera hai ain bedari main to us mein bhi dekhta kuchh hun...
Zafar Iqbal
TakTaki baandh ke main dekh raha hun jis ko ye bhi ho sakta hai vo samne baiTha hi na ho...
Tehzeeb Hafi
Kaun-o-imakan mein do tarah ke hi to shobada-baaz hain Ek parda girata hai aur ek parda nahin chhodta...
Sudarshan Faakir
Dekhne walo tabassum ko karam mat samjho Unhein to dekhne walon pe hansi aati hai...
Naseer Turabi
Qurbaten ret ki divar hain gir sakti hain Mujh ko khud apne hi saaye mein thahar jaana tha...
Nadim Nadeem
Vahshat nahin hai raqs-e-masarrat hai dasht mein Pedon ki shakl mein ye mire char-su ho tum...
Abdul Hamid Adam
aankh ka etibar kya karte jo bhi dekha wo khwab mein dekha...
Abdul Hamid Adam
kuchh kuchh miri aankhon ka tasarruf bhi hai shamil itna to haseen tu mire gulfam nahin hai...
Abdul Hamid Adam
wo haseen baitha tha jab mere qareeb lazzat-e-hamsaegi thi main na tha...
Ahmad Mushtaq
yahi duniya thi magar aaj bhi yun lagta hai jaise kaati hon tire hijr ki raatein kahin aur...
Ahmad Nadeem Qasmi
andaz hu-ba-hu tiri aawaz-e-pa ka tha dekha nikal ke ghar se to jhonka hawa ka tha...
Irfan Siddiqi
ye hoo ka waqt ye jangal ghana ye kaali raat suno yahan koi khatra nahin thahar jao...
Khalilur Rahman Azmi
na jaane kis ki hamein umr bhar talash rahi jise qareeb se dekha wo doosra nikla...
Khalilur Rahman Azmi
ab un beete dinon ko soch kar to aisa lagta hai ki khud apni mohabbat jaise ik jhooti kahani ho...
Khalilur Rahman Azmi
tamam yaadein mahak rahi hain har ek ghuncha khila hua hai zamana beeta magar guman hai ki aaj hi wo juda hua hai...
Mohammad Alvi
saamne deewar par kuchh dagh the ghaur se dekha to chehre ho gaye...
Rajinder Manchanda Bani
zara chhua tha ki bas ped aa gira mujh par kahan khabar thi ki andar se khokhla hai bahut...
Saleem Kausar
kahani likhte hue dastan sunate hue wo so gaya hai mujhe khwab se jagate hue...
Saleem Kausar
dekhte kuchh hain dikhate hamein kuchh hain ki yahan koi rishta hi nahin khwab ka tabeer ke saath...
Saghar Siddiqui
jin se zinda ho yaqeen o aagahi ki aabroo ishq ki raahon mein kuchh aise guman karte chalo...
Saqi Faruqi
pyaas badhti ja rahi hai bahta dariya dekh kar bhagti jaati hain lahrein ye tamasha dekh kar...
Shad Azimabadi
tamannaoan mein uljhaya gaya hoon khilaune de ke bahlaya gaya hoon...
Shakeb Jalali
utar ke naav se bhi kab safar tamam hua zameen pe paanv dhara to zameen chalne lagi...
Shariq Kaifi
kabhi khud ko chhoo kar nahin dekhta hoon khuda jaane kis wahm mein mubtala hoon...
Yagana Changezi
dard ho to dawa bhi mumkin hai wahm ki kya dawa kare koi...
Yagana Changezi
ilm kya ilm ki haqeeqat kya jaisi jis ke guman mein aayi...
Yagana Changezi
nai zameen naya aasman nai duniya ajeeb shai ye tilism-e-khayal hota hai...
Yagana Changezi
parda-e-hijr wahi hasti-e-mauhoom thi 'yaas' sach hai pahle nahin maaloom tha ye raaz mujhe...
Yagana Changezi
fareb-e-abr-e-karam bhi bada sahara hai bala se nakhl-e-tamanna khizan-raseeda nahin...
Ismail Merathi
dariya ki tarah rawan hoon lekin ab tak bhi wahin hoon main jahan hoon...
Aziz Bano Darab Wafa
ek muddat se khayalon mein basa hai jo shakhs ghaur karte hain to us ka koi chehra bhi nahin...
Explore more on Diwan E Sukhan